Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 633
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar mian aur biwi ke sexual relation qayam na huay hon kya Huq mehar phir bhi ada karna hoga ?

Answer: Biwi se jima na hone ki surat me nikah me moiyan shuda mehar ka aadah(half) mahar dena hoga. (ref:www.sistani.org/arabic/mahar/q4). Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2553
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Nikah main meher ada karne ka kya system hai? Kya meher baad main bhi ada kiya ja sakta hai, jaisa ke hamare mulk main hota hai, muajjil aur gairmuajjil, plz quran aur sahih hadid ki roshni main jawab den

Answer: Jaiz hay k saray k saray mehar ko moujil(muddati) ya ghair e moujil(ghair muddati) ya indat talab(mutaalbay k waqt ada kerna) qarar dia jay aur baaz ko moujil aur baaz ko ghair moujil qarar dia jay aur moujil may muddat ka mouin karna zaroori hay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 302). Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3636
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: slam mera sawal ye hai ke mere nikha mein ek lakh haq mehr likha hua hai jo ke pheli raat maaf ho gaya hai kiy ager mein apne biwi ko talaq doon to mujhe huqmehr ada kurna ho ga ?

Answer: Agar bivi apna haq meher apnay shohar ko maaf ker day tu phir shohar per wajib nahi hay k wo apni bivi ko huq meher ki raqam ada karay.( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen,part#3, maslah#318 ). Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3985
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Haq Mehr Kyun Dete Hain, Aur Haq Mehr Dena Kyun Zaruri Hai?

Answer: Meher kisi aurat se nikah kerne k sabab se ya nikah k baad os ko mo,ayyan(fix) kerne k sabab ya jima kerne k sabab aurat ka haq hota hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e maslah before#286). Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 4030
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agha sahab mera sawal ye hy k ye haq mehr kyun rakha jata hai, aur is k ada na karne par kya gunah milta hai? aur shadi raat biwi k sath jima krne se valime me kuch asar parhta hai kya?

Answer: 1-Meher kisi aurat se nikah kerne k sabab se ya nikah k baad os ko mo,ayyan(fix) kerne k sabab ya jima kerne k sabab aurat ka huq hota hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhaajus saliheen part#3, maslah before#286 ). 2-jab aik aurat se mehr e mo,ayyan per nikah kia ho to shohar per meher daina wajib hay. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhaajus saliheen part#3, maslah before#299 ). 3-koe asar nahi perhta. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #4,388). Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 4956
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalamualycum, Mera sawal ya hai kay agar mard ghusay main apni bevi ko Haak Mehar dey tu kya ya talak ki aik kisim ho jati hey ya nahi. app kay jawab ka matlob rahon ga.

Answer: Haq e mehar to biwi ka hi haq hai aur shohar ko mehar dena wajib hai is sai talaq nahi hoti hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2333-2462). Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5197
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mehr-e-misl kya hai?

Answer: Agar daaeme nikah mai mehar tay na kia gya ho to mard ko chaheay k biwi ko is ka mehar is jaisi auratoo k mehar k mutabiq dai, ise Mehar e misl kehte hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2383). Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 5649
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sharai huq mehar kitne gold ya silver k baraber hy ?

Answer: Meher ki kam az kam miqdaar moayyan(fix) nahi hay, layhaza jitni miqdaar per shohar or bivi razi ho jain durust hogi. Isi terah meher ki ziyada se ziyada miqdaar moayyan(fix) nahi hay, laikin mustahab hay meher sunnat se ziyada nah ho, or meher e suunat 500 dirham chandi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #287). Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 6066
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslamu alaikum, Kya Mehar Ki rakam, Miya se Sohabt krne ya Na krne pe depend krta h. Please Jawab dijiega. mere yha Km se Km 50000 rupey ka Mehar kiya jata h. islie puch rhi hu.

Answer: Agar daimi nikah parhtay waqt mahar denay k lie muddat tay nah ki jae to aurat mahar lenay sai pehlay shohar ko jima karnay sai rok sakti hai, Laikin agar wo mahar lenay sai pehlay jima par razi ho aur shohar is sai jima karay to baad mai wo sharie uzr k baghair shohar ko jima karnay sai nahi rok sakti. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2384). Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 6683
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ak larli ak larka milta hain or arzi nikah krna chahte hain gunah sa bachna k liya kya nikah jaiz ha k nai?

Answer: Wo Kunwari larki jo khud mukhtaar nah ho os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat zaruri hai. Or agar lerki khud mukhtaar ho tu os k liay apne wali (baap ya dada) ki ijazat ehtiyaat e lazim ki bina per zaruri hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2328-2335). Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!