Question: Fitrana sirf ghar walo ka deya jata ya jo ramzan ma a ka raat raha ka ga hu unka be dana huta ha
Answer: Jo mehman eid-ul-fitr ki rat guroob se pehle sahib e khana (mezban) ke ghar aaye, aur rat us ke han guzare aur us ke han khana khane walon men (agarche waqti taur par) shumar ho to us ka fitar bhi sahib e khana par wajib hai. misal ke taur par wo mehman jo guroob se pehle mezban ke ghar aaye, aur rat usi ke ghar men rahe aur mezban ne us ke liye zaroori sahulaton ko muhayya kiya ho aur us ke kharch ka zimme dar ho agarche mehmen ne kuch na khaya ho ya apne khane se iftar kiya ho to us ka fitra mezban par wajib hai. isi tarah Jo mehman eid-ul-fitr ki rat guroob ke baad sahib e khana (mezban) ke ghar aaye, aur rat us ke han guzare aur us ke han khana khane walon men shumar ho to us ka fitar sahib e khana par ehtiyat e wajib ki bina par wajib hai. aur agar us ke han khana khane walon men shumar nh ho to wajib nahin hai. lekin jis mehman ko sirf iftaar ke liye dawat di ho gayei ho aur rat men na rahe to wo khana khane walon men shumar nahin hota aur us ka fitra mezban par wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1956,1957). [Updated on 09-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Akhri aftaari mai agar rishtaydaar kisi k ghar roza khoulain tu fitra dena wajib hei ghar walo ko un logo ka
Answer: Jo mehman eid-ul-fitr ki rat guroob se pehle sahib e khana (mezban) ke ghar aaye, aur rat us ke han guzare aur us ke han khana khane walon men (agarche waqti taur par) shumar ho to us ka fitar bhi sahib e khana par wajib hai. misal ke taur par wo mehman jo guroob se pehle mezban ke ghar aaye, aur rat usi ke ghar men rahe aur mezban ne us ke liye zaroori sahulaton ko muhayya kiya ho aur us ke kharch ka zimme dar ho agarche mehmen ne kuch na khaya ho ya apne khane se iftar kiya ho to us ka fitra mezban par wajib hai. lekin jis mehman ko sirf iftar ke liye dawat di ho gayei ho aur rat men na rahe to wo khana khane walon men shumar nahin hota aur us ka fitra mezban par wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1956,1957). [Updated on 09-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Jin ki amdani kam ho aur akrajat zaida ho unkey lye kya ukam ha
Answer: Aisa shaks Faqeer shumar hoga or Agr vo 12 Imami Shia bhi ho ehtiyat lazim ki bina par khullam khulla gunah aur tark e namaz bhi na krta ho aur sharabi bhi na ho to vo Shari Faqeer shumar hoga aur aise shaks ko Fitra,Kaffara aur agr syed bhi ho to jitne ka muhtaj ho use utni raqam bhi di jaskti hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), 44th edition, maslah #1908,1971). [Updated on 09-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam- u - Alaikum Mera sawal hai kia fitra talib ilam ko diya ja sakta hai
Answer: Wslm Agar Talib e Ilm shia Isna Ashari ho aur Sharii Faqeer ho to use Zakat e Fitra dia ja skta hai yaani vo k 1. Jis k saal bhar k ikhrajat zyada ho aur amadani kam ho 2. Ehtiyat e lazim ki bina par Khullam khulla gunah bhi na karta ho, be namazi aur sharabi bhi na ho 3. Ehtiyat e wajib ki bina par Gunah ki taraf mail bhi na ho (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), 44th edition, maslah #1907,1908,1971). [Updated on 09-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam- u - Alaikum Mera sawal hai kia fitra talib ilam ko diya ja sakta hai
Answer: W.slm Agar talibe ilm jinhein ap fitra dena chahte hai un mai tamam sharait poori hai ( Sharii faqeer ho: yaani saal bhar k ikhrajat zyada ho or uss ki nisbat income kam ho, Shia Isna Ashari ho, Ehtiyat e wajib ki bina par khullam khulla gunah na krta ho,Sharabi na ho,be namazi na ho ) or vo ap k haa khane wala bhi shumar na hota ho to us talibe ilm ko fitra dia jaskta hai. Faqeer wo shaks hay jis ke pass apne or apne ahleo ayaal ke lie saal bhar ke akhrajaat na hoon laikin jis shaks ke pass koi hunar hoo ya jaaedaad ho ya sarmaya ho jis se wo apne saal bhar ke akhrajaat pure karsakta ho wo faqeer nahe hay .jo faqeer mehnat karke rozi kama sakta ho or apna or apne ahloayaal ka kharcha bardaash karsakta ho laikin susti ki waja se rozi na kamaaraha hon us ke lie zakaat lena jaiz nahe hay .wo taalibeilm jis ke lie rozi kamana us ke tehseel ilm me rukawat ho agar is per ilm hasil karna wajib aini ( ya wo ilm jo har aik per khud wajib hota hay ) na ho tu kise bhe surat me faqeero ke hisso se zakaat nahe lesakta hay or jis faqeer ke lie hunar seekna mushkil na ho ehteyat wajib ki bina per zakaat per zinjaghe basar na kare laikin jab tak hunar seekne me mashgool ho zakaat lesakta hay .( Tauzihul masail aqa sistani masala:1972,1974,1889,1894) [Updated on 20-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam mere ye sawal hai k ager fitre k paise nikaldea the lkn de nahi sake kafi din hogye ab koei aisa shaks Nazar mei NAHI jis ko den ab kia krna chahi hai plz reply
Answer: Agar koi mutahiq nah mil raha ho to ye kar sakti hain ke aap kisi qaabil e itmenaan shakhs ko fitr ki raqam day den ke wo is raqam ko mutahiq tak punhcha day chahe wo aap ke marjea ka wakeel ho ya na ho. (Ref: Ahkam e khums-o-fitra, sawal #24, pg #184). [Updated on 13-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Jin mehman ka fitrah lazim hy unka musalman ya Shia hona laazim hy?
Answer: NULL
Question: Salam, Mughe ye pochna ha k hamare yaha Masjid k Fitre box me Fitra dala jata ha. Jo k Eid ki namaz se pehle rakha hota ha. Kia hamari zimedari us box me fitra dal k khatam hojati ha? Masjid walo ka kehna yeh ha ka wo pehle hi Masjid k paiso se Fitra nikal lete ha phir jab unhe Eid k din logo ka dia hoa Fitra milta ha to wo is tarah wapis Masjid fund me dal dete ha. Kia ye jaiz ha? Shukria.
Answer: