Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 6844
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: s.a my mother died before 10 year my father marry to my aunt .my father died before 3 year .would there be a share of my new mom on my father property which is in name of my father and my mother .

Answer: If the man has child from that or another wife, the wife gets 1/8th of the estate, and the remaining part will be inherited by his other heirs. A wife does not inherit anything from the land of a house or a garden or a farm, or from any other land, nor does she inherit from the proceeds of such lands. She does not also inherit from that which stands on that land, like the house and the trees, but she inherits from their proceeds. The same rule applies to the trees and crops and buildings standing on the land of a garden, and on agricultural land, or on any other lands. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2728). Update on dated 29-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7497
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam-o-alikum mera Q ye hai key ager hum per kisi ka qarz hai or hum thora thora ker ky osy wapas bi ker rahy thy per ab os shaks ki jis ka hum per qarz hai os ki death ho gai hai ab hum os ka baqi qarz kesy wapis ker sakty hai.

Answer: Qarz ki raqam merhoom k on tamaam wurasa jin ka meraas main haq hay ko di jaey. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2243). Update on dated 29-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 7923
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam ulaykum maira swal ye hae k ma k nam sari jaydad ho to kya bytiyon(daughter) k nam sirf jaydad hoti hae ya bayton (son)k nam b hoti hae bad mae

Answer: Agar kise marne wale k waris kuch bete aur betiyan hoon to maal ko yun taqseem kiya jaey ga k har beta, beti se dugna(double) hissa pata hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2694). Update on dated 29-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7954
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mere do bhai hai aur hamare waliden ka intekal ke baad saare paise sona mere bhai ke mamu ke paas diye te ab my mere bhai se pucha to o batate hai ki paisa nahi hai sona hai abmay kya karskta hu ?

Answer: Agar kise marne wale k waris faqat betay hoon to tamaam maal (chahe pese hoon ya sona ya ghar) un k darmiyaan barabar taqseem kiya jaey ga. Or aap apne bhai se apne hisse ka mutaalba ker sakte hain.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael, Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2694). Update on dated 29-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8324
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mary uncle ki death ho chuki hn ur in ki koi aulad nhe hn ab in ki property ka Islam ky nazar ma sahi haqdar kn hn?

Answer: Meeras ki taqseem k liye marhoom k rishte daron k 3 Groups (tabqe) bante hen, or ye tarteeb-waar (number wise) hen, yani jab tak pehle tabqe k afrad mojud hoon chahe ek hi Q nah ho meeras dusre tabqe k afrad ko nahi milti. 1st Group: Waaldain or aulad hote hen. 2nd Group: Dada, dadi, nana, nani, behn or bhai hen. 3rd Group: chaha, phophi, mamu, khala. Bas Agar aap k uncle ki biwi maujud hen to property men se chautha (¼) hissa unko milne k baad baqi property uper wale 3 tabqon k mutabiq tarteeb-waar taqseem ki jaey gi, Or Agar aap k Marhoom uncle ki wife bhi nahi hen to phir puri property meeras k 3 tabqo k mutabiq taqseem hohi. Or jab tak ek tabqe k afrad mojud hon chahe ek hi ho us waqt tak meeras us k baad wale tabqe ko nahi di jaeygi.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2691). Update on dated 29-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8388
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam walecum mera sawal yeh hai ke maa ki jaidad(zevar aur paisay) mein kia beti ka utna hi hissa hai jitna walid ki jaidad say mila yani betoon say half yeh Maa ke sub kuch beti ka hota hai agar koi wasiyat na ho to

Answer: Aulad me agar beta or beti dono moujood hoon to marhoom maan ya baap k maal se bete(son) ko beti (daughter) k se dugna(double) hissa mile ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2694). Update on dated 29-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8661
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya baap k foot ho janay k baad agar us kay bhai hisa mangay to kya yeh hisa dena bunta hai aur agar dena par jae kisi majburi k tehat to kitna ho ga??

Answer: Agar merne wale k maan , baab or aulaad main se aik bhi shaks maujood ho tu kis or afraad ko meraas main se koe hissa nahi mile ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2691). Update on dated 17-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8891
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar kisi shaks ki olad na ho to us ki wafat ky bad us ki biwi ka us ky warasat py kitna hisa ho ga

Answer: Meraas main sub se pehle merhoom ki biwi ko aulad nah hone ki sorat main 1/4th hissa diya jaayega, lekin is men bhi kuch sharten hen k biwi ko zameen nahi mile gi balkeh zameen per bani hue imrat ki qeemat ka 1/4th mile ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2700-2728). Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9057
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: meri mother ki death ho gai h...hum i bahi aur 3 sisterz hein....hum mein taqseem kese ho gi //??

Answer: Agar aap ki walida k maan or baap nah hoon or aap ki walida k shohar(yani aap k walid) bhi nah hoon, tu phir meraas k 5 isse kiay jain gay or bhai ko 2 hisse or behno ko aik aik hissa mile ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2694). Update on dated 27-04-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 9070
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mera sawal ye hai ke agar kisi aurat ki chaar betiyan hain to kya uski property mein bhatijon ka hissa hota hai ya nhi. shariyat ke hiasab se.

Answer: Merhoom ki aulaad hone ki sorat main bhatijion ko meras nahi mile gi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2691). Update on dated 15-04-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!