Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 9459
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamualaikum Mera sawal hai k mayne jo fitra nikala kya wo notes tabdeel kiye ja sakte hain?

Answer: Fitre ki raqam tabdeel nahi ker sakty. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail Jaame, maslah #2681 ). Update on dated 01-03-18. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9476
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aager koe waqt per fitra na da sakay tu kia woh baat ma fitra da sakta ga?

Answer: Jee day sakta hain, lekin ada or qaza ki niyat kiay bagair. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #1989). Update on dated 14-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 9479
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA...aj eid ka teesra din ha..mane fitrana ki niyat ki hui ti mgar eid se pahle dena bhool gai hu..plz btyan kya ab de skti hu?

Answer: Jee day sakti hain lekin ada or qaza ki niyat kiay bagair. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #1989). Update on dated 14-08-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9485
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is it wajib to give imam e zamana fitra in eid ul fitr

Answer: It is not wajib.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1952-53). Update on dated 28-07-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 10515
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا 7 سے چھوٹی عمر کے بچوں کا فطرہ دینا فرض ہے ۔ اور کس عمر کے لوگوں کا فطرہ دینا چاہئے۔

Answer: Eid ul fitar ki raat ghurob e aaftab k waqt jo shakhs baligh o aaqil ho aur behosh nah ho aur nah faqeer ho aur nah kisi ka ghulam ho to zarori he keh apne aur un logon k liay jo us k haan khana khatay hoon(chhotay hon ya barhay) fi kas aik saa (taqriban 3 kilo) un ghizaon mein se jo us k shahar mein istemaal hoti hon mustahiq ko de agar un ki qeemat naqd ki shakal mein de tab bhi kafi he. (Ref: Ayatullah sistani tozih ul masail masaalah#1952). [Updated on 25-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10520
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam o Alaikum sir fitrana kitna dena ha is mahe ramzan ma 2019 ?? reply must

Answer: jo ghiza ap k shehr city me istemal hoti hain maslan gandum jou chawal wagira in ka 3 kg ya 3 kg ki qimat dena hoti hai aur agar qimat dain to os jins ki niyat karni ho gi jis jins ki qimat day rahay hain maslan agar chawal ki qimat dai rehay hain to qimat detay waqt aap k zehn mai ho k ye fitra chawal ki qimat ka dai rehay hain. (Ref tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani d b1 masla 1952). [Updated on 02-Jun-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12292
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Fithra ka Niyath

Answer: Jo ghiza ap k shehr(city) me istemal hoti hain maslan gandum, jou, chawal wagira, in ka 3 kg (ya 3 kg ki qimat) dena hoti hai. Aur agar qimat dain to os jins ki niyat karni ho gi jis jins ki qimat day rajay hain. Maslan agar chawal ki qimat dai rehay hain to qimat detay waqt aap k zehn mai ho k ye fitra chawal ki qimat ka dai rehay hain.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b1.) Masla #1952) [Updated on 20-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12306
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamalaikum Fitra nikalte waqt hamein kya niyat krni chahiye

Answer: Jo ghiza ap k shehr(city) me istemal hoti hain maslan gandum, jou, chawal wagira, in ka 3 kg (ya 3 kg ki qimat) dena hoti hai. Aur agar qimat dain to os jins ki niyat karni ho gi jis jins ki qimat day rajay hain. Maslan agar chawal ki qimat dai rehay hain to qimat detay waqt aap k zehn mai ho k ye fitra chawal ki qimat ka dai rehay hain.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b1.) Masla #1952) [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12369
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia us bachy Ka fitra dena b zaroori h Jo abhi tk maan k pait men ho????

Answer: jee nahi us ka fitra wajib nahi hai.(Ref:Tauzeeh ul masail aaytullah seestani edition 41 maslah no 1963). [Updated on 27-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12373
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: bivi seyd hay or us ka shohar ger syed hay to us k bachon ka fitra kis ko dengy

Answer: 1) Fitra ethiyat e wajib ki bina per faqat un shia 12 imami shia faqiro ko dena zaroori he jo in shra’it per puray utartay hoon jin ka zikr zakat k mustahikeen me ho chukka he aur agar sheher (city) me 12 imami shia faqeer na mlain to doosray musalman faqiro ko fitra day sakhtay hein. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1972). 2) Jis faqeer ko fitra diya jay tu zarori nahi hay keh wo aadil ho laikin ehtiyaat e wajib ye hay k sharabi, bay namazi or jo khul’lam khulla gunah kerta ho osay fitra nah diya jay.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 1974) (Note: fitra mustahqeen ko dena hota hai na ke apne ghar walon ko.) 3)Gahir syed,kis syed ko fitra nahi day sakta hatta keh agar syed os k ghar khana khata ho tab bhi os ka fitra wo kisi dooosray syed ko nahi day sakta.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 1767). [Updated on 27-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!