Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 1228
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia agar mian bivi ko back side say fuk karay to is sy nikah toot jata ha k nhi?

Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay.Aur is sai nikah batil nhi hota hai.(ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2335) .Update on dated 20-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1229
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia agar mian bivi ko back side say fuk karay to is sy nikah toot jata ha k nhi?

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina per bivi k peechay ki janib say jima kerna haram hay.is amal say nikah nahi totta.(ayatollah khoe(R.a),tauzeehul masa’il, maslah# 6, 456(3), 2507-2518) .Update on dated 07-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1230
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: A.salma A.W.B mufti saahab.. muje ye bataiye ki kya shohar apni biwi se uski marji ya marji k bina kitne waqt tak us se hambistari (intercource) kiye bina reh sakta hai. kya iska koi quran me bayan hai? pleas replay

Answer: Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os merd k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho ( ref : tauzeehul masail,Agha Seestani,maslah #2382). .Update on dated 11-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1232
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Apni bivi k sath hambistrai k doran uzu tnasul ko aurat k peechy waly sorakh mai dalna jaiz hai ya nahi?

Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main ethiat e wajib ki bina per haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 70) .Update on dated 11-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1242
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: SALAM:-- DELIVRY KE KITNE DIN BAAD HAM BISTARI KAR SAKTE HAI.ONLY FOR QURAN AND HADISH BOOK

Answer: Halat e haiz o nifaas main shohar k liay jima kerna haram hay.Bache ki waladat se 10 din tak jo khoon(blood) aurat ko Aye wo khoon nifas he. ye ho sakta hay k khon e nifaas aik lehza say ziyada nah aay laikin 10 din k baad aanay walay khoon ko nifaas nahi kehtay(Ref :Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 448,498,501,503-4,). .Update on dated 07-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1251
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: hijade kaise paida hote hai? Kya back use karne se hote hain?

Answer: Aik Riwayat k mutabiq jab kisi na mehram aurat ko daikhnay se shehwat ya khahish paida ho or wo apni bivi se jima karay tu khatra hay k jo bacha paida hoga wo mukannas(hijre) ya deewana paida ho.(Ref: Tehzibul Islam,Allama baqir majlisi, pg#132). .Update on dated 30-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1253
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir A.A. mera swal ye hai k agr meri biwi mery penis ko suck kry tu kia ye islam main jaiz hai.1 dosra swal ye k peiods(girls k) k baad Gusal ka tariqa kia hai. plz tell me soon

Answer: 1)Jee haan,mian bivi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye kay sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.( Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15. ). 2)aurat k haiz se paak honay k lie ghusal ka tareeqa ghusl e jannabat ki terha he. 3)ghusl ka tareeqa : : Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: sistani d.b. tauzee hul masail, maslah # 456,360-365). .Update on dated 04-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1263
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Biwi ki pussy ko choose sakte hai ya nahi aur ek baat yeh hai ke kia biwi miya ka cock moo mai lekar choos sakte hai aur biwi ke boobs ko choos sakta hai us ka husband Plz bataye

Answer: mian bivi aik dosray ki sharamgaah ko kiss aur suck ker saktay hain,magar ye kay sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay..Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15. ) .Update on dated 18-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1284
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: as salaam o laikum aksar bivi se phone pe masti karte waqt mujhe gila mehsoos hoti he k koi cheez nikli he magar nahi pata k ye mani he ya koi ratobat is halat me kiya gussal wajib hoga or kiya bagher gusal kiye hum quraan ko par sakte he ya nahi

Answer: 1)Wo ratoobat jo khabi khabi shehwat ubharne per mard k maqam e peshab se kharij hoti he usay mazi kehte hein wo paak he. 2) Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay. 3) Quran majeed ki 7 se ziadah(more) aisi aayat perhna jin me sajdah wajib nah ho makrooh he.aur jin k perhna se sajdah wajib hota he onka perhna haram he.or halat e janabat main apnay badan ka koe hissa(part) Quran majeed ke alfaz se mas(touch) karna haram he. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 70,345,354 , 355) .Update on dated 30-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1293
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ramzan main humbistari karna sahi hai ya galat

Answer: Mah e ramzan me din k waqt jimma haraam hai aur rozay ko batil kardeta he albatta raat me kar sakte hai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1565) .Update on dated 30-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!