Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 1203
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: namaz e qasar kitny fasly pr shroo hoti hai?

Answer: Zarori hay k musafir zuhar,asr or isha ki namaz 8 shara’it ki maujoodgi main qasar baja laay, yaani 2 rakat perhay.in 8 shara’it main say aik shart ye hay k safar 8 sharee farsakh(yaani taqreeban 44 kilo meter) ho.layhaza jis shaks k jaanay or wapis aanay ka mukammal safar 44km ho tu zarori hay k wo shaks namaz ko qasar perhay. Mazeed ye k agar safar ka agaaz apnay sheher(city) say karay tu hadday takhkhus tak pohanch jaay. Or hadday tarakhkhus wo jagah hay jahaan say ehlay sheher hatta keh wo afraad jo sheher k muzafaat main sheher k bahar rehtay hain musafir ko nah daikh sakay or oski alamat ye hay k wo ehlay sheher ko nah daikh sakay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1259-1341).

Id: 1913
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: I just wanted to ask that I lived in karachi but at now I am at Gujranwala so should I per form the Namaz e Safar or if yes then wht is procedure to perform it.

Answer: 1) Zarori hay k musafir zuhar,asr or isha ki namaz 8 shara’it ki maujoodgi main qasar baja laay, yaani 2 rakat perhay.in 8 shara’it main say aik shart ye hay k safar 8 sharee farsakh(yaani taqreeban 44 kilo meter) ho.layhaza jis shaks k jaanay or wapis aanay ka mukammal safar 44km ho tu zarori hay k wo shaks namaz ko qasar perhay. Mazeed ye k agar safar ka agaaz apnay sheher(city) say karay tu hadday takhkhus tak pohanch jaay. Or hadday tarakhkhus wo jagah hay jahaan say ehlay sheher hatta keh wo afraad jo sheher k muzafaat main sheher k bahar rehtay hain musafir ko nah daikh sakay or oski alamat ye hay k wo ehlay sheher ko nah daikh sakay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#1259-1341). 2)Agar musafir 10 din ya us se ziada kisi jagha rahe to zarori he k namaz puri parhe. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1280 se pahle) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 2382
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: qasar namaz zohar ki kitni raktain parni chaheya?shukarya

Answer: zaroori he k musafir zohar ki namaz 8 shrait hotay huay qasr baja laye yani 2 rakaat parhay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1259 k upper pg # 204) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2528
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam main rawalpindi me rehta hoon to kya mera safer tb shuru ho ga jb me rawalpindi se bahir chala jao?

Answer: Agr koi musafir apne rehash gah(is se murad wo shehr ya gaon hai jis men insan rehta hai) se 44 kilometer(matlb is qadr safr kre k uska ana jana mila kr 44 kilo metre bane) ya is se ziyada safar kare to is ki namaz zahor, asar or aisha qasar (2 rakat ) parhni paregi. musaferat ka aghaz aksar aokaat shahr(city) ke aakhiri area(elaqe) se kiya jata hai. is hawale se jab ap Rawalpindi se nikal rahe hon to shehr k us akhri hisse pohnce jo shahr ka akhri hissa shumar hota ho to wahan taqriban 22 kilometers safar krne k bad apki namaz qasr hojaye gi or 22 kilometers k andar apkinamaz puri parhenge. (Ref:Jadeed Faqhi Masail,Ayat-ul-allah Sistanai(a.s), eidition 5,Ques # 71 , pg # 70,)

Id: 2675
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalamoaalaikum, I live in a foreign country and my father lives in different country. when i visit them for 10 days do i have to pray full namaz or qasr?

Answer: if you know that you will stay 10 so you have to perform full namaz not qasar. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 207) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 3381
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: .mufti sb. Mujhe ye janna hai k namaze qasr kitne dino k safar pe padhna zaroori hota hai ?pls rply....shukriya..

Answer: Musafir kisi jigha 10 din ya is sai ziada din rehnay ka irada na rakhta ho to namaz qasr ho gi aur agar 10 din kisi jigha par rahay to zaroori hai namaz puri perhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 207) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 3942
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aslamualikm sir mara sawal ya ha k safr m kasr krni parti ha agr rozana ka mamool ho 200 ya 250kilometer safr krna to kia us m kasr krni chayea..kun k m saudi arab m driver hun daily 250 kilo meter safr lazmi krta hun kindly mja tafseel sa bataeya..thanks

Answer: Jis shaks ka pesha (profession) safar se he wabasta ho jise driver , post man waghera aisay afrad k lie zaroori hai apni namazain puri perhain.( Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # musafir ki namaz, shrt # 7) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4255
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: May pakistani kaa citizen hoon magar main UAE(abudhabi) basilsila rozgar mustaqil rehish pazeer hoon abb agar main pakistan(karachi) one week ki chuti per jata hoon to kiya main qasar namaz parhoon gaa yaa puri namaz parahoon.

Answer: 1)Agar aik shaks kise aise maqaam per pouche jo kise zamane me is ka watan raha ho aur baad me is ne ise tarak kardeya ho to chahe is ne koi naya watan apne lye mintakhb na bhi kiya ho to zarore hai ka wahan puri namaz na perhe.(to is hawale se agr apne Karachi rehne ka irada khatm krdiya hai or apne ye ikhtiyar kr liya hai kap hmesha UAE men rahenge to UAE apka watan hojayega Karachi apka watan nahi rahega albatta 6 din k liye Karachi men rahe to namaz Qase hogi lekin agr 10 ya us se ziyada din krachi men rahe to phir puri namaz parhni paregi) 2) jo shaks 2 maqamaat per zindaghi ghuzarta ho ,maslan 6mahene aik sheair me aur 6 mahene dosere sheair me rahta ho to dono maqamaat is ka watan hai.(yani dono jaga ye puri namaz parhega. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1320,1318) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5465
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr mai sefr mai hun or mjy malum nei a k mai yahan kitny din rehun ga to aise surt mai kya mai qesr namaz ada kerun ga k puri namaz perun ga?

Answer: Musafir kisi jigha 10 din ya is sai ziada din rehnay ka irada na rakhta ho to namaz qasr ho gi aur agar 10 din kisi jigha par rahay to zaroori hai namaz puri perhay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 207) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa karay).

Id: 5474
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Imam qasar nimaz ki waja si 2 rakat k baat salam phair de aur muqtadee kharay ho janyan gain. to remaining 2 rakat muqtadee khamoosh kayam karan ge or soorah fatiha paran ge. ple gudie.

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. 1)Jo musafir na ho os k lie makrooh hai k on namazoo mai jo qasar kar k parhi jati hai kisi musafir ki iqteda karay. 2)Agar iqteda karay to phir agay sai wo namaz ko furada ki niyat sai tamam karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1471, 1433)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!