Question: sir maine ek hindu larki ko kalma padha kar aur khuda ho hazir nazir maan kar yeh alfaaz mai nikha kara k kya tumhein mere saath nikah kabool hai usne haa mai jawab diya maine 3 baar poucha usne haan mai jawab diya aur humne meher bhi tai kara tha to kya hamara nikah ho gaya kya plz ans digiye hum dono balig hai
Answer:
Question: actually main aik larki say zina kar chuka hun mager jab us ki divorce hui to main edatt main b zina kar chuka hun mager muje maloom nahi tha mager main ab us larki say shadi karna chahta hun pls meri mada farma dain . koi aisa rasta jis say main us say nikah kar sakoon our gunahoo say bach sakoon , replay me pls main buhat pareshan hun .dont mention my email on the site but you can send me email pls
Answer:
Question: assalamunalaikum, mai 1 ladke se pyaar karti hu jo ki dubai me rehta hai, humari dosti facebook pe hui thi aur phon pe baat karte karte pyaar hogaya, hum 2no abhi tak ek dusre se mile nahi hai, mere ghr me ye baaat malum hai aur meri ammi shadi k liye raazi hai,, dad abhi tak to nahi maane par maanjaayene, unke ghrwalo ko b ye baat pata hai par unke gharwale nahi maan rahe humari shadi k liye, to kya agar mere dad maan jaaye aur unke waledain na maane to humara nikah ho sakta hai??? koi wazifa ya dua bataiye jisse mere dad raazi ho jaaye,, plz reply
Answer:
Question: meri beti ne mery bary bai k bety k sath doodh peeya hai un ab ap mujy ya batain k kia meri beti k bad ka beta hai aur mery bai k bety k bad ki beti paida hui hai kia kia in dono ki shadi ho sakti hai jo razai behan aur bai k bad paida hue hain k ne is mamly main meri thori c rehanamai kijiye please
Answer:
Question: salam ham jis mulk me rahte hayn yahan log musalman hay sunni shafayi kahte hayn apne aap ko magar kuch halat ayse hayn ke yahn log magribi adaton me dhale hayn subha nikah hota hay shamko talaq ho jati hay , bachon ko chod kar bap chala jata hay yani awlad ke bachpan me bap ne ma ko talaq de di awr dusri shadi kar li awr qat e tallouq kar liya awr kisi bhi mulk me rahne chala gaya ya isi mulk me raha magar koyi rabeta nahi yahan tak awlad badi ho jati hay awr awlad apne walid ko pahechanti bhi nahi hay galti mahol ki hay , magar saval mera ye hay ke aysi kisi ladki se agar koyi shia ladka agar aqde daem ya gayre daem karna bhi chahe to ya to walid ka pata nahi hota ya walid la tallouq hota hay ya kisi dusre mulk me hota hay ayse me wali ki ijazat wala masla jo hay us ka kya hukm hoga ?
Answer:
Question: hi salam,mera sawal yeh hai kay main ek larkay sy bht pyar kartay hain .or humray ghr walay shadi kay liyeh nae maan rahay hain. hai kiya hum 4 gahwa ki majodgeh main. ek dosary ko ager husband wife man leh tu kiya humra nikkah ho jahay ga yeh nae plzz answer me.
Answer:
Question: Asakum..mera sawal ye hai k mai ek ladki ko chahta hun r usse nikah b krne wala hun .lekin kuch majburi ki waja se nikah ek saal k bad krna hai ghar wale sub razi hai..lekin mai abhi us ladki se nikah krna chahta hun bina ghar walon ku bataye...phr ek saal bad ghar walon k samne dobara se nikah hosakta hai..r nikah k kya sharayat hai.kya kisi ko btaye bgair nikah padha liya jaye to nikah hojay ga ...? Plz pura jawab den ..shukriya.
Answer:
Question: YA ALI MADAD. mera sawal yeah ha k maine ghar waloon say chup k nikkah kia hai aur meri shareek.e.hayyat ny bhee q k dono ki families main ana (EGGO) ka masla ha woh kehtain hain mardo apny ap ko lakin hum gair (out of relatives) main rishta nahee dain gain chahyee woh ayash hoo sharabi hoo yan zinnah khor hoo agar hum apnoo main dain gain to humari ankhoon k agy hogi humari beti ab sawal dusra yeah hai k kia main us ko woh ghar chorny k liyee kahoon k nahee q k woh kehti hai k mery liyee mery waladin k bari izat hai jb k main kehta hoon woh sab theek lakin jab woh tumhary liyee yeah sochty hain k 45 saal k admi say rishta kerna pasand karain gain sharabi,ayash,zinnah khor, chor ko dain gain lakin kisi or jaga (out of relatives) nahee dain gain plz reply detail main dain is baat ka k main mera Nikkah zahir karoon k nahee kia main apni family ko bata dooon yaan kisi moky ka wait karoon ??
Answer:
Question: mera maslak shia hai aur ma syed family sa hoon namaz sunny tarz per perta hoon maray 3 bachay hain aur mery wife meray tamam haqooq pooray kerti hai mujay is k bawjood irani syed girl say shaadi ki khaish hai jab k meri wife is baat ki sakht khilaf hai mujay jawab zaroo dain ap ki boht mehrabani hogi.
Answer:
Question: Salam. Maine aisa gunah kia hy k khud ko shia kehty huey sharam ati hy.lekin phir bhi mera maslaq (Al-Hamdo Lillah) Fiqa Jafferia hy. Main apna asal naam nhi btana chahta hoon. Umeed hy iss k ba wajood aap mery sawal ka jawab zroor anayet farmaein ge. Mera sawal ye hy k maine (age 26yrs) aik larki se (age 24yrs) zinna kya, aise k uska kawara pan nhi tora aur bura kam (anal sex) bhi kia. Phir main kisi waja se dosary city main chala aya. Kuch time phely maine aur uss larki ny bina kisi ki ijazat k aur bina kisi gawah k ALLAH aur RASOOL Pak (p.b.u.h) ko gawah maan k nikah ka khutba aur seeighay mobile phone per aik dosary ki raza-mandi se parhy jab k hamary waldain iss baat ki ijazat nhi dety k humari apais main shadi ho. Wo larki aur uss ki family zaat main achy hain jab k main aur meri family unn ki family se kam samjhi jati hy. Ab surat ye hy k maine uss larki se ya hum ne jo aik dosary se nikah kia hy kya ye nikah shia mazhub main jaiz aur halal hy aur kya hum iss nikah ko jari rakh sakty hain? Jab k hum dono aik dosary k sath rehna chahty hain. Kya hum main se koi aik iss nikah ko na maany ya humary ghar waly (jo hamari shadi k haq main nhi hain) is nikah ko manzoor na krain, iss surat main kya hukam aata hy? Agar ye nikah sahi nhi, tu hum kya phir se kisi bhi tarah se apny ghar waloon ko raza maand kr k nikah kr skty hain ya hamary milny ki koi surat nikal sakti hy? Humary masly ka solution bta dain, Insha ALLAH hum uss pe bharpor amal krain ge aur hamesha k leay aap k haq main dua krain ge. Aap se ye bhi iltaja hy k ab jab k hum ne aik dosary se maafi mangi thee aur apny ALLAH se bhi apni ghalti ki maafi maang rahy hain, tu aap bhi hamary leay dua krain k ALLAH RAB ul Izat hamary guna ko maaf farma dain. (ameen)
Answer: