Question: 15 shaban kay bad rozay rakhanay k baray main hukam kya ha?
Answer: bismehi taala, rajab aur shaban k pure mahine me jab bhi roze rakhe jaye musthab he (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.1757)
Question: Salaam, sir kia ham nafli roza kisi dost ki dawat per zawal ke bad aftar kar saktay hain?
Answer: Jo shaks mustahab roza rakhay tu os per wajib nahi keh osay aakhir tak pohchay or jab chahay tu roza torh sakta, balkeh agar koe momin bhai khanay ki dawat day tu mustahab hay k o ski dawat qabool kerlay or roza iftaar kerlay,momin bhai ki daawat qabool kernay(khana khanay)say agarcha roza baatil hojaay ga laikin ye amal osay rozay k ajr o sawaab say mehroom nahi karay ga.(Ayat Ullah Khamnaie(d.b),taleemul ehkaam taleemul ehkaam,pg#58-61) .
Question: Sal main kis kis din din roza rakhana haram hay ya makrou hy?
Answer: 1)Eid ul fitr aur eid e qurban ke din roza rakhna haram he. 2)Aur jis din k baray me insaan ko ye ilm na ho k shabaan ki aakhri tareekh he ya ramzaan ki pehli to agar wo is din pehli ramzaan ki niyat se roza rakhay to haram he. 3)agar aurat ke mustahab rozay rakhnay se shohar k haq talfi hoti ho to aurat ka roza rakhna haram he. 4) agar aulad ka mustahab roza maa baap k lie aziyat ka maujib ho to aulad ke lie mustahab roza rakhna haram he.Is k ilawa aur bhi haram rozain hein . 2) Aashoor k din roza rakhna makhroh hay or os din ka roza bhi makhroh hay jis k baray main shak ho keh arfa(9 zil haj) ka din hay ya eid e qubaan ka din hay. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1709 , 1710 , 1711,1717).
Question: Assalam alikum,kya zilhaj ke 10 roze rakh sakte?ya 10 se kam 3 rakh sate hai iski koi hadees bataye?
Answer: 1)Zilhajj ki pehli tarikh say 9 tarikh tak roza rakhna takeed k sath mustahab hay laikin agar insan rozay ki wajah say paida honay wali kamzori ki bina par yom e arafa ki dua na parh sakhay to is din ka roza rakhna makrooh hay. 2)Eid e quban k din roza rakhna haram hay. 3) in 9 din k rozo main se aap jitney rozay rakhain gay utne rozo ka sawaab milay ga ye zarori nahi hay k poray 9 rakahin gay tu hi sawab milay ga. (Ref : Tauzeeh e ul Masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1718) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: salam,9 zil haj k rozay rakhnay ki niyat kia ki jati hai or is rozay ka kia sawab hai?
Answer: Zilhaj ki 1st say 9th tak roza rakhnay ki bohat takeed aae hai, 9th zilhaj ka roza mustahab ki niyat say rakha jaey laikin agar insan rozay ki wajah say paida honay wali kamzori ki bina par yom-e- arfaa(9th zilhaj) ki duaein nah parh sakay tou us din ka roza rakhna makrooh hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #1718)
Question: sir g agar men ko ehtelam ho jay raat ko sotay huway os ko pata bhi na chalay aur subha roza bhi ho tu kaya kary ga?
Answer: Agar koi ramzan me subah ki azan k baad jaghe aur ye dekhay k ise ehtelam hogaya hai to agarche ise maloom ho k ya ehtelam azan se phele hua hai is ka roza sahe hai .(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla #1606) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: slam ap se mera sawal ye hain ke roza mein mani ka ikhraj ho jaye to rooza kharab to nahi hota
Answer: Rozay ki halat me ehtalam ho jaye tu roza batil nahe hota hai.. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1571) (Khuda ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kya sex karne ke bad bina nhaye roza rakh sakte he or subah nha sakte he.
Answer: 1) Ramzan ka wajib roza rakhnay k lie Fajar k waqt se phele tak ghusal karna zarori hai. Aur agar jan boojh kar fajar sai pehlay ghusl na karay hatta k waqt tang ho jae to zaroori hai k tayummum karay aur aur os din ka roza rakhay. 2) Agar Junub shakhs ramzan me jan booj kar azan e subah tak ghusl na karay ya jis shakhs ka fariza tayammum ho wo jan booj kar tayammum nah karay to zarori he k us din ka roza pura karay aur phir aik din aur roza rakhey aur q k ye tay nahi he k ye dosra roza qaza he ya saza , lehaza ramzan k is din ka roza bhi ma,fiz zimma ki niyat se rakhe aur ramzan k bad bhi jis din roza rakhe is me qaza ki niyat na karay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1591-94) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya roze main TV Movie Ya Song Dekhane Se roza toot jaata hai kay
Answer: 1-In kaamo se roza nahi toot ta. (Ref : Tauzeeh ul Masail Ayatullah Sistani d.b. masla #1553 ) 2-Agar aisi filmain be-heai par mustamil na hoon to dekhna jaiz hail akin shehwat aur haram mai mubtila honay ka khof na ho. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 1, sawaal # 183, pg # 90) 3- Ginna haram hai is sai murad wo batil kalam hai jisay aisi lai k sath gaya jay jo lohv o laeb ki mehfiloo sai makhoos ho. Isi terha aisi lai k sath quran aur dua ya is jaisi cheezoo ka parhna bhi jaiz nahi. Aur mosooqi yani aalaat ko is terha bajana jo lohv o laeb ki mehfiloo sai mutabiqat rakhay haram hai is k alawa haram nahi hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2043) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: agr jan bhoj k mani nekal aye to kia roza tot jata hai
Answer: 1)Agar koi rozay dar istemna karay yani mard apnay hath sai ya kisi doosray zariay sai jima k alawa koi aisa fail karay jis k natijay mai mani kharij ho to roza batil ho jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 1553) 2)Istemna krna haram hai chahae kisi bhi zarie sai ho. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 462, pg # 253) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)