Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 16343
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar 2 bhai aur 3 behen ho to wirasat ka hissa kaise taqseem kare

Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 15-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16367
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam, Mujhay Surah E Nissah ki roshni may Meraas k Ahkaam jaaney hay. Please batey ga

Answer: Surah nissah Quran ka chautha surah hai aur is mein wirasat se mutaliq mukhtalif qawaneen aur ahkaam mazkoor hain. wirasat ke qawaneen, islami fiqh ka aik ahem hissa hain aur quran o sunnat mein in ka tafseel se zikar kiya gaya hai. Aap in ki tafseel zel me diye link ko open kar ke maslah #2686, pg #305 me dekh sakte hain. (Ref: link: file:///C:/Users/pc/Desktop/Downloads/Tauzeeh%20Transliteration.pdf ). [Updated on 07-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 16491
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: KIYA BAAP KE PROPERTY USKE AKLOTY OLAD BETI KO MILE GY YA DOSRE B HAQDAR HO GY?

Answer: Meeras ki taqseem ke liye marhoom ke rishte daron ke 3 tabqe (Groups) bante hain, or yeh tabqe tarteeb-waar (number wise) hote hain, yani jab tak pehle tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho meeras baad wale tabqe ke afrad ko nahin milti. In me se pehla tabqa (1st group): Marhoom ke Maan, Baap or aulad hote hain aur aulaad ke na hone ki surat mein aulaad ki aulaad hai jahan tak yeh silsila niche chala jaaye. Dusra tabqa (2nd Group): Marhoom ke Dada, dadi, nana, nani, behn or bhai hote hain. Teesra tabqa (3rd Group): Marhoom ke chaha, phophi, mamu, khala hote hain. In mein se jo koi marhoom ke zayada qareeb ho woh meeras paata hai aur jab tak is tabqe mein se aik shakhs bhi maujood ho, baad wala tabqa meeras nahin paata.is Bina per share meraas aik he aulaad ko mile ghe (Ref: Tauzeeh ul masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2691,2694). [Updated on 11-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16536
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Baap ky intiqal ky bad agar akloty bete ka b intiqal hu jay aur bhai ki shaadi b niii hvi tu sisters ko hissa mily ga

Answer: Meeras ki taqseem ke liye marhoom ke rishte daron ke 3 tabqe (Groups) bante hain, or yeh tabqe tarteeb-waar (number wise) hote hain, yani jab tak pehle tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho, meeras baad wale tabqe ke afrad ko nahin milti. Pehla tabqa (1st group): Marhoom ke Maan, Baap or aulad hote hain aur aulaad ke na hone ki surat mein aulaad ki aulaad hai jahan tak yeh silsila niche chala jaaye. Dusra tabqa (2nd Group): Marhoom ke Dada, dadi, nana, nani, behn or bhai hote hain. Teesra tabqa (3rd Group): Marhoom ke chaha, phophi, mamu, khala hote hain. In mein se jo koi marhoom ke zayada qareeb ho chahe pehla taqba ho ya dusra tabqa ho ya teesra tabqa ho, woh meeras paata hai aur jab tak us tabqe mein se aik shakhs bhi maujood ho, baad wala tabqa meeras nahin paata. Is bina par agar pehle tabqe me sirf betiyan marhoom ki waris hon to tamam jaidaad unhi betiyon ko barabar barabar (equal) mile gi. (Ref: Tauzeehul masael, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2691,2694). [Updated on 29-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16537
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Baap ky intiqal ky bad agar akloty bete ka b intiqal hu jay aur bhai ki shaadi b niii hvi tu sisters ko hissa mily ga

Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 29-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16541
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir meray chachu faut hue hain unki biwi zinda hai. Aur aik tayya abbu pehle faut hua tha toh unki jaida kisse milegi mere abbu ko marhoom ki biwi ko ya jo tayya abbu ki aulad hai unko agar marhoom ki koi aulaad na ho toh

Answer: 1: Zikr shuda surat me marhoom ki jaidaad me se chauthayei (1/4) hissa us ki biwi milay ga aur is ke baad baaqi saari ki saari jaidaad aap ke walid ko milay gi. 2: Wazahat; Marhoom ki biwi ko ghar ki zameen, bagh, khait, aur dusri zameenon men se koi hissa nahin milta or nah hi us ki qeemat karwane ki surat men koi hissa milta hai. isi tarah ghar ki faza men qaaim cheezon masalan emarat aur darakhton se bhi hissa nahin milta lekin un ki qeemat karwayei jaye to us emarat wagera ki jo qeemat hogi us men hissa milta hay or jo cash ya gold ho ya jo jaidaad ho to sab men marhoom ki biwi ka chauthayei (1/4) hissa banta hai, wo marhoom ki biwi ko diya jaye ga. Aur is ke baad baaqi saari ki saari jaidaad aap ke walid ko milay gi. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2704,2728). [Updated on 29-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16573
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar orat apna wirasat ka hissa apni merzi sy apnay bhai ko dy dy? to kia is ki ijazat hai?

Answer: Jee han, aurat marhoom ya marhooma ki meeras me apne hisse ki malik ban jati to phir us ki marzi hai ke wo apna hissa jise chahe tuhafay ke taur par day day. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #1310,1335). [Updated on 12-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16644
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Biwi k inteqal k baad uske ornaments sirf h to shauhar aur 2 bete aur 2 betiyon ko kitna hissa milega

Answer: Marhooma ke zewraat (ornaments) me se chauthayei (1/4) hissa us ke shohar ko milay ga aur is ke baad baaqi jo bache ga wo marhooma ke 2 beton aur 2 beteiyon me tarah taqseem hoga ke jo bache ga us ke 6 hisse kiye jayen gay, har bete ko 2 hisse milen gay aur har beti ko 1 hissa mile ga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2694,2727). [Updated on 30-May-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16867
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Please guide me--- father ki death hwi hai we are 2 brothers and 4 sisters and one stepmother(in ki koi aulad nahi hai)

Answer: Insan ki mout ke baad us ki biwi (chahe mother ho stepmother) ko ghar ki zameen men se koi hissa nahin milta or nah hi us ki qeemat karwane ki surat men koi hissa milta hai lekin ghar ki emarat men wese to us ka hissa nahin banta magar us ki qeemat karwayei jaye to us emart ki jo qeemat hogi us men hissa milta hai or jo cash ya gold ho ya jo jaidad ho to sab main se shohar ki aulaad hone ki sorat main biwi ka 1/8 (aathwan) hissa banta hai, aur baqi jaidaad aulad (2 brothers and 4 sisters) men taqseem ho gi, is tarah se ke har behen ko aik aur har bhai ko dogna(double) hissa milta hai. Mazeed tafsilaat ke liye darj zel numbers pe contact karen, Office Timing: 2:00 PM - 9:00 PM Tel: (0092-21) 32226948 Tel: (0092-21) 32237207 Email: info@qoitrat.org (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2694,2728). [Updated on 22-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 16928
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kiya bahn or bhai me braber wirasat taqseem ho sakty hy

Answer: Bhai, behen apni marzi aur ikhtiyar se chahen to barabar taqseem kar sakte hain, Albatta sharaei maslah ye hai ke wirtasat me bhai ka hissa behen se dugna (double) hota hai. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2694). [Updated on 19-Jul-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!