Question: meri biwi muj se khula lene cahti hai magar main nahe dena cahta.kya aisi surat main khula ho jae ge
Answer: Jee nahi is surat men talaq e khula nahi hogi. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2462) . Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: a o a sir mra swal ye hey k agr lrki ka nikah zbrdsti krvaya gya ho aur rukhsti b na hoi ho to khula kesy Liya Jay k khula raz rhy kyn k nikah b chnd logo ki mojodgi m hoa th
Answer: khula ki zarorat nahi, Q ke nikah ki shart ye hai k mard or orat nikah pr razi hon, lehaza agr larki nikah per razi nahi hai to ye nikah sahi nahi hai. .(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2335). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asalamoalaikum mjh ye pochna tha k mene khula li ha do din phle or aj se iddat shuru krni th asar maghrib k bad lkn mere ayam (haiz) shuru hogae hen to kya is halat me iddat shuru krskti hn? agr nh to kya phr is haiz k bad mjh 3 or haiz pore krne honge?
Answer: Agar talaq k k khuch diar baad haiz aay tu ye aik shumaar ho jata hay or is haiz k baad mazeed do haiz ka or intezaar kia jaey or jaise hi teesra haiz aay gat u aap ki iddat khatam ho jaey gi. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah # , Eidition 1427 hij). Update on dated 07-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Khola hogaya hai kiya phir se miya biwi ban sakte hai
Answer: Khula k baa os aurat se nikah ker k osay apni bivi banaya jaa sakta hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, part#3,Mafhoom e Maslah #2486). Update on dated 10-04-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Shohar agr Khula K segay na prhay to sharai lihaz say talaq ka dusra hal btain. 1.5 sal say sohar e mutalqa ko seghay paharny ka keh rahay hain lakin wo pahrny ko tiar nai Ho raha. Plz jaldi jwab dijiaga hum be had preshan hain
Answer: Talaq ka haq shohar k paas hota hay. Agar wo raazi nah ho tu os ko raqam day kar khula per raazi kiajaey.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition#41, maslah #2492). [Updated on 29-Mar-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: agr koi aurat 2 maah se shohar se alag reh rahi hy phr woh ussay khula ly leti hy to kiya us aurat par iddat bnti hy?
Answer: Agar shadi k baad se hambistari nah hoe ho tu phir koi iddat nahi hai Agar hambistari hoe ho tu iddat rakhni hogi. (Ref: tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah 24750. [Updated on 01-Nov-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: خلع سے کیا مراد ہے؟
Answer: us aurat ki talaq ke jo apne shohar ki taraf mail na ho aur us se nafrat karti ho apna meher ya koi aur maal use baksh de takeh woh use talaq de de. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeehul masail, Masla no 2492). [Updated on 04-Sep-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya qula ka Baad sohar apni biwi sa baat kar ka ussa maana sakta hai ka dubara sa nikah ka liya
Answer: agar koi aurat talaq e khula ya talaq e mubaarat ki iddat ke doran apni bakshish se phir jaye to shohar uski taraf rujoo kar sakta hai aur dobarah nikah kie beghair use apni biwi bana sakta hai. agar shohhar iddat k baad osi se nikah karna chahay tu nikkah kar sata hay or nikah k liay baat karna jaiz hay. (Ref: Tauzeeh ul Masail Ayatullah sistani d.b, maslah no #2498) [Updated on 17-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: my husband don't respect my parents and use bad words for women he lives abroad I just got nikkah not rukhsati and now I don't want to live with him because it's been 2 yrs and I'm mentally sick because of his behaviors
Answer: us aurat ki talaq ko jo apne shohar ki taraf mayil na ho, aur us se nafrat karti ho apna meher ya koi aur maal use baksh de take woh use talaq de de , is qisam ki talaq ko talaq e khula kehte hain. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Masla no 2492). [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AoA,Mera sawal ha k khila kay bad aurat dusre merd se nikkah ker sakti gaya Nahi??
Answer: Agar shadi ke baad mujamiat (humbistri) kare to agar khula ya talaq ho jaye to iddat guzarne ke baad aurat dobara nikah kar sakti hai, aur agar shadi ke baad mujamiat (humbistri) nahi hui ho to is surat me khula ke baad foran dosra nikah kar sakti hai. ( Ref: Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh Ul Masail, Maslah#2475). [Updated on 17-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]