Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 1364
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar apke pele se hi zyada bache ho or ap or bacha nehi karna chate to kya hum abotion kara sakte he....kya hum tablets condoms springprotetion istmal kar sakte he

Answer: Rehem main nutfa(mani) k qarar paanay(thehairnay) k baad isqaat e hamal kerna(abortion) jaiz nahi hay.or aurat k liay jaiz hay k wo hamal ko rooknay wali tablets istemaal karay is shart k saath k in tablets say aurat ko koe barha nuqsaan nah pohanchta ho.{yaani ye tablet hamal say pehlay khani hongi taa keh aurat ko hamal nah ho,hamal k baad abortion k laiy tablet khana jaiz nahi.}.merd k liay jaiz hay k wo condam istemaal karay laikin ehtiyaat wajib ye hay k is kk istemaal kernay say pehlay apni b.v say ijazat lay lay.or rahi baat coil (springprotetion) ki tu aurat is ko sirif is sorat main istemaal ker sakti hay k is say aurat ko koe barha nuqsaan nah pohanchta ho or is coil k istemaal k doraan koe haram kaam anjaam nah daina perhta ho.maslan Lady Doctor ko coil rakhtay waqt aurat ki sharamdaah ko daikhna ya baghiar dastanay k chona na perhay. kun k ye kaam haraaam hain or ye bhi shart hay k is coil ki wajah say thehra hoa nutfa zaya nah hojaay. (Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded fiqhi masail, maslah #415,416,417,465). .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1380
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam u alkum janab.mera sawal ya ai ke ik hafta bad mere shadi hai,bwe say hambestare la islami tareeqa batyee,aue muje keya kar na chaheye.jawab jalde chaheye.

Answer: Bivi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hay k jima k waqt mustahab hay k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab bivi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makroh hain on main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumayraat kdin k,3. groob e aaftaab k waqt ka hona,4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena,5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay,6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main ,7. islami mahinay ki dermiyaani or aakri taarikh main jima kerna,8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna,9.berhana (naked) halat main jima kerna,10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna,11.jima k waqt bivi ki sharamgaah ki janib nazar kena,12.jima k doraan baat kerna siwaay Allah k zikr k. ye tamam kaam makrooh hain jin say perhayz kerna behtar hay.)Ref:Ayat ullah Seestani(D.B) minha jus saliheen Part #.3,maslah #5) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1384
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: biwi k sath hum bisteri ka sahi tareeqa betai plzzz

Answer: Bivi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hay k jima k waqt mustahab hay k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab bivi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makroh hain on main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumayraat kdin k,3. groob e aaftaab k waqt ka hona,4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena,5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay,6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main ,7. islami mahinay ki dermiyaani or aakri taarikh main jima kerna,8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna,9.berhana (naked) halat main jima kerna,10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna,11.jima k waqt bivi ki sharamgaah ki janib nazar kena,12.jima k doraan baat kerna siwaay Allah k zikr k. ye tamam kaam makrooh hain jin say perhayz kerna behtar hay.)Ref:Ayat ullah Seestani(D.B) minha jus saliheen Part #3,maslah #5) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1387
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalamualikum mera rishta pakka huwa rassam bhi ho gaya,per mujhe ye shadi pasand nahi hai,ye rishta tutna ke liye kuch dua hai.

Answer: 1)Nikah ki shariet me se aik shart ye he ke, Aurat aur mard shadi per razi hoon. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha khoei (r.h.) masla # 2379) 2) Agar sura-e-muzammil ko rozana aik aik dafa 41 days tak parh kar dua ki jai to (inshallah) yaqeenan rishta tay ho jaiga. (REF: Wazaif-ut-talib, pg no. 76.) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1396
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: back site say karnay say nika toot jata hay or is ka gunha hay

Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nahi honay ki sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay.or is amal say nikah baatil nahi hota. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 67 , 2335) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1413
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aoa,agar haiz ki halat main sohar k sth intercourse kr lain tu kiya yeh sahi hai or agar haram hai tu phr is k liyeh kiya krna ho ga?

Answer: Haiz k ayyaam (days) main aurat (women) ki farj mein jima karna mard aur aurat dono kay liay haram hai, balkeh kaha gaya hay k ye gunah-haan e kabeera main say hay. chahay dukhool sirf supari(paishab ki nail ka shuru ka chikna hissa) ki had tak hi ho aur mani bhi kharij na ho, balkay ehtiyaat-e-wajib yeh hai k supari se kam miqdar main bhi dukhool na kia jaay. albattah yeh hukum aurat se dubur (maqaam-e-pakhana) mein jima k liay nahi hai. lekin dubur mein jima, aurat ki razamandi k bagair ho to ehtiyaat-e-wajib ki bina par jaiz nahi hai (chahey woh haiza ho ya na ho). (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 448) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1419
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiss karne par kaunsa azab hai , aur ye sagira hai ya kabira guna

Answer: Mian aur biwi k alawa jitni bhi jinsi lizzat hasil ki jein wo azeem ghunaoun me se he. (ref : munhaj us salaheen ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 30).Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1431
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia mian bevi ek dosay ki sarmgahoo ko kis kar sakty hain

Answer: Shohar aur biwi danoo apne badan k kisi bhi hissa ko dosray k badan k kisi bhi hissa se mus kar sakhte hein. (ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), jaded faqhi masayl masla # 406 pg # 236) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1439
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera saval yeh hae k shadi ki pehli ratme bistar karna jaruri hae

Answer: jee nahi, shadi ki pehli raat hambistari kerna wajib nahi hay.Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reson) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(E-mail rcvd from ssitani(d.b),dated:26. 05-2010 & tauzeehul masail,Agha Seestani,maslah #2382). .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1449
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AWa maine suna hai ke puri tarah nange hokar humbistari karna gadhe ke mafik hai kya ye such hai

Answer: 1)Shohar or biwi ka nangay ho ker jima kerna jaiz hay laikin aisa kerna makhroh hay 2)aurat ki faraj ki taraf nafar karna bhi makrooh he. (ref : Minhajus Saliheen Part#3, maslah #5). Logo ne hazrat imam jaffer e sadiq a.s. se daryeft kia k agar koi shakhs apni aurt ko nanga kar k dakhe to kaisa he? imam ne farmaya k na dakhne me lazzat ziada he. (ref : kitab tahzeeb ul islam pg # 130) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!