Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 15519
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar saas zul m kary or shohar bhi sath na dy to kiya khula ly sakty hai

Answer: 1: Pehli baat to ye ke saas ke zulm karne or shohar ke sath na dene ki buniyad par khula nahin le sakti hain Q ke Talaq e khula us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maail nah ho or os se nafrat karti ho apna mehr ya koi or maal osay bakhsh day taake shohar usay talaq day day. Aur Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho k usay wazifa e zaujiyat maslah hambistari ada nah karne ki dhamki day. 2: Dosri baat ye k shia mazhab ke mutabiq court say talaq nahin li ja sakti talaq faqat shohar hi day sakta hai khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2475,2492). [Updated on 02-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15531
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Haq mher larki ko mil gya h or ab larki ne khula le lia h ab kia larki ko haq mher wapis krna pare ga

Answer: Talaq e khula us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maail nah ho or os se nafrat karti ho apna meher ya koi or maal osay bakhsh day taake shohar usay talaq day day. Aur Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho k usay wazifa e zaujiyat maslah hambistari ada nah karne ki dhamki day. 2: Dosri baat ye k shia mazhab ke mutabiq court say talaq nahin li ja sakti talaq faqat shohar hi day sakta hai khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2475,2492). [Updated on 18-Jul-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 15617
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mere biwi shadi k 19 sal bad khula lena cahti hai magr mai khula dena nahe cahta usny sadat k ak idary se khula ka letar lelya hai k kulah hogae jab k uss idary ne mujhy bulaya tha to meny mana kardeya tha khula deny se asi sorat mai kya khula hogae?

Answer: 1: Talaq e khula us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maail nah ho or os se nafrat karti ho apna meher ya koi or maal osay bakhsh day taake shohar usay talaq day day. Aur Talaq e khula main mutabar (zarori) hay k aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho k usay wazifa e zaujiyat maslah hambistari ada nah karne ki dhamki day. 2: Dosri baat ye ke shia mazhab ke mutabiq court ya kisi idare say talaq nahin li ja sakti talaq faqat shohar hi day sakta hai khula main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga.( ya shohar kise dosere ko talaq ya khula dene ke lie vakeel banae yani shohar use apni taraf se talaq ya khula ke seghe jaare karne ke ijazat de). 3: Talaq shohar ki marzi per moqoof hai. biwi faqat darkhast kar sakti hai, talaq daina ya nah daina shohar ki marzi hay. aur talaq ke bager shohar or biwi ke darmiyan judai nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462,2475,2492). [Updated on 06-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15645
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Q1 Kia khula k baad dubara usi shohar se nikkah kiya ja sakta hai bagheir halala k?? Q2 agar shohar khula deny pe raazi na ho to kiya aurat hakim e shria usey sigha e khula jari kar sakty hein??

Answer: 1: Agar ye talaq e khula pehli talaq hai (yani teesri dafa nahin huei) to bager halale ke iddat ke baad usi mard se nikah kiya ja sakta hai Q ke Agar koi shakhs apni biwi ko 2 dafa talaq dai kar os ki taraf roju kar lai ya usay 2 dafa talaq dai kar os sai nikah kar lai ya aik talaq k baad ruju kar lai aur aik talaq k baad nikah kar lai to teesri talaq ke baad wo aurat is mard par haram ho jaye gi. laikin agar chauthi bar bhi nikah karna chahay to halala karna parta hai. aur halala ki 5 shartain hain jin ki pabandi karna zaroori hai. 2: Talaq e khula us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maail nah ho or os se nafrat karti ho apna meher ya koi or maal osay bakhsh day taake shohar usay talaq day day. Aur Talaq e khula main mutabar (zarori) hay k aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho k usay wazifa e zaujiyat maslah hambistari ada nah karne ki dhamki day. Aap apne shohar ko talaq daine par razi Karen k wo aap ko talaq day chahay wo raqam wusool kiay baghair aap ko talaq day ya phir aap apna mehr ya koe or maal osay baksh den taakeh wo talaq day day. yahi iska qanoni or sharaei hal hay. Q k agar shohar apne tamaam huqooq e sharaei puray kar raha ho to os ko koe bhi majboor nahin kar sakta k wo apni biwi ko talaq day. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition, maslah #2475,2491. + (Ref: Ahkaam e azdawaaj, Farsi kitab, pg #148) [Updated on 31-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15712
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ma na april Ma khula ka case kia or may ki 1st ko khula ka rule change ho gya to mery case ma purna law lgy ga ya jo new aya wo?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Aur mazhab e shia mai court sai khulaa nahin li jaa sakti us mai bhi shohar hi seeghay adaa karta hai or khulaa ki deegar sharait bhi hai lehaaza court ki khulaa ki koi ehmiyat nahin, or wo aurat apne shohar k nikah mai rahay gi or kisi or sai nikah nahi kar sakti. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Aayatullah Sistani, Edition #42, Maslah #2462 to 2475). [Updated on 10-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 15775
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Jo shart orat apny nikha my likhwati h jb wo khud kula ly ti h to usy wo likhi hoi rakm milti h ya nhi

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). 1: Nikah ke waqt jo shart jaise rakhi gayei thi us pe usi mutabiq amal karna zaroori hai, lekin Talaq e Khula me kuch sharait hoti hain jin pe amal karna bhi zaroori hota hai, jaise ke Talaq e Khula: us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maail nah ho aur us se nafrat karti ho aur apna meher ya koi or maal osay baksh day taakeh wo say talaq day day. Talaq e khula main zaroori hai ke aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho k usay wazifa e zaujiyat (maslah hambistari ) ada nah karne ki dhamki day. 2: Shia Mazhab men court se khulaa nahin li jaa sakti us men bhi shohar hi seeghay adaa karta hai or khulaa ki deegar sharait bhi hain lehaaza court ki khulaa ki koi ehmiyat nahin wo aurat apne shohar ke nikah men rahay gi or kisi or se nikah nahin kar sakti. 3: Isi tarah Fiqh e jafferiya ke mutabiuq Talaq ke sahi honay ki chand aur sharaait bhi hain jin ki pabandi nah ki jaey tu talaq nahin hoti. 1-Talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran mard nay jima intercourse nah kia ho. 2-Talaq zabani di jaey yani likh kar talaq dena baatil hay or talaq nahin kehlaay gi. 3-Talaq ka seegha sahi arabi main parha jaey. 4-Talaq do aadil jo zaahiran gunahgaar nah hoon or wajib kaamo per amal kertay hoon or haram kaamo say bachtay hon gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5-Zaroori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6-Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho lehaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu talaaq sahi nahi hogi. (Note: Jab shohar biwi ko talaq de raha ho to us me in sharaait ka hona zaroori hain aur khas taur talaq e khula me in do sharait ka hona zaroori hai: pehli shart ye ke aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho keh use wazifa e zaujiyat (maslah hambistari) ada nah karne ki dhamki day, aur dosri shart ye ke aurat apna meher ya koi aur maal use baksh day taakeh shohar say talaq day. lihaaza agar in sharaait par amal na kiya jaye to talaq khula sahi nahin hogi ). (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472,2492,2493). [Updated on 30-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16014
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu alaikum wrwb Mera sawal hai kya koi aourat khula lene ke baad iddat Puri karke kya apne usi shohar se nikah karsakti hy

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya {shia mazhab} ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Agar ye talaq e khula pehli talaq hai (yani teesri dafa nahin huei) to bager halale ke iddat ke baad usi pehle shohar se nikah kiya ja sakta hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition, maslah #2475,2491). [Updated on 24-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16384
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Second Question is What is the duration and procedure of iddat for her.?

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Shia Mazhab men court se khulaa nahin li jaa sakti, khulaa men bhi shohar hi seeghay adaa karta hai or khulaa ki deegar sharaait bhi hain aur court ki khulaa ki koi ehmiyat nahin, lihaza wo dono nikah men rahen ge aur koi iddat nahin hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2462 to 2472,2487,2492,2493) [Updated on 10-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16409
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya khula iki iddat me aurat mard se mobile per chat kar sakti hai

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Talaq e khula, Talaq e baaen (طلاق بائن) ki aqsaam me se hai aur Talaq e baaen ke baad mard aur aurat aapas me na-mehram ho jate hain, to ab Talaq e khula ki iddat ya kisi bhi iddat ke dauran aik aurat kisi na-mehram mard se mobile par ya barahe raast batain kar sakti hai. Albatta na-mehram mard aur aurat apas men aisi batain kar sakte hain jin ka natija kisi akhlaqi fasaad ki soorat me na nikal raha ho jabke koi aisi baat bhi nah ki jaa rahi ho jis ka kisi ajnabi ke saath kiya jana munasib nahin hota. Isi tarah na-mehram ki awaz sunna bhi jaiz hai lekin is shart ke sath ke ye lazzat aur shehwat ki niyat se nah suni jaye aur Haram me mubtila hone ka bhi khauf na ho. Isi tarah aurat ke liye ye jaiz hai ke wo apni awaz na-mehram mardon ko sunaye magar ye keh Haram me mubtila hone ka khauf ho to is surat me jaiz nahin hai. Albata aurat ki zimmedaari bhi hai ke wo apni awaz ko itna khubsurat aur bareek na banaye ke jo insaan ke jazbaat ko ubharne wali ho. Aur agar gunah me mubtila ka khauf ho agarche ahista ahista hi Q na ho baat karna jaiz nahin hai, isi tarah ger akhlaqi aur mazaq me bhi warid hona jaiz nahin hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2475. + Mujtahid se pochay gaye sawalaat, part #4, sawal #125,127, pg #65,66. + link: https://www.sistani.org/urdu/qa/01845/ ). [Updated on 15-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16555
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia agar Larkin ne khula Liya hai tu lackey has Mehr dena wajib hai

Answer: (Note: Is website par fiqh e jafferiya (shia mazhab) ke mutabiq jawabat diye jatay hain). Fiqh e jafferiya ke mutabiuq Talaq ke sahi honay ki chand sharaait hain jin ki pabandi nah ki jaye to talaq sahi nahin hoti. 1: Talaq e khula us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maail nah ho or os se nafrat karti ho apna meher ya koi or maal osay bakhsh day taake shohar usay talaq day day. Aur Talaq e khula main zaroori hay k aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat karti ho k usay wazifa e zaujiyat maslah hambistari ada nah karne ki dhamki day. 2: Dosri baat ye ke shia mazhab ke mutabiq court se talaq nahin li ja sakti talaq faqat shohar hi day sakta hai khula main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga. (ya shohar kisi dosre ko talaq ya khula dene ke lie wakeel banaye yani shohar use apni taraf se talaq ya khula ke seeghe jaari karne ki ijazat day). Agar bayan kiye gaye masail ko madde nazar rakhte hue talaq jaari ki jaye to talaq sahi shumar hogi, warna nahin. (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2475,2492). [Updated on 02-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!