Question: AoA Mera nikaah ho chuka hy but abi rukhsati nai huii Kia mera us k sath physical relation ho sakta hy rukhsati se pehly kiuu k sharaii tor pe hum mian bv hen?? Plz ans
Answer: Jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2327). . Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). ). Update on dated 19-11-2015.
Question: Assalam o Alaikum,, mera sawal ye h k mian r biwi k darmayan bol chal kitne arse k lye bnd ho to nikah khatam ho jata h kindly mere is sawal ka jaldi jawab dijyega...
Answer: shohar or bivi ki dermiyaan bool-chaal katam hone ki wajah se nikah katam nahi hota. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462 to 2472).. Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya shohar haiz k dinon mein bivi k pichly sorakh sy dakhil ho skta hy?
Answer: Bivi ki raza mandi ki sorat main jaiz hai laikin shaded makhrooh hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b) Al-masail e mutakhaba,Mafhoom e Maslah #67).. Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: asalam o alaikum mera sawal ye hai k agar ghalti se duran e mubashirat biwi k pistaan mu me leny se doodh mu me ajay tou is ka kaffara kya hoga??? kindly reply q k tauzee ul masail me mujhe iska answer nhi mila
Answer: Shohar biwi ki breast suck(choos) kar sakta hay lekin shohar biwi ki breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, to ehtiyat wajib ye hay k biwi ka doodh nah pia jay(yaani halaq say neechay nah utara jae.) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Mafhoom e E-Mail from Answers@najaf .org). . Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: MERA SWAL HAI KI... EK SHAUHAR APNI SAHRIK-E-HAYAT KA DOODH PI SAKTA HAI YA NHI ?
Answer: Shohar biwi ki breast suck(choos) ker sakta hay,leikin agar shohar biwi ke breast ko suck karey aur moo mai doodh aa jaye, toh ehtiyaat wajib ye hay k biwi ka doodh nah piaya jaay(yaani halaq say neechay nah utara jaay.)(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Mafhoom e E-Mail from Answers@najaf.org).. Update on dated 19-11-2015 (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Bivi ki Sharam gah dehkana jais hai?
Answer: Jaiz hay. (Ref : Ayat Ullah khoe(r.a), Minhaajus Saliheen Part # 2, Mafhoom e Maslah #1231 , nashir: Daarul Hujjah) . Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: My question is the first night of marrage about a girl.i want know is the new girl come the blood in her body when husband do the first time sex with the wife.
Answer: Shadi ki pehli raat aurat ko khoon ana zaroori nahi hai. Q k ho sakta hai k wo aurat kisi accident(ya phir kisi or ayse amal jese jumping wagera) ki wajah sai apna kunwara pan khatm kar chuki ho. Lehaza ye zauri nahi hai k aurat k kirdar ko is baat ka sabab qarar diya jaey.(Ref : Mafhoom e Email receive from Ayatullaah Sistani (d.b). dated : April 21, 2011). Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: humbistari kitne taqeeron se karsakte hain..how many angle do we have to do sex with your partner according to sharyath
Answer: Shohar or bivi jis sex k tariqe per razi hoon wo jaiz hay. (Ref: Mafhoom e email rcvd from ayatollah sistani d.b).. Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalum o alaikum! Mje ye puchna hai k agar nikkah k baad shohar biwi sy apna jism dkhany ki khuwahish karay tou kya usay dkhana jaiz hai jb k jism dkhana door sy hi ho.???
Answer: Nikah k zariay aurat mard per aur mard aurat per halaal ho jate hain. Lehaza nikah k baad bivi ka badan daikhna or ose chona jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2327). . Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Pls answer agr bewi humbistari karna chay aur shohar ki marzi na ho tu kya shohar ko guhna mila ga
Answer: Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi kersakta magar ye k(except) hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2382) Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).