Question: maine apne shohor se qula liya hai. kya mujh pe iddat lazim hai? kya qula me iddat zaroori hai?
Answer: Jee haan.khula bhi talaaq ki hi aik qism hay.is main bhi iddat rakhna laazmi hay.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2475,2498).
Question: kya neend mein di gai talaq ho jati hai?
Answer: Neend me de hoe talaq sahi nahi he. Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-2473 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: my husband said tallaq 3 times .he didnot say i m giving u talaq just say the word 3 times am i divorced
Answer: 1) Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. 2) agar aik talaq k baad iddat(3 haiz) k doran ruju nah kia jaay tu nikah ker k os ko biwi banaya jasakta hay.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).(agar in sharait k mutabiq talaq di gai ho to talaq sahih hogi magar yeh bhi ek talaq shumar hogi, ek sath tin talaqe nahin ho sakati).
Question: mai teen shadi kar chuki houn pehle talaq ke baad dusri aur dusre talaq ke baad tesri kya ye jayaz hai
Answer: 1)Jee haan lakin aurat aik sath 2 (do) merd k nikah me nahi aa sakhti jabke merd aik sath do kar sakhta he. 2)aurat dosri shadi apni iddat khatam honey k bad kar sakhti hein. Is me do cheezain hein aik talaq ki iddat hoti he aur aik wafat ki iddat hoti he. 1: wafat ki iddat : Agar koi aurat bewa ho jey aur agar wo hamila na ho to qamri 4 mahine 10 din iddat rakhe. Yani shadi karne se ruki rahe aur agar hamila ho to wazh e hamal tak iddat rakhe. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2481) 2 : talaq ki iddat : Jis larki ki umer pura 9 sal ho chuki ho aur jo aurat ya’essa na ho, us ka sohar us se mujameat karey to agar wo usi talaq de to zurari he k wo aurat talaq k bad iddat rakhey. Aur aisi aurat ki iddat jis k do(2) haiz ka darmiani fasla 3 mah(month) se kum ho ye he jab is ka sohar use paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. Aur dosra nikah kar sakhti he. Lakin agar sohar aurat se mujameat karney se pahle use talaq de to us k lie koi iddat nahi he yani wo talaq k foran bad shadi kar sakhti he. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#2355,2475 ) 3) Zarori hay k aurat talaq k waqt haiz ya nifaas say paak ho or os k shohar nay oski is paaki k doraan jis main talaq di jaay os say hambistari nah ki ho. Aurat ko haiz ya nifaas ki halat main 3 soorto main talaq dayna sahi hay. 1) shohar nay nikah k baad os say hambistari nah ki ho. 2) Malloom ho keh wo haamlah(pregnant) hay or agar ye baat maloom nah ho or shohar osay haiz ki halat main talaaq day day or baad main shohar ko pta chalay keh wo haamlah thee tu wo talaq baatil hay. 3) Merd ghair haazri(absence) ya kisi bhi wajah say agarchah apni b.v. k makhfi rakhnay k sabab ye maloom nah ker sakta ho keh wo haiz ya nifaas say paak hay ya nahi.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#2463-4,5 ).
Question: i want to know that i send written divorce three at one time but i send it through mail(post service) but it recieve her father and not yet shown to my wife whaether it is done or not please let me know
Answer: Ye talaq sahi nahi he q k zurari he k talaq ka sigha sahi Arabic k saath perha jaay aur 2 aadil mard usay sun lain.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2472).
Question: main yah puchna chahti ho kah mara husband na mujhe 1 talaaq pehla behji thi aur phr 15 dinno baad hi teesri talaaq behj di kiya yah tallaq ho gayi ha kah abhi koi gunjaish baki ha kiya 1 month main 1 hi tallaq hoti ha
Answer: 1)Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. 2)agar aik talaq k baad iddat(3 haiz) k doran ruju nah kia jaay tu nikah ker k os ko biwi banaya jasakta hay.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 & pg#460).
Question: mai 18 months se apnay shohar se juda humujhay sweden ke qanun ke mutabiq talaq ho gai hai,magar mera x husband mujhay talaq nahi de raha hai aap ke pas is maslay ka koi haal hai?
Answer: 1)Ye talaq sahi nahi he q k zaruri he k talaq ka sighah sahi Arabic k saath perha jaay aur 2 aadil merd usay sun lain.(ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2472). 2) Zarori hay k aurat talaq k waqt haiz ya nifaas say paak ho or os k shohar nay oski is paaki k doraan jis main talaq di jaay os say hambistari nah ki ho. Aurat ko haiz ya nifaas ki halat main 3 soorto main talaq dayna sahi hay. i) shohar nay nikah k baad os say hambistari nah ki ho. ii) Malloom ho keh wo haamlah(pregnant) hay or agar ye baat maloom nah ho or shohar osay haiz ki halat main talaaq day day or baad main shohar ko pta chalay keh wo haamlah thee tu wo talaq baatil hay. iii) Merd ghair haazri(absence) ya kisi bhi wajah say agarchah apni b.v. k makhfi rakhnay k sabab ye maloom nah ker sakta ho keh wo haiz ya nifaas say paak hay ya nahi.(Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#2463-4,5 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: a husband can give divorce if thay had no sexual relation between husband ad wife not even for one time.
Answer: It is valid to divorce a woman even if she is in Haidh even the husband has not had sexual intercourse with her wife after marriage.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 2464). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Agar koi shakhs bina parhay talaq k legel documnets pe sign kar day to kia talaq ho jay gi? jab k us ne zaban se 1 dafa nai kaha? kia talaq legel paper per sign kar k ho jati ha ya zaban se kehna zaruri ha?plz mere swalaon k jawab jald az jald den.
Answer: (talaq sahih hone k liye chand sharayet ka hona zaroori he jase k) : 1)zurari he k talaq ka sigah sahih arabi me lafz “talequn” k sath perha jay 2)zurari he k 2 adil mard use sunein. 3)zurari he k mard balig aur aaqil ho. (etc.) (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462-2473) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: kya nikah se pehly talaq ho sakti hai?
Answer: Talaq biwi ko di jati he aur jab tak koe nikah nah karay talaq bhi nahi ho sakhti. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2462) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)