Question: Mera husband mujhe mubashret karne se pahle bolta hy monh me lo aur chooso, kabi kabi to wo me sir ko dubat hy to us wo mere haleq tak chala jata hy. Kia eisa jaiz hy?
Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15).Update on dated 20-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: assalamo alaikum apne btaya k mastrubation jayz nai h insa allah mai chod dunga.mera sawal h k sadi k bad anal sex kiya ja sakta h ya nai r agr hsbnd and wife ek dusre k part ko chhu agr mastrubate kre to kya ye galat hai? plz ans de.
Answer: 1-Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna(anal sex) bivi k raazi nahei honay ki sorat main ethiat e wajib ki bina per haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). 2-Shohar aur biwi aik dosray k badan k zahari aur baatni tamaam hisso hatta keh sharamgah ko bhi dekh sakhtay hein. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Ayat ullaha Sistani d.b. Masla # 406 pg # 236, email rcvd from A.Sistani(d.b) 3-Biwi shohar ki sharmgah(penis) hathon main le ker masht zani(masturbation/hand practice) kar sakti hai.isi terah shohar bhi apni bivi ki sharamgaah ko hath laga sakta hay or sharamgaah main ungli daal sakta hay.ye kaam shohar or bivi k liay jaiz hain.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15. ) .Update on dated 26-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: sex ka kon sa tarika hram hai
Answer: Shariat e islami nai apni biwi say hambistri karnay k lie puri aazadi aur choot di hai k insane jis tarkeeb sai chahae apni pasand k mutabiq jima karay. (Ref : Kitab islam aur jinsiaat pg # 154) Magar ye k Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). Update on dated 26-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: if by mistake sex has done back side of women so what should do?
Answer: Anal intercourse with the wife if she is not agreed with this act it is forbidden obligatory precaution. And if she is agreed with this act it is highly abominable(makrooh). (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67).Update on dated 20-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya shohar bivi ka dodh pee skta ha ya niples chat skta ha plz jaldi btana
Answer: Shohar bivi k breast suck(choos) ker sakta hay, Is say nikah batil nahi hota hay laikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, to ehtiyaat wajib ye hay k bivi ka doodh nah pia jay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). .Update on dated 26-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kiya biwi apne shohar ki moni kha sakti hai?
Answer: Mani (semen) najis hoti hay or kisi bhi najis cheez ka khana , peena ya kisi doosray ko khilana,pilana haram hay.balkeh sharamgaah se nikalne wali dosri paak ratubato(maslan, mazi,wazi, wadi) ko peena bhi jaiz nahi hay.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 84,135+ Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). .Update on dated 26-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya ap muje sex krne k islamik tarika bta skte h
Answer: 1) Bivi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hay k jima k waqt mustahab hay k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab bivi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makroh hain on main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumayraat kdin k,3. groob e aaftaab k waqt ka hona,4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena,5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay, 6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main ,7. islami mahinay ki dermiyaani or aakri taarikh main jima kerna,8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna,9.berhana (naked) halat main jima kerna,10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna,11.jima k waqt bivi ki sharamg ko dekhna makrooh he. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 ) 2 Agar aurat haiz aur nifaas se paak ho to os se har din humbistri ki ja sakte hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #448 ) .Update on dated 26-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mera question ye hai k mera pen,s chota hai us ko para karne ka tarika btaen plz jaldi jawb dein allah ap ko khush or abad rakhen
Answer: Nojawaan jab ghair mutabir afraad ki taraf ruju kertay hain tu wo onhain ghalat mashwara daite hain, maslan merdo main aam taur se yehi baat bayaan ki jati hay k merdo k aala e tanasul (penis) main 3 khososiyaat hona zarori hain: 1- Lamba or seedha ho. (Large & straight), 2- Mota ho. (thick), 3- Sakht ho. (hard). Or aam tabeeb (doctors) bhi yehi taleem merdo ko daite hain laikin jahaan tak uzo e tanasul (penis) ka chota ya lamba hone ka sawaal he, tu osay bas is qadar hona chahiay k Indaam e nihaani (yani sharam gaah) ko mutaharrik ker sakay or sub se ziyada hassaas(sensitive) sharam gaah ka baahar ka hissa hota he. Khaas taur per bazr (Clitoris) or os tak pohanchne k liay chota uzo bhi kafi hota he. Laihaza penis k chote berhe hone se koe faraq nahi perhta, albatta penis ka bohot hi ziyada berha hona takleef ka sabab hota he. Or penis k te,rha(crookedness) hone se bhi koe faraq nahi perhta Q k wo sharam gaah main jane k baad khud hi seedha ho jata he. Penis k mota or patla honay se bhi koe faraq nahi hota, Q k aurat ki sharam gaah k naram or lachak-daar raysho main phailne or sokarhne (Shrinkage) ki salahiyat hoti he. Or itna sakht hona zarori he k aurat ki sharam gaah main asaani k saath dakhil ho sake. Ghalat tabeeb ghalat ray day ker nujawaan nasal ko mayoos ker daite hain. {Laihaza aise tabeebo (doctors) se bacha jaay}.(Ref: Tehqeeqi islami encyclopedia,mu,allif doctor sibt e shabbar zaidi,wakeel e ayatollah muntazari, part#1, pg#110-111 ). .Update on dated 26-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera sawal hai ke meri bv rozana do baar sex karne ko khaeti hai par mujhe time nhahi ha mere office jane ke bad wo hand sex karti hai meri gair mojodgi main yai jaij hai
Answer: 1-Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reson) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,Agha Seestani,maslah #2382). 2- Istimna(yani merd ya aurat ka apnay saath ya kisi doosray zarye say jima k alawa koe aisa kaam kerna jis k natijay main mani kharij ho) karna haram he . (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253) jab bivi 4 mahinay tak hambistari se doori per is terah se sabar nah ker sakti ho k shohar ko khoof ho k agar hambistari nah ki gae tu os ki biwi haram main mubtila ho jay gi tu ehtiyaat e wajib ye hay k shohar 4 mahinay se pehlay ya tu hambistari karay ya apni bivi ko talqa day day or apni bivi ka raasta khool day. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#3, maslah #341) .Update on dated 26-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya husband wife ki clit choos sakta he?
Answer: 1-Mian bivi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye kay sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15. ) .Update on dated 26-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).