Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Talaq ( 824 Questions)


Id: 20799
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: mery abu ne meri ammi ko larai k duraan bhot dafa kaha hai k mein tum ko nai rakhta mein ne tm ko talaaq di hoi hai jab k mery abu ne 3 dafa mun se nai di talaaq...tu kia mery ammi abu ki talaaq ho gae hai plz mujhy es ka answer dena hamary gahar mein es bat se bhot tension bani hoi hai.

Answer:

Id: 20808
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: AOA, Muala Sab Ko Salamat Rakhay. Meri Shadi 2005 may hui, shadi k baad meri biwi nay kabhi bhi Chadar nahi li jis k liay may nay usay Kai mertaba Roka, Danta, Baat kerni band ki and in Last haath bhi uthaya. 1 year and three months k baad meri biwi Lar k apne ghar chali gai, jis k baad aaj tak nahi aai. Is dermyan wo apnay ghar beemaar bhi hui jis ka Sara Expense may ne uthaya, aur us k ghar ata jata raha Aur Kai Martaba chaha k wo ajaye MAGAR us ki deman thi k Makaan us k naam keroo and wo makaan jo Meri MAA k naam hai. Al-Mukhtasar may nay sara Kharcha uthaya and Last November may demand ki k Ab ajao werna Tallaq dunga magar Biwi nahi aai Jis k Bad Tang a Ker may nay TALLAQ-e-SHARAI di. Now Mere Susral waloo ne court may case kia hai k May poray 5 Yrs ka kharcha du and jhota ilzam yeh bhi lagaya hai k Bemari per sara kharcha unhone kia hai jis per unhone Jhoti Rasedain bhi dikhain hain. Mera Sawal yeh hai k Kia Shariyat may aisi koi gunjaish hai k "Agar Biwi Apni Merzi se Ghar Chor ker jaati hai and Nahi Ati, And Koi Haq-e-Zojiaat bhi ada na keray" tu MARD us ka Khracha uthane ka paband hai ya nahi. Because May tang achuka hu , jhote ilzamat seh seh ker.. her mumkin koshish ki thi k wo ajaye and jab 5 years wait kr k wo nahi aai tu may nay majboran Tallaq di thi. Please guide and reply k Shariyat may aisa kuch hai k Agar Lerki Apni Merzi se Chali jaye Phir bhi Lerka 5 years ka khracha uthaye... Even may 1 lac Mehar and 03 Months ki iddat ka expense denay ko tayyar hu. PLEASE REPLY

Answer:

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 20819
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Main apni biwi ko talaaq dene ke liye bilkul tayaar nahi tha. usne sirf ek chotti si baat ko lekar talaq lena chaha.pur maine inqaar kardiya bawajud ussne kafi pressure kiya aur mere sath rehne ke liye hargiz raji na thi. aakhir mujhe majboori main usse talaq dena pada, agar woh wapas mere paas aakar rehna chahe to kya raasta hain uske liye.

Answer:

Id: 20831
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: mary aik cousin hain un ko 15 July ko un k shohar chor kar aur bacho ko apne sath lai kar chalay gaye they. 2 month baad unho ne talaq k documents bhaj diye. aur kaha k unho ne SIGHEY bhi parwa liye larki ki ghair mojoodgi main. kiya is tarah un ki talaq ho gai ? aur ab wo dobara rujo karna chah rahe hain. kiya ye wapis ja sakti hain? plz reply as soon as possible.

Answer:

Id: 20832
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Answer is urgently required. 1 lerki ka 12 saal pehly nikah hua tha leken rukhsati nai hoe thi. nikah k kuch arsay bad lerkay nay talaaq (divorce) day di.talaaq diye hoy 11 saal ho gay hen.3 notice bhejway thy lerkay nay. ab 11 saal bad lerki ki kahi or shadi kernay lagy hen. jb nikah ka wakt aya to maulana sb nay kaha k jis lerkay k sath pehly nikah hoa tha us nay seeghay ada nai keye sirf talaaq (divorce) k notice bhejway hen. is liye ab is ka nikah jaiz ni ha. ap say guzarish ha k shari hisab say is maslay ka kia hal ha jb k lerka ab seeghay ada ni kerta dushmani ki waja say. Q.1 Kia pehly wala nikah abi tak qaim ha Q.2 agar lerka talaaq k seeghay ada ni kerta to kia kerna chahye Q.3 Lerki ki shahi kahi or kerni ha is ka koi hal b btaye. shukria

Answer:

Id: 20840
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: assalam o alikum...meray husband nai mujhy ghussay mai kaha ke tum meri taraf se azad ho,,1 bar nahi kahi bar kaha,,,ab jab mai un se baat karna chahuu tu mujhy kehtay hain ke mera tum se rishta khatam hai,,,tum azad ho,,koi baat poochoo tu kehtay hain tum samjhti nahi hu mera tum se rishta khatm hai,,mai tumhay rakhna b nahi chahta,,ab mai kiya karoo.or es baray mai kiya hukam hai

Answer:

Id: 20843
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: pasand ki shadi main age larki khula galat fahmi ki wajha se krny ko tyar ho jye mgr wakeel sirf larky ko ik call per bolay k ejazat do ya nhi mgr khula ho jye gi to kya khula ho jati hai ? aur agr us k bad larki shauhar se bat khtm na kray aur iddat bhi na karay aur khud bhi chahti ho shuru se k us ki shadi khtm na hui ho to kya rishta jyes hai ? aur agr hai to nikah dubara krna ho ga ya khula nhi hui ??

Answer:

Id: 20858
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: mere nikah ko 2.5 saal ho gaye hain magar rukhsati nahi hui aur pechle ek saal main muje mere shohar ne 2 bar talaq 5 ya 6 mahine ke faraq se 2 bar talaq bhi di aur har bar rujhu kar liya,ab mere waldain ko pata chala to woh chahte hain ke woh muje talaq de dain magar woh kehte hain khula le lo ja ke,main nahi talaq donga,hum dono humbisatri bhi kar chuke hain 2 saal se magar yeh baat mere ghar wale nahi jante.unka etbar mere shohar par se uth chuka hai kyun ke woh humare nikah ke 6 mah bad ek aur nikah bhi kar chuke bagir bataye aur puche,main jana chahti hoon ke agar main khula leti hoon to kya muje haq mehar mile ga jo unhone muje aada nahi kia tha aur agar court main khula ho jati hai to iddat ke arse kya woh wapas raju kar sakte hain mujse ya nahi?

Answer:

Id: 20864
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: agar husband bivi se ke me to bachon ko primary schools me parhaon ga .wife ne kaha ke me khud job kr k parha lon gi ache school me.to husband ne kaha k to phir to meri taraf se farigh hai.muthe aisa laga woh kah rahe hain k me phir tumein nahi poochon ga.husband ka kehna hai k meri talaq ki niyyat nahi thi me bachon ko kah raha tha k yeh phir meri taraf se farigh hain .muhje sunai dia k mujhe kaha ke to phir farigh hai.mujhe bhi laga k unki talaq ki niyyat nahi thi.lekin kia in alfaz se talaq hogi ya nahi.

Answer:

Id: 20896
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: asalam o alikum . mje ye baty k mai apni ami k yha hu 8 maheeny se n me khula le rahi hua pny shohr se adalt mai bhi case hai mai ak dafa b nai gai apny shohr k ghr wapas many suna hai ak orat ne batya k agr orat 3 maheeny tk wapas na jae apny shohar k ghr to khula to khd ba khd shariyatan hojati hai kya ye thik hai and iddat bhi nahi rehti phir us per kya ye sahi hai plz mje baty jazakALLAH

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!