Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 3647
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: bewi ke shrmgah (vegena) par jeeb lagana haram he ya nahe bewi ke sath hambister ke leye kya hukm he

Answer: 1-Mian bivi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye kay sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15. ) 2- Agar aurat haiz aur nifaas se paak ho to os se har din humbistri ki ja sakte hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #448 ) .Update on dated 26-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3649
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Din k waqt biwi se humbistri karna jaiez hai.

Answer: jaiz hay. (Ref. E-mail rcvd from A.Sistani(d.b) 11 apr - 2012). .Update on dated 26-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3658
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: janab... ap mere rahnumaiee farmaaey k kis tarah mard ka aaza (penis) barhaya ja sakta hy naturally taraeeeeeky se????????? ap kay jawab ka muntazer..AAmir

Answer: Nojawaan jab ghair mutabir afraad ki taraf ruju kertay hain tu wo onhain ghalat mashwara daite hain, maslan merdo main aam taur se yehi baat bayaan ki jati hay k merdo k aala e tanasul (penis) main 3 khososiyaat hona zarori hain: 1- Lamba or seedha ho. (Large & straight), 2- Mota ho. (thick), 3- Sakht ho. (hard). Or aam tabeeb (doctors) bhi yehi taleem merdo ko daite hain laikin jahaan tak uzo e tanasul (penis) ka chota ya lamba hone ka sawaal he, tu osay bas is qadar hona chahiay k Indaam e nihaani (yani sharam gaah) ko mutaharrik ker sakay or sub se ziyada hassaas(sensitive) sharam gaah ka baahar ka hissa hota he. Khaas taur per bazr (Clitoris) or os tak pohanchne k liay chota uzo bhi kafi hota he. Laihaza penis k chote berhe hone se koe faraq nahi perhta, albatta penis ka bohot hi ziyada berha hona takleef ka sabab hota he. Or penis k te,rha(crookedness) hone se bhi koe faraq nahi perhta Q k wo sharam gaah main jane k baad khud hi seedha ho jata he. Penis k mota or patla honay se bhi koe faraq nahi hota, Q k aurat ki sharam gaah k naram or lachak-daar raysho main phailne or sokarhne (Shrinkage) ki salahiyat hoti he. Or itna sakht hona zarori he k aurat ki sharam gaah main asaani k saath dakhil ho sake. Ghalat tabeeb ghalat ray day ker nujawaan nasal ko mayoos ker daite hain. {Laihaza aise tabeebo (doctors) se bacha jaay}.(Ref: Tehqeeqi islami encyclopedia,mu,allif doctor sibt e shabbar zaidi,wakeel e ayatollah muntazari, part#1, pg#110-111 ). .Update on dated 26-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3660
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya nikha or ruksatie ka baad husbad and wife dono alag rah skta ha 1 years tk. phela 2 months ek saath raha or pr 1 years ya 6 months tk dono alag raha skta ha? is sa nikha toot jata ha ya nh?

Answer: Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. Laikin is se nikah nahi batil nahi hota.(tauzeehul masail,ayatollah Seestani,maslah #2382). .Update on dated 26-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3677
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: islam mai (Chees) khel na q mana hy aur islam mai bhaie apni bhen ky sath nikha kar sak tha hy kiya aur ak sath 2 bivo ko sex kar sak tha hy kiya?

Answer: 1) Shitranj (chess) khailna haram hay chahay kisi maal ki shart per khaila jaay ya is k baghair khela jaay.(Ref. Jadeed fiqi masail, Ayatullah sistani(d.b) ,maslah# 469) Note: islam k ehkaam Allah aur Rasool(s.a.w.w) k mutabiq hote hain aur in ehkamaat me koe na koe hikmat aur maslehat zaroor hoti hai chahay kisi ko pata ho ya na ho aur kisi ko in ehkamaat per aiteraaz karne ka huq nahi hai q k ye ehkamaat or qawaneen khuda e hakeen o dana ki janib se hain jo tamaam ghaib ka ilm rakhne wala or har faida or nuqsan ka jaanay wala hay. 2) Bhaie ka apni bhen se nikah karna haram hai q k wo apas main aik dosray k liay mehram hain.(ref. Tauziul masail masla no: 2349 aqa sistani) 3) kar sakte hain biwio k liay ye jaiz nahi hay k wo aik doosray k sharamgaaho ko daikhain. (Email Rcvd from A.Sistani(d.b), Dated:Oct 27, 2011). .Update on dated 26-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3681
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: SALAM agar zoja wazu karke namaz padne jaye & husband ka maan humbistari ka hojaye to pehle kya karna chaiye ?

Answer: Agar namaz ka waqt bohat kam ho or wo qaza ho jay gi tu phir namaz ko terjeeh di jay gi.(yani phir pehlay namaz ko hi perhna hoga).( Ref: Email rcvd from A.Sistani(d.b), Dated:May 2, 2012 ).Update on dated 26-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3682
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Char mahine se jayada biwi ke sath sambandh nahi banane se Nikah tut jata hai kiya ?

Answer: Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reson) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho.(tauzeehul masail,Agha Seestani,maslah #2382). Note: Shohar agar apni jawaan bivi se 4 mahinay se ziyada hambistari nah kary tu nikah batil nahi hay.(Ref: E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: 27.04.12) .Update on dated 26-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3689
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Suhagrat me miya bivi kitne kapde utar sakte he?

Answer: 1-Shohar or bivi k liay jaiz hay k wo aik dosray k tamaam jism ko daikh saktay hain,or isi terah aik dosray k jism k tamaam hisso(parts) ko jism k kisi bhi hissay(part) say choo(touch) saktay hain.ye choona chaahay lazzat k iraday say ho ya baghair lazzat k, jaiz hay. 2-Berhana ho ker hambistari kerna jaiz hay laikin makhrooh hay or hambistari k doraan bivi ki sharamgaah per nazar kerna makhrooh hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen,part#3, maslah#11,5).Update on dated 26-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). .

Id: 3692
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya apni biwi condom phan kar azu e tansl chuswana sakty hain q k us say us k monh main najasat dakhil ni hoti

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) Note: ye baat wazeh rahay k condom per jo chemical laga hota hay os ko haluq main lay jana sehat k liay muzar ho sakta hay or is per jo chemical laga huta hay os ka choos ker halaq tak pohchana bhi osi sorat main jaiz hoga jab ye yaqeen ho k is chemical ko peena jaiz hay. .Update on dated 26-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3693
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera question hai k kia wife se anal sex kartay waqat apna pani(liquid)us ki ass mein nikal saktay hain?

Answer: 1-Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main ehtiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). 2-Jee haan,shohar apni mani(semen) ko bivi k maqad(ass) main nikal saktay hay.(Ref: E-mail Rcvd from A.sistani(d.b),dated: 27.04.12). .Update on dated 26-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!