Question: kia bivi ki gand me dala ja skta he...????ur is me gona he k ni??
Answer: Aurat ki anus main jima kerna sakht makhrooh hay. (Ref:Ayat Ullah Khumeni(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah #449).. Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: biwi ko peeche chodne me nikha tootta hai ya nai????
Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna bivi k raazi nah honay ki sorat main haram hay, agar bivi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. Lakin is se nikah nahi toota he (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 70) .Update on dated 10-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam-O-Alaikum agar koi bv se sex kare our us ke baad ghussul karna zarori hota hai ? agar koi na kare ghussul to kiya Aolaad NAJAIZ ho jati hai ? Maherbani kar ke mujhe is ka jawab dain..
Answer: Jima(intercourse) (karne se insaan per namaaz perhne k lie ghusl e janabat wajib ) hojata hay.(Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356). Update on dated 24-02-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia self sex krne se napak ho jaty haein?jese sex krne se hoty hain?iski islam me kia saza hai?
Answer: Shohar aur biwi k ilawa kise aur tariqe se jinse lazzat hasil karna gunah e kabira hay . .(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30) Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) agar mani kharij ho jaay to ghusal janabat wajib ho jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 344). Update on dated 23-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Age: 70 saal Husband se 14 saal se koi rabtaa qayam nahi. Shohar alag makan me rah rahe the or biwi bacho ke sath 14 saal se alag rah rahi thi. 14 saal ke bad shohar ka inteqal ho jata hai to iddat ka kya masail hai or iddat kaise puri ki jayegi
Answer: Answer: Iddat e wafat: 1. Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay, laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481,2482) Iddat e talaq e rajai: 1) Wo aurat jise talaq e rijee di gae ho wo iddat k dooran os mard k liay sahree bivi ki haisiyat rakhti hay yahaan tak keh iddat khatam ho jaey. Aurat k liay zarori hay keh har qism k istimtaa(lazzat) se jo shohar ka huq hay nah roke or jaiz balkeh mustahab hay keh shohar k liay banao singhaar kare or oski ijazat k baghair os k ghar se bahar nikalna jaiz nahi hay. Iddat e rijee k doran bivi k akhrajaat shohar per wajib hain. Bashart yeh keh wo nashiza(Nafarman) nah ho or os ka fitra or kafan bhi shohar k zimme hay. Kisi aik k marne se doosra waris ban sakta hay or mard iddat k doran saali se shadi nahi kar sakta. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2508) 2. Agr ap k shohar ne apse hambistari nahi ki to ap per koi iddat nahi hai.lekin agr hambistari ki thi to is surat main aap itni muddat tak sabar karen k apko 2 baar haiz aye or phir pak hojaen or jese hi teesra haiz ayega to aap ki iddat khatam hojayegi phir dusra nikah agar kerna chahain to kar sakti hen.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2475)Answer: Agar koe aurat baywah hojaay or agar wo haamlah nah ho tu qamri (Chaand k lahaaz say) 4 mahinay or 10 din iddat rakahy. Jo aurat wafaat ki iddat main ho os k liay rang baranga libaas pehenna(colour full dress),surmah lagana or is terah dosray aisay kaam kerna jo zinat main shomaar hotay hoon haram hain or dosray nikah say roki rahay,laikin ghar say bahar nikalna haram nahi hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2481,2482) [Updated on 21-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Delivery k bad mian biwi mil skty hai apus main ya nai
Answer: Jee, delivery k baad hambistari ki jaa sakti hay laikin aurat ka haiz or nifas se paak ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #504). Update on dated 11-09-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Delivery k bad mian biwi mil skty hai ya nai
Answer: Jee, delivery k baad hambistari ki jaa sakti hay laikin aurat ka haiz or nifas se paak ho. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah #504). Update on dated 11-09-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Shohar ka apni bv k sth pechy se hmbistri krna jaiz ha?
Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay). (Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). [Updated on 06-Jul-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Biwi ki razamandi hone k bawjud agar shohar humbistari 2 saal Tak na kre toh Kya nikah jayaz hai?
Answer: humbistri na karne se to koi farq nahi parta albattah , shohar apni jawan biwi se 4 mahine se ziada muddat ke liay humbistri tark nahi kar sakta magar yeh keh humbistri us ke liay nuqsanday ya buhut ziada takleef ka baais ho ya us ki biwi khud 4 mahine se ziada muddat ke liay humbistri tark karne par razi ho. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no 2382). [Updated on 04-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia biwi k pechay jama Kia ja sakta hai?
Answer: ahtiyat e wajib ki bina par jaiz nahi agar biwi razi na ho, aur agar razi ho to bhi shadeed makrooh hai.(Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Masla no 448). [Updated on 04-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]