Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 8014
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kea wife ko pichy sy krna jaiz hy

Answer: Ager razi ho to jaiz hai lekin shaded makrooh hai. (Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8036
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mera Sawal yeah hy k shadi k bad wife aur hony Waly bachy pr kharch Kis ko krna chaiye agr wo Apny waldain k ghar hu shadi k bad wife k Nan-o-nafka ki zimadari shohr ki h ya ya shohar k ghar waloo'n ki agr shohar out of country hu

Answer: Daimi nikah(Permanent Marriage) k baad biwi ki ghiza, libaas, rehaish aur zandigi ki baqi zaroriyaat ka intezaam shohar par wajib hai or isi tarah bache k akhrajaat shohar per wajib hote hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2014,2376). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 8058
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Moharram mn kitny dinno tk biwi k sth humbistari nhn kr saktry?? aur woh kon kon sy hain??

Answer: Sharai tor pe to halat e haiz o nifaas ke dino k elawa jima kiya ja sakta hai (Albatta Moharram ul Hram k mahine men jimaa ko tark krna apke apne aqeede or ehtrram se taliq rakhta hai). Update on dated 20-11-2015. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 448, 504). Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8110
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA... mera sawal ye hai k biwi ki sharmgah ko choom/choos/chaat skte hen or sharmgah se nikalne wala pani pi sakte hen or vegina ,anal suck kr skte hen or fingures in krskte hen??????

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaye ). Update on dated 20-11-2015. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) Shohar or biwi k liye jaiz hai k wo aik dosray k jism k tamaam hisso(parts) ko jism k kisi bhi hissay(part) say choo(touch) saktay hain.ye choona chaahay lazzat k iraday say ho ya baghair lazzat k, jaiz hay). Update on dated 20-11-2015. (ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaa jus saliheen,maslah #11). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8143
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Husband mujhay ami k ghar chor gay hain or koi rabta nahi ha oab meray ghar walay kahtay hain main kula lay lo lakin main asa nahi cahati plz koi wazifa bata dain

Answer: Mian biwi ki aik doosray se mohabbat o ulfat k lie har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat # 7 ko 7 martaba parha karain. Is se donoo me bai-misal mohabbat qaim ho jay gi. (ref : kitab naway salaheen pg # 404) Note apne shohar se kud contract kar ke un se wapis jane ki kuhaish zahir karain, or apni zindagi main ache se ache aklaaq o kirdaar ko apnane ki koshish karain. (Ref : Nawadir ul Ahadees , jild # 1 , Topic # behtreen shaks ki nishaandahi , pg # 62 ).. Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8187
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya shadi ki pahli rat ko orat or mard ko apas my mubashrat karna zarori ha?

Answer: Shadi k pehli raat hambistari kerna wajib nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), email rcvd). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8202
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: a.A mera swal hai kya admi apni b.v ki back side sy sex kary to kya nikah ttooott jata hai?

Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi na hone ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay albatta nikah dono suraton men nahi tootta). Update on dated 20-11-2015. ( is se nikah nahe toota ). Update on dated 20-11-2015. (Ref : Ayatullah Seestani(D.B.) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8203
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya b.v sy sucking karwai ja sakti hai or kya admi b bov ki sharmgah may zuban dal kar sucking kar sakta hai plzzz telll me?

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain, magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian na jaye (Miyan biwi ek dusre se har qism ki lazzat hasil kr sakte hen albatta agr biwi razi na ho to phir peeche ki side se sex krna jaiz nahi hai)Ref : Ayat Ullah Sistani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8299
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mugh sy ak bhoat bra gunah ho gaya ha me bhoat pershan hu plz Sir me ny apni wife ki back side use ki h kia mera nikah tooth gaya h mughy kia krna chahyia Allah pak sy mughfrat ki dua h k mughy muf farmay me ap k answr ka muntazir hu

Answer: Ehtiyaat e lazim k taur per aurat ki back ki janib se jima (intercourse) haram). (Ref : Ayatullah khoe(r.h) Tauze ul masael, maslah # 456. Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8327
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya bibi ka chuchi aur chut peene se nikah toot jata hai

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay. Shohar biwi ki breast suck(choos) ker sakta hay,leikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moo mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k biwi ka doodh nah piaya jaay(yaani halaq say neechay nah utara jaay.) Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) ,(laikin is se nikah nahe toota). Update on dated 20-11-2015. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf.org). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!