Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 15961
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Zameen lafz quran m kitni bar aya hai

Answer: Zameen ko arabic me arz(أَرْض) kaha jata hai or lafz e arz(أَرْض) Quran me 439 baar aaya hai. (Ref: https://www.balaghulquran.com/ ). [Updated on 08-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15978
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: مجھے صرف یہ پتا کرنا ہے کہ قرآن شریف میں نماز کا ذکر کہاں پر ہے کون سی آیات میں ہے اور اسکا ترجمہ کے ساتھ مجھے بتا دیں

Answer: Quran e kareem main lafz Al-ssalaat(namaz) ka zikr 67 baar aya hay. Ikhtisaar ke saath chand aayaton ka tarjima paish e khidmat hai: 1: Surah Baqra, ayat #43, tarjima: 'Aur namaz qaaim karo aur zakat ada karo aur (Allah ke samnay) jhuknay walon ke sath jhuka karo'. 2: Surah Baqra, ayat #83, tarjima: 'Aur jab hum ne bani Israel se ehad liya (aur kaha) ke Allah ke siwa kisi ki ibadat nah karo aur (apne) walidain, qareeb tareen rishta daaron, yateemon aur miskeenon par ehsaan karo aur logon se husn e guftaar se paish aao aur namaz qaim karo aur zakat ada karo'. 3: Surah Baqra, ayat #110, tarjima: 'Aur namaz qaim karo aur zkoh ada karo aur jo kuch neki tum –apne liye agay bhaijho ge usay Allah ke paas mojood pao ge, tum jo bhi amal injaam dete ho Allah yaqeenan is ka khoob dekhnay wala hai'. 4: Surah Nisa, ayat #77, tarjima: 'Kya aap ne un logon ko nahi dekha jin se kaha gaya tha: apna haath rokay rakho, namaz qaim karo aur zakat diya karo'. 5: Surah Nisa, ayat #103, tarjima: 'Phir jab itminan haasil ho jaye to (mamool ki) namaz qaim karo, beshak waqt ki pabandi ke sath namaz ada karna momeneen par farz hai'. 6: Surah Anaam, ayat #72, tarjima: 'Aur yeh ke namaz qaim karo aur taqwa e ellahi ikhtiyar karo aur wohi to hai jis ki bargaah mein tum jama kiye jaoge'. 7: Surah Araaf, ayat #29, tarjima: 'Kehdijiye: mere rab ne mujhe insaaf ka hukum diya hai aur yeh ke har ibadat ke waqt tum apni tawajah markooz rakho aur is ke mukhlis farmanbardar ban kar usay pukaro, jis tarah is ne tumhe ibtida mein peda kya hai isi tarah phir peda ho jaoge'. 8: Surah Yunus, ayat #87, tarjima: 'Aur hum ne Musa(a.s) aur un ke bhai ki taraf wahi bheji ke misar mein apni qoum ke liye makanaat muhayya karo aur apne makanon ko qibla banaao aur namaz qaim karo aur mominon ko basharat do'. 9: Surah Noor, ayat #56, tarjima: 'Aur namaz qaim karo aur zakat diya karo aur Rasool(s.a.w.w) ki itaat karo taakay tum par reham kya jaye'. 10: Surah Room, ayat #31, tarjima: 'Us ki taraf rujoo karte hue aur us se daro aur namaz qaim karo aur mushriqeen mein se nah hona'. (Ref: Qurani maloomaat par mushtamil 1540 sawalaat k jawaab, pg #82. + https://www.balaghulquran.com/ ). [Updated on 12-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16017
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: کیا ہم ٹیک لگا کر قرآن پاک پڑھ سکتے ہیں

Answer: Jee han, is tarah Quran parhna Jaiz hay. (Ref: email rcvd from A.sistani d.b). [Updated on 25-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16110
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: انشاء اللہ کا ذکر قرآن کی کس آیت میں آیا ہے

Answer: Quran InshAllah is (إِنْ شَاءَ اللَّهُ) tarah warid hua hai aur is ka zikr chhe (6) maqamat par zikr aaya hai: 1. (Al-Baqrah, Ayat #70) 2. (Yousuf, Ayat #99) 3. (Al-Kahaf, Ayat #69) 4. (Al-Qasas, Ayat #27) 5. (As-Saffat, Ayat #102) 6. (Al-Fatah, Ayat #27). Ref: link, https://www.facebook.com/2288897964697880/posts/2529282893992718/ ). [Updated on 21-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16128
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Rasool e Khuda ne Quran Pak ki kis surah ki Ayat nazil honay k bad tabligh ki?

Answer: Surah e shuara(الشعراء) Ayat #214 me irshaad e parwardigar hua hai ke: 'Aur apne qareeb tareen rishte daaron ko tanbeeh kijiye'. (Ref: https://www.balaghulquran.com/tafseer.php?id=2313 ). [Updated on 30-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16156
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: surah naml me kitne qaumo ka zikr hai

Answer: 5 qaumon ka zikr aya hai. 1. Qaum Musa (a.s), 2. Qaum saba (Hazrat Sulaiman {a.s}), 3. Qaum samood (Hazrat Saalih nabi {a.s}), 4. Qaum Loot (a.s), 5. Qaum Hazrat Eisa (a.s) Bani Israel. (Ref: https://www.balaghulquran.com/index.php?sno=27 ). [Updated on 04-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16165
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya sureh muntazir padhne se gunah milta hai

Answer: Pehli baat to ye ke Quran e kareem me muntazir (منتظر) naam ka koi surah nahin hai, aur dusri baat ye ke Quran ke kisi bhi sureh ki tilawat karne se gunah nahin milta, balke sawab hilta hai. (Ref: Email rcvd from Ayatullah Sistani(d.b), dated: 06-08-2011). [Updated on 06-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16216
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Quran ki tarteeb kis sahabi ny ki

Answer:

Id: 16299
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Konse surat haraf se SHURU hen

Answer: Huroof muqattiaat se shuru honay wali kul suraten unattees (29) hain aur unkay ke naam darj zail hain Surah al-baqrah, surah al-room, surah ale Imran, surah luqman, surah al-aaraf, surah al-sajda, surah younis, surah yaseen, surah hood, surah saad, surah yousuf, surah ghaafir, surah al-raad, surah fusselat, surah ibrahim, surah al-shoara, surah al-hijr, surah al-zukhruf, surah maryam, surah al-zukhaan, surah taah, surah al-jaasiya, surah al shuara, surah al-ahqaaf, surah al-naml, surah qaaf, surah al-qasas, surah al-qalam, surah al-ankboot. Huroof muqattiaat quran pak ki 29 surton ke shuru mein mlitay hain. Quran majeed mein chaar suraten aisi hain jin ke naam hi un surton mein mojood huroof muqattiaat par rakhay gaye hain. yeh chaar suraten surah Taah, surah yasin, surah saad, aur surah qaaf hain. (Ref: https://www.facebook.com/207002889919512/photos/a.209696739650127/441304316489367/?type=3 ). [Updated on 18-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16305
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Main. Ny kasam Khai ak lrki sy Quran py hath rkha hum dono ny k dubara ni milain gy ab Wapis ly skta hu

Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 27-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!