Question: Q1 aurat khula leti hai court se wo dosri shadi kar sakti he? Q2 wo aurat muslim nahi he please answer me Q3 muslim hone k bad shadi kar sakti he?
Answer: Jab tak wo orat islam qabool nahi krti tab islami ahkamat us k liye be-faaida hen, or ksis musalman ka non-muslim orat se shadi krna bhi jaiz nahi hai, albatta agr wo islam qabool kre to phir islami ahkamat us k liye sabit honge or phir ksis musalman mard se shadi kr sakti hai. (Ref:Ayat Ullah khumeni(d.b), Tauzee hul masael # 2391,Mafhoom e Maslah #). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: meri zoja aur us ka baap mujh sai khola liana cha rahai hai magar mai us ko khola daina nhy cha raha hon womujh per zoor dai rahai hai meri rehnumaie farmaeyai? aur yai bhi bataeyai kai wo kin shrait per mujh sai khola lai sakti hai?
Answer: Jab aurat apnay shohar ki taraf maa’il na ho(ya os ko pasand na kerti ho) or apna meher ya koe raqam apnay shohar ko is liay day takeh woo os ko talaq e khula day, aisai talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main baat laazmi hay k zoja apnay shohar say itni nafrat kerti ho k hoqooq e zojiyat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki day.mazeed ye keh talaq k liay zarori hay k merd apni merzi ya ikhtiyaar say day,ager os ko talaq per majboor kia gaya ho tu tu ye talaq batil hogi.(Ref: Aytullah Seestani (d.b.) tawzee hul masail maslah # 2492 & 2462).
Question: mera sawal hai k khula sirf court say hi ho gi ya maslahti committee may bhi ho sakti hai or court k paper affidavit per title Khula likhey ya Talak bazarya khula likhey shukriya k saat jawab dey
Answer: Talaq sirf usi wqt hogi jab shohar khud apni riza-mandi se talaq de, albatta share`at e muqaddasa men court k nikah, talaq or papers ki koi ehmiyat nahi hia,(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462 to 2475, 2492). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Mera Nikah hoa ha Rukhsati nahi Meri wife mujh sey Khula mang rahi ha kia mujhe Talaq k baad Haq maher dena parey ga k nahi as main ne us k sath hum bistari nahi ki
Answer: Jee han ap haq mehr ka adha hissa biwi ko denge, albatta agr ap chahen to orat se talaq e khula k badle kisi chiz ka mutaliba kar sakte hen jese haq e mehr ka wo hissa maaf krwa sakte ya phir is se zaaid raqam ka mutaliba bhi kr sakte hen.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # 309, Eidition 1417 hij). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mera nikah howa hai aur rukhsati nahi howe hai aur Hambistari b nahi howe hai .kuch ghalat fahmiyo ki waja say ab wo court k zarye khula lena chah rahi hai aur mai nahi day raha ho .ap batai k is ka kiya hall hai aur mai ye rishta nibhana chah raha ho
Answer: jab tak shohar razi ho ker talaq nahi de tab talaq durust nahi.court ki talaq k baad bhi wo aap ki bivi hen .(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462 to 2475, 2492). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: agar aurat khula le adalat k zareey or mard adalat main na aye or adalt us khula de de to talaq waiqa ho jati ha.or aut dosri shadi kr sakti ha.kia mard ka apny munh se talaq dena zururi hota ha plz tell me islam es main kia kehta ha
Answer: Jee nahi ye talaq nahi hogi, jab tak shohar khud apne irada or ikhtiyar se apni biwi ko talaq na de tab tk talaq nahi hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2462). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: ager shohar galigloch karta ho sakhat mazaj ho uss kimojudgi se aurat ko tention hoti ho nafrat b karti ho saxualy satisfied na hoti ho bachun ke salook b bura ho to aurat khula le to gunnagar to nahin ho gi
Answer: Jee nahi mazkoora surat men orat talaq e klhula ka mutalibba kar sakti hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2492). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Khula ki suratein kiya hain aur khula ki surat mein jo kuch ladaki ko diya gaya hai uski wapasi ho sakat hai ke nahi
Answer: Agr biwi apne shohar se is qadar ziyada nafrat krti ho k use hambistry na krne ki dhamki deti ho, to is surat men wo apne shohar se talaq e khula ka mutaliba kr sakti hai, or qabool krna shohar k ikhtiyar men hai, isi tarah talaq e khula men jita maal chahe orat se talaq k ewaz mang sakta hai. agrchhe haq e mehar se ziyada hi q na ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2692-2499). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam mera sawal h k mene apne shohar se khula li h lekn ab hum dobara nika krna chate h ase m ky krna hoga plz btaden
Answer: Agr iddat khatam ho chuki ho tu aap dobara on se nikah ker sakti hain..(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2498). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Saalam O Alaikum, Mera sawal ye hai ke keya prgnent woment khula le sakti waladat se pahel? Aap ke jawab ka muntazir hu..........
Answer: Agar shohar bivi ko halat e haiz main talaq de or baad main pata chale k bivi hamla thi tu is sorat main talaq batil hay baqi tamaam sorto main hamila aurat talaq ko talaq di jasakti hay..(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2478). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).