Question: Marhoom k intiqal k kitny rooz baad wirasat ki taqseem ki jai
Answer: Sharaei taur par jaise hi kisi insan ka intiqal hota to meeras ke taqseem karne ke ahkam jari ho jate hai lihaza zaroori hai ke jaise hi marhoom ka intiqal ho meeras taqseem karni chahiye siwaye ye ke wariseen raazi hon to phir takheer ki ja sakti hai.agar marne waale per kise dosere ka qarz hay tu phele marne waale ke asal maal se qarza ada kia jaae gha phir meraas taqseem ke jaae ghe .( or agar marne wale ki zindaghe me us per haaj wajib ho or us ne nahe kia tha tu us ke marne ke baad us marne wale ke asal maal phele us ki taraf se hajj karaaya jaay gha) (Ref: Link: https://www.sistani.org/persian/book/26578/7759/,sistani.org,urdu,topic:meraas,sawaal no:26 ). [Updated on 15-Aug-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam o alekum sir Mera sawal ye hai k mery Walid marhom ny apni Zindagi main apna sab Kuch apni bv Yani k Meri walida k name kar diya ab os main Mera koi hisa banta hai ya nhi main Mari walida ka Saka beta hon
Answer: Meeras (jo sharaei taur par taqseem howa karti hai) Insaan ki zindagi men taqseem nahin hoti. Han agar koi kisi cheez ka malik kisi ko bana deta hai to wo tuhfa (gift) kehlata hai aur tuhfay men Insaan ki marzi hai ke wo jise chahe jitna hissa day. Agar aap ke walid sahab apni zindagi me hi apni biwi (aap ki walida) ko sab kuch batour e milkiyat de chuke thay (or biwi (aap ki walida) ne us per qabza bhi kar lia ho) to ab ye tamam cheezen un ki biwi (aap ki walida) ki milkiyat kehlayen gi or yeh meeras ke tor par taqseem nahin hon gi. (Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1439 hij, mafhoom e maslah #1320). [Updated on 09-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Bhai ki kamai daulat mei behen ka hissa?
Answer: Aurat ka apne baap, bhai or shohar ki zindagi me un ki kamai me koi hissa nahin hota siwaye naan o nafaqa aur digar zarooriyat ke wo bhi bhai par wajib nahin hotein, aur shadi se pehle baap ke ghar me baap par naan o nafaqa aur digar zarooriyat wajib hoti hain agar wo gareeb ho or baap us ka naano nafaqavdesakte ho, aur shadi ke baad us aurat ke shohar us ka naanonafaqa par wajib hota hain. lekin agar baap, bhai ya shohar tuhfe (gifts) ke taur par koi raqam ya koi cheez den to is me un ki marzi hai ke chahen to den ya na den, ya chahen to kam den ya ziyada den, lekin un ki zindagi me auart ka hissa nahin hota. Han intiqaal ke bad sharaait ke sath or meeras ke tabqon ke riaayat ke sath use kisi na kisi tarah meeras me kuch na kuch milta hai. aur meeras ke ahkam alag hain. (Ref: Minhaaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1439 hij, mafhoom e maslah #1320. + https://www.sistani.org/urdu/qa/01744/ + https://www.sistani.org/urdu/qa/01882/ ). [Updated on 10-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ASALAM O ALEAKOMM MERY BHAI KA OR BHABHI KA INTAQAL HO GAYA HY OR ONKI KOI OLAD NAHI HY 1 BETI GUD LI HY BHAI KI JAIDAD MAIN 1 GHAR HY ISKI TAQSEEM KIS TARHA HO GI BARY MEHRBANI REHNUMAI FARMAIN JAZAK ALLAH
Answer: 1: Meeras ki taqseem ke liye marhoom ya marhooma ke rishte daron ke 3 tabqe (Groups) bante hen, or ye tabqe tarteeb-waar (number wise) hote hen, yani jab tak aik tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho meeras baad wale tabqe ke afrad ko nahin milti. 1st Group: Marhoom ya Marhooma ke Maan, Baap or aulad hote hen. 2nd Group: Marhoom ya Marhooma ke Dada, dadi, nana, nani, bhai or behen hote hen. 3rd Group: Marhoom ya Marhooma ke chaha, phophi, mamu, or khala hote hen. Aur jab tak pehle tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho meeras doosre tabqe ke afraad ko nahin di jaey gi. isi tarah jab tak doosre tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho meeras teesre tabqe ke afraad ko nahin di jaey gi. 2: Aap ke marhoom bhai ke Ghar ya (is ke alawa kisi jaidaad) ke hawale se, chounke marhoom ki aulad nahin, is liye agar pehle tabqe me faqat maan ya faqat baap marhoom ka waris ho to poora ghar use mile ga. 3: Lekin agar maan or baap dono maujood hon to ghar (ya ghar ki raqam) ke teen (3rd) hisse kiye jayen ge in me se do hisse baap ko or aik hissa maan ko mile ga. 4: Aur agar pehle tabqe me koi bhi (maan, baap, aulad) maujood na ho to jaidaad ko dosre tabqe me taqseem kiya jaye ga. Is tarah se ke agar marhoom ka waris faqat aik bhai ya faqat aik behen ho to poora Ghar use mile ga, aur agar chand sage bhai ya chand sagi behnen hon to Ghar ko sab bhaiyon me ya sab behnon me barabar barabar taqseem kiya jaye ga. Lekin agar sage bhai bhi hon aur sagi behnen bhi hon to ghar ko is tarah se taqseem kiya jaye ga ke har bhai ko har behen se dugna (double) hissa mile ga. Maslan agar marhoom ke do sage bhai aur aik sagi behen ho to ghar (yani Ghar ki raqam) ke paanchh (five) hisse kiye jayen ge jin me se har bhai ko do hisse milen ge aur behen ko aik hissa mile ga. Isi tarah aap ki bhabi ki agar koi jaidaad ho to us ka hukum bhi yahi hoga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2691,2694,2695,2704). [Updated on 13-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ASALAM O ALEAKOMM MERY BHAI KA OR BHABHI KA INTAQAL HO GAYA HY OR ONKI KOI OLAD NAHI HY 1 BETI GUD LI HY BHAI KI JAIDAD MAIN 1 GHAR HY ISKI TAQSEEM KIS TARHA HO GI BARY MEHRBANI REHNUMAI FARMAIN JAZAK ALLAH
Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 13-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ASALAM O ALEAKOMM MERY BHAI KA OR BHABHI KA INTAQAL HO GAYA HY OR ONKI KOI OLAD NAHI HY 1 BETI GUD LI HY BHAI KI JAIDAD MAIN 1 GHAR HY ISKI TAQSEEM KIS TARHA HO GI BARY MEHRBANI REHNUMAI FARMAIN JAZAK ALLAH
Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 13-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: wirasat ki jo propert hy is men behnain karaya ki haqdaar hen yanahi. ya phir jab property sale ho gi tab hi behnon ko hissa dia jaye ga. please guide me thunx.
Answer: Agar property taqseem nahin ki gayei to is property se jo munafa hoga wo munafa bhi sab me taqseem hoga. or behnen bhi haqdar hongi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2691,2694,2695). [Updated on 15-Sep-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: waldin ke koi wasiyat na ho to behn bahio ko k sy hisa lena ho ga
Answer: 1: Kisi mard ya aurat ka agar intiqaal ho jata hai to sharaei taur par us ki jaaidad ko un ki aulaad me Meeras ke taur taqseem kiya jata hai. 2: Meeras ki taqseem ke liye marhoom ya marhooma ke rishte daron ke 3 tabqe (Groups) bante hen, or yeh tabqe tarteeb-waar (number wise) hote hen, yani jab tak aik tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho meeras baad wale tabqe ke afrad ko nahin milti. 1st Group: Marhoom ya Marhooma ke Maan, Baap or aulad hote hen. 2nd Group: Marhoom ya Marhooma ke Dada, dadi, nana, nani, bhai or behen hote hen. 3rd Group: Marhoom ya Marhooma ke chaha, phophi, mamu, or khala hote hen. Aur jab tak pehle tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho meeras doosre tabqe ke afraad ko nahin di jaey gi. isi tarah jab tak doosre tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho meeras teesre tabqe ke afraad ko nahin di jaey gi. 2: Agar pehle tabqe mein marhoom ya marhooma bete aur betiyan dono waris hon to jaaidad (maal) ko un ke darmiyan youn taqseem kiya jayega ke har beta, beti se dugna(duoble) hissa paye ga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2691,2694). [Updated on 13-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar aik banday ki 3 daughters ha. Us k koi b sister ya brother nae even k mother r father b nae hai . Uski jaidad kis tara divide hoo gi 3 daughters ma
Answer: Agar marhoon ki sirf chand (maslan teen) baitiyaan waaris hon to jaaidad ko baitiyon me barabar barabar taqseem kiya jaye ga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2697,2701). [Updated on 16-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Chacha ke naam property ha us ka kon kon waris ha islam ki rooh se
Answer: 1: Agar kisi ka intiqaal ho jata hai to sharaei taur par us ki jaaidad (property) ko un ki aulaad ya deegar wariseen me Meeras ke taur par taqseem kiya jata hai. 2: Meeras ki taqseem ke liye marhoom ke rishte daron ke 3 tabqe (Groups) bante hen, or yeh tabqe tarteeb-waar (number wise) hote hen, yani jab tak aik tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho meeras baad wale tabqe ke afrad ko nahin milti. 1st Group: Marhoom ke Maan, Baap or aulad hote hen. 2nd Group: Marhoom ke Dada, dadi, nana, nani, bhai or behen hote hen. 3rd Group: Marhoom ke chaha, phophi, mamu, or khala hote hen. Aur jab tak pehle tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho meeras doosre tabqe ke afraad ko nahin di jaey gi. isi tarah jab tak doosre tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho meeras teesre tabqe ke afraad ko nahin di jaey gi. 3: Masalan agar pehle tabqe mein marhoom bete aur betiyan dono waris hon to jaaidad (maal) ko un ke darmiyan youn taqseem kiya jayega ke har beta, beti se dugna(duoble) hissa paye ga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2691,2694). [Updated on 19-Nov-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]