Question: fitra kab wajib hota hai? namazke libaas ki kitne shart hoti hai
Answer: Eid ul Fitr ki raat Ghoroob e aftab k waqt chand sharait k saath fitra niklaana wajib hota he. 2)Namaz parhnay walay k libas ki 6 shrtain hain. 1 : Pak ho. 2 : Mubah ho bina bar ethiat e wajib. 3 : Murdar k ajzah say na bana ho. 4 : darenday k ajzah say na bana ho balke ethiat e wajib ki bina per haram ghost hewan k ajzah say na bana ho. 5,6 : Agar namaz parhnay wala mard ho to is ka libas khalis resham aur sonay ki kerhai ka bana hua na ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1952, 756).
Question: salam,mera sawal yeh hai k wajib sadqa kya hai yeh kb daina hota hai.
Answer: Wajib saqday se murad wajib zakaat aur fitra he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 103, pg # 52,). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ramzan ki zakat (fitra) ke mustahik koon hai
Answer: Fitra ethiyat e wajib ki bina per faqat un shia 12 imami shia faqiro ko dena zaroori he jo in shra’it per puray utartay hoon jin ka zikr zakat k mustahikeen me ho chukka he aur agar sheher (city) me 12 imami shia faqeer na mlain to doosray musalman faqiro ko fitra day sakhtay hein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1972). Jis faqeer ko fitra diya jay tu zarori nahi hay keh wo aadil ho laikin ehtiyaat e wajib ye hay k sharabi, bay namazi or jo khul’lam khulla gunah kerta ho osay fitra nah diya jay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 1974) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Assalam 0 Alikum. Mufti sahab hamara Q ye hai ke eas saal ka fitra kitna hoga. our kahete hai ke hamari salary me se bhi kitna persantejh nikal na hoga. Please hame bataye.
Answer: Jo gheza aap k shr(city) me istemal hote hai maslan gandum , jou in ka 3 kg (ya 3 kg ki qimat)dena hota hai. Aur agar qimat dain to os jins ki niyat karni ho gi jis jins ki qimat day rajay hain.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b1.) Masla #1952) Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Masjid ki tameer ya murmmat mai hissa lenay k lie kia fitra istemal kia ja sakta hai?
Answer: Ehtiyat e wajib ki bina par ye jaiz nhi hia. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # Roza, ques # 220, pg # 106)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Kia syed ko fitra dia ja sakta hai?
Answer: Syed ka fitra syed ko dia ja sakta hai. (Ref : Sistani.org urdu) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: e eid fitra alag kar denay k baad agar is sai gum ho jae ya kharach ho jae to kia hokum hai?
Answer: Is k badlay dubara fitra nikal dena wajib hai. aur ehtiyat e wajib ki bina par qurbat ki niyat ki jae. (Ref : Sistani.org urdu) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Aik shakhs nai restaurant mai logo ki dawat is baat sai be-khabar ho kar ki k kal eid hai, Dawat k baad maloom hua k shab e eid thi to kia mehmanon ka fitra maizban k zimay hai?
Answer: Mehmanon ka fitra maizban k zimay nahi hai. (Ref : Sistani.org urdu) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Assalam O Alaikum.mera sawal hai k fitrana kitna wajib hai kitna diya jana chahiye?
Answer: Jo ghiza ap k shehr(city) me istemal hoti hain maslan gandum, jou, chawal wagira, in ka 3 kg (ya 3 kg ki qimat) dena hoti hai. Aur agar qimat dain to os jins ki niyat karni ho gi jis jins ki qimat day rajay hain. Maslan agar chawal ki qimat dai rehay hain to qimat detay waqt aap k zehn mai ho k ye fitra chawal ki qimat ka dai rehay hain.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b1.) Masla #1952) Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: CAN I GIVE FITRA IN ADVANCE AND IF YES THAT WHAT WILL BE THE NIAT
Answer: Agar koe shaks ramzan se pehle fitra day tu ye sahi nahi hay or behter ye hay k ramzan main bhi fitra nah de.Albatta agar ramzan se pehle faqeer ko fitra day or jab fitra os per wajib ho jaey qarze ko fitra shumaar ker le, tu koe haraj nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1983). Update on dated 04-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).