Question: agar husaband wife ka nan-o-nafqa na de aur woh us ko talaq bhi na de laikin wife talaq chahti hai tuo kya kar sakte hain
Answer: Salam un alaikum, Aap Aqai Sistani key kisee aisay vakil sey rujoo karein jin key paas talaq dainay kee ijazat ho.
Question: salamun alaikum, i want to know if it is allowed for a man to divorce a wife without her agreeing for the divorce.is such a divorce valid.?
Answer: Talaq denay main aurat ka raazi hona shart nahi hay lihaza ye talaq sahih hay.Ref:Minhaajus Saaliheen Part-3 Masala No.509.
Question: igar husband&wife different merjay ki taqleed kartay hoo.aur wife talaq (qula) cjhati hoo. aur husband kay haqooq bi ada na karti hoo. to husband kay layia kia order haa.
Answer: Talaq nahi hogi,magar ye kay shohar talaq day ya shohar ka wakeel talaq day ya haakim-e-shara kay hukum say talaq ho.Ref:I-22
Question: should working girl pay for utilitiesand mortgageduring seperation and once the divorce is filed
Answer: bismehi taala, in talaqe rijaee nan-o-nafaqa is wajib on husband during eddah perioud. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.2421)
Question: I want to know if talaq is valid after intercorse with your wife. Meaning that if you slept with your wife and then divorce her next morning is is a valid divorce?
Answer: bismehi taala, zaroori he k aurat talaq k waqt haiz ya nifas se pak ho aur us k shohar ne us paki k dawran us se ham-bistari na ki ho. (tef: tawzihul masail Aytulla Seestani (d.b.) masaala no. 2508)
Question: should a girl pay for utilities and mortgage during seperation or once the divorce is filed in wstern courtand sigha is not prayd
Answer: bismehi taala, in talaqe rijaee nan-o-nafaqa is wajib on husband during eddah perioud. (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.2421)
Question: Salam My question is. Is the divorce valid where neither groom nor bride never wanted divorce but circumstances/ egos and unnecessary pressure made it happen.
Answer: w.s. agar aap ne talaq apne ekhteyar se di thi or us waqt aap ki niyat bhi thi or talaq ke silsile ki digar sharayet mojood thi to talaq sahih thi. (ref: tawzihul masail Aqai sistani (d.b.) masaala no. 2507 & 2508)
Question: mera sawak ye hey k meri shadi k bad bhi meri biwi ne ger mard se najaiz taluk rakhe. ab mujhe kya karna chahiye
Answer: bismehi taala, agar shohardar aurat zina kare to ehtiyat ki bina par woh zani par hamesha ke liye haram ho jati he lekin shohar par haram nahin hoti aur agar tauba w istighfar na kare aur apne amal par baqi rahe (yaani zinakari tark na kare) to behtar yeh he k us ka shohar use talaq de de lekin shohar ko chahiye k us ka maher bhi de (ref: tawzihul masail Aytullah Seestani (d.b.) masaala no.2412)
Question: Salam Alaikum Could you please tell me the correct method of Divorcing a wife according to Fiqah Jafaria
Answer: w.s. 1) jo shakhs apni biwi ko talaq de raha he us k liye zaroori he k aqalmand aur baligh ho aur apne ikhteyar se talaq de 2) aurat b-waqate talaq Khoone haiz w nifas se pak ho aur us k shohar ne us ki pakizgi k zamane ya halate nifas ya haiz me jo us ki pakizagi k zamane se pehle tha us se hambistari na ki ho aur in do sharayet ki tafseel ayenda masail me bayan ki jayegi 3) talaq saheeh arabi sighe k sath padhi jaye aur do aadil mard use sunai (ref: tawzihul masail Aytullah Khumeni (r.a.) masaala # 2494, 2496 & 2504)
Question: hamare ak jane wale abi shadi hoi he larki phele 5 mah ki hamla thi ab neka b ho gya os ne ab bacha gera dia malom ye karna he os ka neka howa he k nai agr nai to phr kya karna ho ga dobara neka k lie
Answer: Agar ye aurat talaq ki iddat me thi to aur hamila thi to zurari he k waz e hamal tak iddat rakhay. Is iddat ko wafat ki iddat kahtay hein . Aur agar wo aurat talaq ki iddat me thi tab bhi o ski iddat waz e hamal ya isqat e hamal tak he. Aur iddat mukammal honay se pehlay nikah karna sahi nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2474-2485) Agr aurat zina ki waja say hamala thi to ya nikah sahiah hay. Agr aurat pehlay say shadi shuda ho to ya nika batl hay aur hemasha kay ley haram hay. Agr auarat idat main ho aur ya talq rajai ki waja say ho to ya nika batl hay aur hemasha kay ley haram hay. Agr auarat idat main ho aur ya talq rajai ki waja say na ho to ya nika batl hay aur idat Katham hony ky baad dobara nikah karsakta hay.(Ref. Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Minhaj us Salaheen v.3 pg. 61 to 62 masala 180 to 184) Hamela aurat ki tallaq ki iddat bacha pada karny ya asky siqt sy pori hoti hay.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2478) Hamela aurat ki Wafat ki iddat 4 month & 10 day aur bacha pada karny ya asky siqt main sya jo ziado ho(.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2481) Zina ki koi iddat nahi hay. (Ayat Ullah Seestani(d.b) minhaajus saliheen,part #3,maslah #566) Bacha girana Haram hay aur bacha giranay waly par iski diat wajab hay . (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) mulahaqat Masla # 73) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)