Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 16933
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Marne wale ki aik biwi or 3 betiyaan hn koi beta nhi . Tu property kasy distribute ho gi

Answer: Agar ke maan, baap nah hon aur sirf 3 betiyaan aur aik biwi ho to is surat me marhoom ki property me se aathwan (1/8) hissa us ki biwi ko milay ga aur baaqi property marhoom ki 3 betiyon me barabar barabar(equal) taqseem hogi. Wazahat: Marhoom ki biwi ko ghar ki zameen, bagh, khait, aur dusri zameenon men se koi hissa nahin milta or nah hi us ki qeemat karwane ki surat men koi hissa milta hai. isi tarah ghar ki faza men qaaim cheezon masalan emarat aur darakhton se bhi hissa nahin milta lekin un ki qeemat karwayei jaye to us emarat wagera ki jo qeemat hogi us men hissa milta hay or jo cash ya gold ho ya jo jaidaad (property) ho to sab men marhoom ki biwi ka aathwan (1/8) hissa banta hai, wo marhoom ki biwi ko diya jaye ga. Aur is ke baad baaqi property marhoom ki 3 betiyon me barabar barabar(equal) taqseem hogi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2694,2701,2728) [Updated on 20-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16996
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa sir mery walid sahan ny hum 3 bhaion k naam zameen hiba kr di aur 4 saal baad walid sahab ny shadi kr li kya us aurat ka hamari hiba ki gai zameen main wo hisa ly sakti ha ya hiba baap k sth mil k turwa skti ha

Answer: Agar baap apni zindagi me apne irade, marzi aur ikhtiyar se kisi ko koi cheez hiba(gift) kar day to wo cheez pehle baap ki milkiyat se nikal kar dusre ki milkiyat me chali jati hai. Ab agar ye hiba kisi rehmi reshtedaar (jaise ke aulad) ko kiya tha to kisi bhi surat wapis lene ka haq nahin rakhta. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition 1443 hij, maslah #1320). [Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 17012
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Maa baap apni jaidad apni zandagi me beta beti ko half half hissa deskte hain?

Answer: Jee han, day sakte hain (or jo wo apni zindaghe me deghe wo tofa(gift) khelaega ), lekin khuda nakhuwasta maan, baap ke intiqaal ke baad, phir us pe meeras ke ahkaam jaari nahin hon gay. Agar maan, baap apni zindagi me apne irade, marzi aur ikhtiyar se kisi ko koi cheez hiba(gift) kar day to wo cheez maan, baap ki milkiyat se nikal kar dusron ki milkiyat me chali jati hai. Ab agar ye hiba(gift) kisi rehmi reshtedaar (jaise ke aulad) ko kiya jaye to maan, baap wo cheez kisi bhi surat wapis lene ka haq nahin rakhen gay. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition 1443 hij, maslah #1320). [Updated on 16-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17164
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Walad sb ke shop the sarkari rent pr un ke wafat k baad woh adda Sale kar diaa toh kya us mai bahan b hissa ly ge

Answer: Walid sahb ke intiqaal ke waqt jo bhi maal (property) us ki mliyat tha us me marhoom ki beti ka bhi hissa hota hai is tarah se ke marhoom ke beton ko jitna hissa milta hai, beti ko us ka aadha hissa milay ga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Aayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2691,2694,2695). [Updated on 03-Oct-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17546
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 20 sal pehle mujhe warasat se aik lakh rupay milay thay me char bhenay hn pehle behno ne mujh se koi bat nahi ki ab ma un ko apne aik kakh k hissa se un ko un ka hissa dena chahta hun meharbani kar k mujhe bata dein ma fi kas behan ko kitna hissa dun.

Answer: Sab se pehle to yh ap pr wajib hai k ap Indallah bakshish k talab gaar rhein or phr Apni behno se iss hawale se mafi mangein.. Ap ko jb apne walid se wirasat mili agr uss waqt apki walda hayat nhi thi to uss tamam amount or jo jo hisse aya tha uss k 6 barabar k hisse honge 2 hisse ap ko milege aur baqi 1 1 hissa hr behn ko dia jaega.. (Reff: Touzih ul Masail Ayatul Sistani d.m, 39th Edition, Meeras k Ehkam, Page 423) [Updated on 08-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17567
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mere walid abhi zinda but sense mai nahi mera bhai inke sab paiso par apna haq kahta hai jaise bhi use kare kiya yeh sahi hai Sab property mere walid ki hai Bhai ne kuch bhi nahi kaam kiya walid ke sath

Answer: Aap ke bhai ko is jaidad (property) me tasarruf karne ka koi haq nahin hai aur aap ke bhai ke liye jaiz nahin ke wo is jaidad (property) me tasarruf karay, balke agar aap ke dada hayat hain to wo aap ke walid ke maal me maslihat ki khaatir tasarruf kar sakte hain aur agar aap ke dada bhi hayat nahin to is soorat me haakim-e-shara yani mujtahid ki taraf ruju kiya jaye ga taake wo aap ke walid ke maal ke silsilay me koi sharari hal nikal sake. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/02897/ ). [Updated on 22-Jan-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17602
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 3 bhai or 2 bhen han or maa bhi zinda hein, 120sq ka ghr ha, ek bhai nay 1st floor banvaya tha apnay paiso say 10 saal phelay or kheraha ha kay 50lac daydo phelay mujhy phir 1 crore divide kardo sab may to iska kia tareeqa ha qanoonan or islamic?

Answer: Ghr k jis hisse ko jis bhai ne apne paiso se bnaya tha vo hissa Wirasat me shumar nhi hoga yaani uss hisse ki jo Mrket value hai vo us bhai ka haq hai jis ne bnaya tha.. Jin hisso ko Walid(Marhoom) ne bnaya tha uss ko batoure wirasat ehkam k mutabiq taqseem kia jaega.. Bhai behan or maa raazi hn to apni riza k mutabiq taqseem kreinge vrna sharii masla yh hai k maal k 6 hisse kie jaege, 1 hissa maa ko dia jaega or baaqi 5 hisso ko yon taqseem kia jaega k hr bhai ko behn ki nisbat dugna hissa milega.. Meeras ki taqseem k liye marhoom k rishte daron k 3 Groups (tabqe) bante hen, or ye tarteeb-waar (number wise) hen, yani jab tak pehle tabqe k afrad mojud hoon chahe ek hi fard Q nah ho meeras dusre tabqe k afrad ko nahi milti. 1st Group: Maan, Baap or aulad hote hen. 2nd Group: Dada, dadi, nana, nani, behn or bhai hen. 3rd Group: chaha, phophi, mamu, khala. Or jab tak ek tabqe k afrad mojud hon chahe ek hi fard ho us waqt tak meeras us k baad wale tabqe ko nahi di jaeygi. Chon k iss mamle me bete or betiyan mojood hai to wirasat ka maal aage kisi ko nhi milega (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 39,Mafhoom e Maslah # 2691,2694). [Updated on 05-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 17617
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Marhoom ki sirf 2 betiyan hai unki jayda ki taqseem kasy hogii? Kya marhoom k bhaiyo ko bhi us main sy hissa jayega or agr han to kitna jayega.

Answer: is sorat m k marhoom ki faqat 2 betian ho to Marhoom ki meeras un ki dono betioyn me barabar taqseem hogi. Marhoom k bhai wagera ko miras se kuch nhi milega.. 9Reff: Touzih ul Masail Agha Sistani d.m, 39th Edition, Masla No. 2691) [Updated on 09-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19368
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Please bta de k agr marhom ki do bewa Hu or aik bewa se 5 bache hu to kaise taqseem hogi

Answer: Insaan ki maut ke baad us ki biwi (chahe aik ho ya do, teen, car hon) ko ghar ki zameen men se koi hissa nahin milta aur nah hi us ki qeemat karwany ki soorat men koi hissa milta hai lekin ghar ki emaarat men wesy to us ka hissa nahin banta magar us ki qeemat karwayei jaye to us emaarat ki jo qeemat hogi us men hissa milta hai aur jo cash ya gold ho ya jo jaidaaid ho agar marhoom ki aulad ho to sab men biwi ko 1/8 (aathwan) hissa milta hai (aur ye aathwan hissa marhoom ki dono biwiyon me barabar taqseem kiya jaye ga) aur baqi jaidaad aulad men taqseem ho gi, is tarah se ke har beti ko aik or har betay ho dugna (double) hissa milta hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani (d.b), edition #42, maslah #2694,2727,2728). [Updated on 15-Mar-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 19867
Mujtahid:
Date: 22 May,2024

Question: Assalam o alaikum Mera sawal hai ke sohar biwi ko mehar me makan diya bahut samey ke bad os ke five aulad bade bade ho jate hai to kya os makan me aulad ka haq hota hai ya nahi Aulad ka haq hai to kitna

Answer:

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!