Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 14443
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya qarzay ki raqam ko zakaat kay tor par maaf karsakty hain

Answer: fiqhe jaferia ke mutabiq Raqam ( paiso )par zakat nahin hoti. hah agar ramzaan se phele kise shaks ne kise faqeer( sharhe) ko qarza dia ho or jab fitra is per wajib hojaae tu wo qarz ko fitre me shumaar karsakta hae(Ref: ATauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1820,1983). [Updated on 18-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 14494
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: jab mehman ghar me aaye to uske phitra kai se nekale

Answer: Jo mehman eid-ul-fitr ki rat guroob se pehle sahib e khana (mezban) ke ghar aaye, aur rat us ke han guzare aur us ke han khana khane walon men (agarche waqti taur par) shumar ho to us ka fitar bhi sahib e khana par wajib hai. misal ke taur par wo mehman jo guroob se pehle mezban ke ghar aaye, aur rat usi ke ghar men rahe aur mezban ne us ke liye zaroori sahulaton ko muhayya kiya ho aur us ke kharch ka zimme dar ho agarche mehmen ne kuch na khaya ho ya apne khane se iftar kiya ho to us ka fitra mezban par wajib hai. lekin jis mehman ko sirf iftar ke liye dawat di ho gayi ho aur rat men na rahe to wo khana khane walon men shumar nahin hota aur us ka fitra mezban par wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul Masail Jamme, Ayatullah Sistani(d.b), maslah #2652). [Updated on 08-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 14629
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar kisi k ghar aftari k liye jaen or aftari k bd eid ka elan ho jae to fitrana kon dega?

Answer: Jis shakhs ko Insaan ne eid ki shab men apne ghar iftaar par bulaya ho, wo us ke han khana khane wala shumar nahin hota aur sahib e khana par us ka fitra wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masael, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #1957). [Updated on 30-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17034
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hamla aurat k payt me jo bacha h os bachy pr fitra wajib hota h?

Answer: Jo bacha abhi maan ke pait men ho us ka fitra wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #41, maslah #1963). [Updated on 24-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17362
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mujje ye pochna tha k fitranq ghr k mulazim ko de sakte hn ya fitrane k paison se use eid k kapre ya iski zarort ki cheezen le k de sate hn

Answer: Jis mulazim ko fitra (fitrana) diya jaye agar us me sharaait poori hain aur saahib khana (yani aap ke ghar) ke yahan khana khane wala shumaar nahin hota to use fitra (fitrana) day sakte hain, warna nahin day sakte. Albatta, Fitre (fitrane) ki raqam tabdeel kar ke us ko eid ke kapre aur zaroorat ka saman lay ke nahin day sakte. Balke fitra hi dena hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1918,1972,1974,1975). [Updated on 15-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17372
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Biwe maa k gr ho os ka ftrana shuhr adda kr skta hai?

Answer: Biwi eid-ul-fitr ki raat, guroob se pehle jis ghar me hai agar us ke yahan khaana khaane waali shumar to biwi ka firta sahib e khana (yani maan ke ghar me jo fitra nikalta hai us) pe wajib hai, Albatta agar shohar apni biwi ka fitra nikalna chahe to biwi jis ghar me hai us ke saahib khana ki ijazat se nikal sakta hai. (Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1443, maslah #1042,1043,1048,1050). [Updated on 20-Nov-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17405
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamoalaikum. Agr kisi k ghr m rashan arho kahin se jis k ghr m rashan dal rha ho kia us pr fitra (zakat) dena wajib hai?

Answer: Eid ul fitar ki raat ghurob e aaftab ke waqt jo shakhs baligh o aaqil ho aur behosh nah ho aur faqeer bhi nah ho aur nah kisi ka ghulam ho (jab ye tamam sharait maujood hon) to zaroori hai ke apne aur un logon ke liye jo us ke haan khana khatay hon (chhotay hon ya barhay) fi fard aik saa (taqriban 3 kilo) un ghizaon mein se jo us ke sheher mein istemaal hoti hon mustahiq (faqeer) ko day agar un ki qeemat naqd ki shakal mein day tab bhi kaafi hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1952). [Updated on 16-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17419
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar koiii shakhs mulk sy bahar rehta ho or uski amdan bhi na hi sarkari wazeefy sy khata ho to kia uska fitra usky ghar waly dy sakty hn jabky usky abu fot ho gay hon lekin unki pension sy kia uska fitra dia ja skta?

Answer: Jo shakhs ghareeb o faqeer ho us par fitra dena wajib nahin hai lehaza jis shakhs paas apne aur apne ahal o ayal ke liye saal bhar ka kharch nah ho aur koi rozgaar bhi nah ho jis ke zariye woh apne ahal o ayal ke saal bhar ka kharch poora kar sakay to us par fitra dena wajib nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #1952,1953). [Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17422
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia apni family ka fittra ghar me use kar sakta hay?

Answer: Apne hi ghar ke afraad jaise ke aulaad, maan, baap, aur biwi ke jis ke khane peene aur rehen sehen ka bandobast khud fitra nikalne wale par wajib hai, fitra un afraad ko nahin day sakte Q ke jo shakhs fitra day raha hai, us ke liye zaroori hai ke woh fitra us faqeer ko day jis faqeer ka nafqa (kharch) fitra dainay walay par wajib na ho. (Ref: Tauzeeh ul masail Jaame[farsi], Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1443, maslah #994,1082). [Updated on 14-Dec-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17473
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: فطرہ اگر زیادہ دینا ہو تو کسی چیز کو معین کرنا ضروری ہے یا ایسے ہی دے سکتے ہیں فی فرد 2500 یا اس سے زیادہ دینا ہو تو دے سکتے ہیں

Answer: Us jins ko muayyen karna wajib hai. (Ref: Mujtahid se poochay gaye sawalaat, chapter roza, sawal #217, pg #104). [Updated on 08-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!