Question: mera sirf nikah hua hai rukhsati ni hui - lekin hm m aik doosry ko chornay ki bat bht bar ho chuki hai -jse m n kha k m ni rehna chahti sath to wo khta thek ha na rho m bhi ni rhna chahit- to kia is bat s khula ho jati ha?
Answer: Talaq e Khula: os aurat ki talaq ko jo apne shohar ki taraf maa,il nah ho or os se nafrat kerti ho apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo say talaq day day, talaq e khula kehtay hain. Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shaded nafrat kerti ho k osay wazifa e zaujiyat(maslah hambistari ) ada nah kerne ki dhamki day.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2492) (Note:) aap apne shohar ko talaq daine par razi Karin k wo aap ko talaq day chahay wo baghair kisi raqam ko wusool kiay baghair aap ko talaq day ya phir aap apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo say talaq day day.yehi iska qanoni or sher,e hal hay. Q k agar shohar apne tamaam huqooq e shar,e puray ker raha ho to os ko koe bhi majboor nahi ker sakta k wo apni bivi ko talaq day.(ref: ehkaam e azdawaaj, Frasi kitaab, pg#148) [Updated on 10-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ourat ko apna husbnd nh acha lgta wo us sw kula le skti h
Answer: Talaq e Khula: os aurat ki talaq ko kehtay hain, jo apne shohar ki taraf maa,il nah ho or os se nafrat kerti ho apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo say talaq day day, Talaq e khula main zarore hay k aurat apne shohar se is qadar shaded nafrat kerti ho k osay wazifa e zaujiyat(maslah hambistari ) ada nah kerne ki dhamki day.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 2492). (Note: aap apne shohar ko talaq daine par razi Karin k wo aap ko talaq day chahay wo baghair kisi raqam ko wusool kiay aap ko talaq day ya phir aap apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh woo say talaq day day.yehi iska qanoni or sher,e hal hay. Q k agar shohar apne tamaam huqooq e shar,e puray ker raha ho to os ko koe bhi majboor nahi ker sakta k wo apni bivi ko talaq ( ya khula de) day.(ref: ehkaam e azdawaaj, Frasi kitaab, pg#148) [Updated on 12-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam-O-Alaiqum ager aurut khula lay Kar Apnay ussi shohar hay saath rehsakti hay jis say khula Lee hay?
Answer: Note: Is web par fiqhe e jafferiya k mutabiq jawabat diay jaatey hain, Aur Fiqh e jafferiya main is tarah talaq nahi hoti. Jab tak shohar apnin marzi se talaq na dede tab tak talaq durust nahi howa karti. aur court ki talaq k baad bhi aurat apne shohar ki bivi hogi.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2462 to 2475, 2492). [Updated on 03-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kya khula ka case dobara ho skta hai agr pehli dfa case file kia ho magr sulah krli jy or kya baby k kharchy ka b case dobara ho skta hai agr pehli dfa wapis ly lia jy to??? Kindly reply must
Answer: Shia mazhab main court talaq say nahi li ja sakti. Talaq faqat shohar hi day sakta hai, khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga.(Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah seestani, edition 39th, maslah # 2492) [Updated on 05-Dec-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ager aurat apne shohar ko pasand na kre or wo shaks usko satisfy b na kre toh kiya in surat mn khula le sakte hn, kiya shariyat mn hai k sohar na pasand ho or ap na rehna chahte ho?
Answer: Talaq e khula: Ye us aurat ki talaq hai k Jab aurat apnay shohar ki taraf maail na ho (ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liay day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zouja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai. Aur court se li gai talaq khula k zariye talaq nahin hoti. (Ref : Tauzeeh e ul masail Ayatullah Sistani(d.b.) Masla # 2492) (Note: Aap apne shohar ko talaq daine par razi karen k wo aap ko talaq day chahay wo kisi raqam ko wusool kiay baghair aap ko talaq day ya phir aap apna mehr ya koe or maal osay bakhsh dain taakeh wo aap ko talaq day day. yehi iska qanoni or sharae hal hay. Q k agar shohar apne tamaam huqooq e sharae puray ker raha ho to os ko koe bhi majboor nahi ker sakta k wo apni bivi ko talaq day. (Ref: ehkaam e azdawaaj, Frasi kitaab, pg #148) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Ager bivi ko shohar se nafrat ho jay to kya wo khulla le sakti hai
Answer: 1: Talaq khula : Jab aurat apnay shohar ki taraf maail na ho(ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liay day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zouja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat (maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai. 2: Mazhab e shia mai court sai khulaa nahin li jaa sakti. us mai bhi shohar hi seeghay adaa karta hai or khulaa ki deegar sharait bhi hai lehaaza court ki khulaa ki koi ehmiyat nahi wo aurat apne shohar k nikah mai rahay gi. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition 41st, Maslah #2492) [Updated on 29-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: assalamialaikum, agar sohar talaq e khula k time pe us jagah pe na ho to aur dusri country me ho to kya biwi talaq e khula k liye uske maa bap ko maher de skti he?
Answer: (Note: Is website per fiqh e jafferiya k mutabiq jawabaat diay jatay hain). Talaq khula: Jab aurat apnay shohar ki taraf maail na ho(ya os ko pasand na karti ho) or apna mahar ya koi raqam apnay shohar ko is liye day takeh wo os ko talaq e khula dai, aisi talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main laazmi hay k zoja apnay shohar say itni nafrat karti ho k hoqooq e zaujiat (maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki dai. 2: Mazhab e shia mai court sai khula nahin li jaa sakti. us mai bhi shohar hi seeghay adaa karta hai or khulaa ki deegar sharait bhi hain lehaaza court ki khulaa ki koi ehmiyat nahin hai. 3. Phone py mard khula dy skta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Edition 41st, Maslah #2492) [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: mere shoher ki mujhse pehle qulah hoi thi lekin ab wo dono dubara sath aana chahte hai kya ye jayaz hai bina mere ijazat name ke
Answer: (Note: Is website per Fiqh e jaffariya(Mazhab e shia) k mutabiq jawabaat diye jaate hain). Aur mazhab e shia main court sai khulaa nahin li jaa sakti us mai bhi shohar hi seeghay adaa karta hai or khulaa ki deegar sharait bhi hai lehaaza court ki khulaa ki koi ehmiyat nahin hai, aur aap apne shohar k nikah mai hi rahain gi or kisi or sai nikah nahi kar sakti. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, Eddition 42, maslah #2492,2366) [Updated on 27-Nov-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mera khula hua hai my dobara unse shadi karna chahti hoon mujhe wazifa batao wo mujhe phir se rakle
Answer: Is website par fiqh e jafaria (mazhab e shia) ke mutabiq jawabat diye jatay hain. Shia mazhab men court talaq say nahin li ja sakti. Isi tarah jab tak shohar apni biwi ko mukammal sharait aur ikhtiyar se talaq na de de, talaq nahin hoti. Talaq faqat shohar hi day sakta hai, khulaa main bhi shohar ko kaha jaaye ga wohi khulaa bhi dai ga. (Ref: Ayatullah Sistani, Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2492,2503). (Note: Sharaei lihaz se Aap ka nikah baqi hai aur aap apne ki sharaei taur par biwi hain ). [Updated on 25-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar sohar bahir ho 2years say Tu kia iddah hogai khula k bad
Answer: Agar talaq khula apni mukammal sharait ke sath hoi ho to is ke bad iddat rakhna zaroori hoti hai chahe shohar hazir ho ya ghaaib ho ya chahe shohar ziyada arse se ghaaib ho. Talaq e Khula: us aurat ki talaq ko kehtay hain jo apne shohar ki taraf maa,il nah ho or os se nafrat kerti ho apna mehr ya koe or maal osay baksh day taakeh wo say talaq day day. Talaq e khula main mutabar hay k aurat apne shohar se is qadar shadeed nafrat kerti ho k usay wazifa e zaujiyat(maslah hambistari ) ada nah kerne ki dhamki day. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2475,2492). [Updated on 13-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]