Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 15117
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya aag par nimaz parhna jaiz ha? Kya ya shatani amal ha ya aag ke poja karna ka zumra ma ata ha ?

Answer: 1: Namaz parhne wale ki Jagah ki 7 Sharten hain un main se Aik Shart ye hai ke Zaroori hai ke Namazi ki Jagah wajib Namazon main aisi na ho ke tez Harkat Namazi ke khare hone ya ikhteyari Ruku aur Sujood karne mein rukawat ho balkeh Ehteyat-e-lazim ki bina par Zaroori hai ke us ke Badan ko Saakin rakhne main bhi rukawat na ho. Doosri Shart ye hai ke Zaroori hai ke Insan aisi Jagah Namaaz parhe Jahan Namaz Poori parh lene ka Ehtemaal ho. Bayaan ki gaye in 2 Sharait ke sath agar Aag par Poori Namaz parh saken ge to Jaiz hai. 2: Jee nahin ye Amal na to Shaitaani hai aur na hi Aag ki Pooja karne ke zumre men aayei ga, Q ke agar ye Amal Shaitaani mana jaiye ya Aag ki Pooja karna Shumar kiya jaye to jis Khana Kaba ki taraf Monh kar ke Namaz parhi jati hai is men bhi ye bat Laazim aaye gi ke Ham Khana Kaba ko hi Sajda kar rahe hain Jabke aisa nahin hai Balke Khana Kaba ki taraf sirf Monh hota hai aur Sajda Khuda ki zaat ke liye hota hai, isi tarah Buhat se Maqamat par yahi baat laazim aaye gi jese ke Khak e Shifa, Jay e Namaz wagera... Aur doosri Baat ye hai ke Amal ka sara Daromadar Niyat pe hota hai agar Niyat Aag ki Pooja karne nahin hai to phir koi Haraj nahin hai ke Hum kahan pe Namaz parh hain, Isi tarah Aik Sharaei maslah hai ke "Aag aur Chiraag ke muqaabul (saamne) Namaz parhna, Bawarchi khane men ya Har us Jagah Namaz parhna Jahan Aatish Daan ho Makrooh hai" to yahan par bhi ziyada se ziyada Ulama Makrooh keh rahe hain Haraam phir bhi nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #867,885). [Updated on 20-Jan-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15278
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا دروازے کے درمیان کھڑے ہو کے نماز پڑھ سکتے ہیں

Answer: Jee han, parh sakte hain, lekin us darwaze ke maqabil jo khula howa ho namaz parhna makrooh hai.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #885). [Updated on 16-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15402
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kis jgha Nmaz nhi prh skty?? Khana kaba ki Chat pr?

Answer: Ehtiyaat e wajib ki binaa par aikhtiyaar ki haalat mai khaana e e kaaba k andar or us ki chat par wajib namaz na parhi jaaye albatta mustahab namaz parhne mai koi harj nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 878,879). [Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15800
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya namaz bed room padh sakthe hai

Answer: Namaz ghar (kamre) mai bhi parhi ja sakti hai magar Islam ki muqadas shariat mai bohat taqeed ki gaye hai ke namaz masjid mai parhi jaye. Is k alawa masjid mai ziyada jana chahiye aur us masjid mai jana jahan log kam aatay hon mustahab hai aur agar koi shakhs masjid ke paroos mai rehta ho aur koi wajah bhi na ho to us ke liye masjid ke alawa kisi aur jagah namaz parhna makrooh hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #880,883,884) [Updated on 01-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16233
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam un alaikum mera sawal ye hai ke ja-namaz pr shakal bani ho to kia namaz parh sakte hai us per ".

Answer: Jee han, parh sakti hain, lekin aisi jagah namaz parhna makrooh hai. (Ref: Tauzeehul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #885). [Updated on 03-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19753
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: ASSALAMU ALEKUM WA REHMATULLAH WA BARKATUHU SIR MEIN YE JANNA CHAHTA HOON AGAR GHAR MEIN DEEWAR PAR MAKKA MADINA KAABA SHAREEF KI PHOTO LAGI HAI TO KYA HAMARI NAMAZ HO JAYEGI

Answer:

Id: 20090
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: salaam..... aik ghar kay malik nay ghar ki zameen par namaz ki ijazat nahee di aur on kay ghar main BA JAMAT NAMAZ hoti hay lakin IMAMA JAMAT ADIL nahee hay to kya os jaga par namaz namaz phari ja sakti hay jab kay os jaga par namaz ki bhi ijazat nahee hay .....lakin os jaga namaz pharna bhi hay kyun ka ham majboor hain plz is ka theeek masla bata dain.... w/salaam

Answer:

Id: 20460
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: in UBL MASJID some momineen are saying they have checked the orignal direction of Qibla is around 20 Degree rightword from the Qibla of the Masjid and they are praying Namaz 20degree rightword from the Qibla of Masjid. but all Ahlesunnat n some momineen praying according to the Qibla of Masjid. what should the better practice to pray namaz???

Answer:

Id: 21148
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Asalam-O-Aalikum..Mera Sawal Yeh Ke Agar Tshirt Par Kisi Jandar Ki Embroidery Bani Woh Bi Pocket Ke Uper Choti Si To Kya Namaz Ho Jati Hy Aur Mein Ne Suna Tha Ke Agar Kisi Jandar Ki Aankh Bani Phir Namaz Nahi Hoti Hy Kya Asa Sahi ..Plz..Meri Rehnumai Kare..JAZAKALLAH KAHIR

Answer:

Id: 21209
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: phayli rat nafal ik sat kharay ho ky parnay haan yah kisi or tahran yah miyn agay karay ho k paray ga bivi usky pichay jo tarika hy bata dayn or phayli raat hambistari karna zarori hy ky nahi matlb bad main bhi kar saktay hn jaysy ik dusray ko janay ky baad

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!