Question: Agr aurat khula lena ka bad iddat krna chahy to uska kiya tarika hoga?
Answer: Talaq khula ho jane ke bad jo iddat rakhi jati hai is iddat ka matlab ye hai ke is dauraniye (time period) me aurat nikah na kare Q ke iddat ke dauraan nikah karna Haram hai, lekin baaqi tamam kaam kiye jaa sakte hain jo roz mara ki zindagi me anjam diye jaate hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2365,2475). [Updated on 16-Jun-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mere shohar se mene khula Lia tha ab 2 sal bad wo dubara ruju krna Chahta hai Kya ye mumkin hai?
Answer: Talaq e khula, talaq e Baain k aqsam men se hai, or talaq e baain wo talaq hai jis k bad mard apni biwi ki taraf ruju krne ka haq nahi rakhta , matlb bager nikah kiye dobarah use apni biwi nahi bna sakta , lehaza khula dene k bad shoahar apni apni biwi ki taraf ruju nahi kr sakta, albbat agr biwi talaqe khula ki iddat k doran shoahar se us ewaz (badle) ka mutaliba kre (ewaz men ruju kre) jo usne shohar ko dekr us se khuli li thi to ye talaq rijee (ruju wali) hojayegi or us k bad shohar iddat k darmiyan hi biwi se ruju kr sakta hai. lekin agr ewaz men ruju na kre to phir iddat ka wqt guzarne k bad wo dono dubara nikah kr sakte hen. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael Mafhoom e Maslah # 2486). [Updated on 16-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr mard ny dosri shadi krli hai to is baat sy naraz ho kr ya mard ki dosri shadi ko na-pasand krty huwy orat mard sy khula ly skti hai?
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq, Is soorat main khula nahin hoti, Q ke talaq dene ka haq sirf mard ke paas hai, aurat ke pas nahin hota, Haan aurat shohar se talaq ka mutalba kar sakti aur shohar ko haq hai ke wo talaq day ya nah day, aur talaq dene ki soorat main talaq ke seegahy shohar ya shohar ne jis ko seegahy jaari karne ka kaha hoga wo jaari karay ga. Note: Fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq court se talaq nahin li ja sakti. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b) edition #42, maslah #2492,2493). [Updated on 27-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: میں نے خلا کورٹ سے لی تھی پھر میری شادی ہو گئ اور اےک بیٹا ہے اب یب بات ہو رہی ہے کہ سیغے نہیں پڑے مجھے پلیز حل بتائیں
Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiq, Jab tak shohar khud mukammal sharaait ke saath talaaq na day tab tak talaaq sahi nahin hoti. Aur fiqh e jaffariya men talaq ki sharaait ke mutabiq likh kar (written) talaq dena ya qanooni (court divorce) talaq dena baatil hai is tarah talaq nahin hoti. Note: Aap abhi tak apne pehlay shohar ke hi nikah me hain aur aap ke liye zaroori hai doosre mard se alehda ho jayen aur wati bashuba ki iddat rakhen. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472,2475). [Updated on 17-Feb-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Sawal ye tha k: (1)agar biwi khula lena chahe aur shohar bazid ho k wo usko talaq nahi de ga tu is maslay ka hal kistarha nikal sakta hai. biwi kisi keemat par apnay shohar ke saath nahi rehna chahti aur shohar talaq nahi de raha is soorat main aurat kis tarha fiqh-e-jafria ke mutabiq khula hasil kar sakti hai. (2) Doosray ye k agar shadi ke baad agar mian biwi main koi bhi rishta na bana ho aur shohar ne use chooa bhi na ho tu agar isi asna main talaq ho jaye tu kya aura per iddat wajib ho gi. shukria.
Answer:
Question: Meri Behan ko khola Chahiya Us k Lia Kia Karna ho ga? 2nd is larka khola to day nay ko tayar hai mager vo sath main bacha hi mang raha hai jab hum us say talaq ka kehtay hain to vo mana kar deta hai kindly ya bhi sath main batain k sharah main bacha maan k pass kitni modat tak reh sakhta hai ? bachay ka baap USA main rehta hai is surath main vo bacha lay kar appni behan ko dena chahta hai kia kia jay abe ?
Answer:
Question: Assalam Alaikum,mera masla yeh hai,ke Hamri shadi ko 5 saal hue.Aulad nhi hai.mai&meri biwi kuwait me hai.meri biwi job pr lagne ke bad us ke mijaz badal gye,ab wo mujh se khula mang rhi hai.mera khna hai tu india chal.tere ghar wale ke samne Talaq doga.wo khti hai kisi ki zaroorat nhi.&mai india nhi jaongi.6 mahine se sath rehte hue bhi baat nhi krti.khna alag bister alag kri hai.bina walidein ke bina qazi ke samne wokhula chahiti hai.kya mai usko 3 talaq de kar farig kar sakta ho.WASSALAM ALAIKUM>Jawab ka muntazir ho,
Answer:
Question: meri zoja apnai walid kai kehnai per mujh sai khola laina cha rahe hai liakin mai us ko khola daina nhy cha raha hon aur yai chata hon kai wo merai sath rahai is maslai mai meri rehnumai karai agar wo khola liana cha rahi hai to wo kin shrait kai sath mujh sai khola lai sakti hai? jab kai mai us ko khola daina nhy cha raha ho.
Answer:
Question: Mara sawal yah hai. Mari wife ne Rokh sati se palhai hi Qula maag liya tha, kuch family problems ki waja se, abb wo mujh se phir contact kerna chahti hai aur mai bhi yahi Chahta hun. humari Qula ko Abbhi 3 months hone mai 9 Din baki hain. Please mujhy batain k abb kiya ho sakta hai?
Answer:
Question: assalam-o-alaikum .. mera sawal yeh hai k m apne shohar se khula lena chahti hoon m 1 saal se apne walid k ghar hon aur mera shohar kehta hai k woh mera kharcha afford nhi karsakta aur woh mjhe talaq b nhi deraha hai lekin mjhe uske sath nhi rehna hai mjhe khula lene k liye kya karna chaye ??
Answer: