Question: Assalm o Alekum, Wirasat mai, Father, 3 Sons aur 2 Daughter in ka Hissa kis tarah se hoga. Shukriya
Answer: Agar aap ka sawal is tarah ka hai ke aik aurat ka intiqaal hua hai, us ka shohar hai aur us ke 3 betay aur 2 betiyan hain. To is ka jawab ye hai ke Biwi ki poori jaaidad men se shohar ko chothayei (1/4) hissa mile ga or baaqi maandah hissa 3 betay aur 2 betiyon me is tarah taqseem hoga ke Har betay ko betiyon se dugna hissa mile ga. Misaal ke taur par agar biwi ki jaaidad 1 lac hai to is me se shohar ko chothayei (25,000) , aur baaqi 75,000 me se 9,375 dono betiyon me se har beti ko, aur teenon beton me se har betay ko 18,750 milen gay. Isi tarah agar dosri jaaidad jese ke ghar, zameen wagera... bhi hai to wo bhi isi tarah taqseem hogi.ye meras ki taqseem us surat me hay ke jab Marne wale per kise ka male qarza na ho or Marne wale ki zindaghi me Marne wale per Hajj wajib na hogaya ho,or agar Marne wale per kise ka male qarza ho ya Hajj wajib ho tu phele qarza or Hajj anjaam dia jaay ga us ke baad meras ki taqseem ki JAAE GHE. Meras per tu khums wajib nahe hay or agar Marne wala khums nahe Deta to wareseen per Marne wale ki taraf se khums dena wajib nahe hay or agar wo khums Deta tha tu jis maal ka usne khums ada nahe kia us maal ka khums nikaalna wajib hay or agar khums us ke zimme hay tu bhe tu bhe Jo khums us ke zimme hay uthna khums nikaalna hay or Agra Marne wale ko Saal ke darmyaan koi manafa hasil ho or wo Saal ke Duran mar jaae tu us ki maut Tak ke akhrajaat nikaal kar furan us munafe ka khums ada kia jaay OR AGAR AAP KA SAWAAL KHUCH OR HAY TU AAP APNE SAWAAL KI DOBARA WAZAHAT KARKE SAWAAL KARSAKTE . (Ref: Tauzeeh ul Masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2494,2727,1723,1724,1736,sistani.org,topic : meras). [Updated on 09-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mere shohar ne mjhe jo zewar shadi pe dia tha apni kamai se kia wo bhi shoahr k intiqal k bad wirasat may taqseem hoga Jb k wo zewar mjhe dedia tha ?
Answer: Agar koi shakhs apni zindagi me kisi ko kisi cheez ka malik bana day to wo cheez pehle wale shakhs ki milkiyat se nikal kar dosre ki milkiyat me chali jati hai, Is bina agar wo zewarat aap ke shohar ne aap ko tuhfe ke taur par diye the aur aap ki mikiyat me qaraar diye the yani aap ko un zewraat ka malik banaya tha to ye shohar ki meeras ke aitebar se taqseem nahin honge. (Ref: Minhaj us Saliheen, Ayatullah Sistani(d.b), Part #2, Edition #1443, Maslah #1320,1335). [Updated on 12-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalamualaikum mera sawal ye hai ke agar maa baap hayat ho jinke 3 bete ho jisme se ek ka inteqal ho chuka ho jiski 2 betiya ho to kya marhoom bhai ki betiyo ko hissa miley ga .(agar bhabhi ne dusri s hadi kar ke betiyo ko apne sath le gai ho )
Answer: Meeras ki taqseem ke liye marhoom ke rishte daron ke 3 tabqe (Groups) bante hen, or yeh tabqe tarteeb-waar (number wise) hote hen, yani jab tak aik tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho meeras baad wale tabqe ke afrad ko nahin milti. in me se pehla tabqa (1st group): Marhoom ke Maan, Baap or aulad hote hen aur aulaad ke na hone ki surat mein aulaad ki aulaad hai jahan tak yeh silsila niche chala jaaye. in mein se jo koi marhoom ke zayada qareeb ho woh meeras paata hai aur jab tak is giroh mein se aik shakhs bhi maujood ho, dasra giroh meeras nahin paata. lihaza marhoom bhai ki aulad (chahe bete hon ya betiyan) ko hissa nahin mile q Q ke pehle tabqe me maan, baap aur 2 bhai abhi maujood hain. (Ref: Tauzeeh ul masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2691,2694). [Updated on 16-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Dosri maa sy aulad nahi hy to kia dosri maa kay tarqy sy us ky bhai ko hisa mily gha
Answer: 1: Meeras ki taqseem ke liye marhooma ke rishte daron ke 3 tabqe (Groups) bante hen, or yeh tabqe tarteeb-waar (number wise) hote hen, yani jab tak aik tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho meeras baad wale tabqe ke afrad ko nahin milti. Pehle tabqe (1st group) me marhooma ke Maan, Baap or aulad hote hen aur aulaad ke na hone ki surat mein aulaad ki aulaad hai. Dosre tabqe (2nd group) me marhooma ke Dada, dadi, nana, nani, bhai or behen hote hen. Teesre tabqe (3rd group) me marhooma ke chaha, phophi, mamu, or khala hote hen. Aur jab tak pehle tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho tarka doosre tabqe ke afraad ko nahin mile ga. aur agar pehle tabqe ke afraad maujood nah hon to tarka doorse tabqe ke afraad ko mile ga aur jab tak doosre tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho, tarka teesre tabqe ke afraad ko nahin mile ga. lihaza agar pehle tabqe mein marhooma ke maan, baap aur aulaad dono maujood nahin hai to marhooma ki jaaidad doosre tabqe ke afraad ko mile gi. 2: Agar marhooma ka shohar maujood hai to to us ke saare maal ka nisf (aadha) hissa shohar ko bhi mila ga phir baaqi mandah doosre tabqe ke afraad ko mile ga. aur agar shohar maujood nahin hai to poori jaidad doosre tabqe ke afraad ko mile gi. ab doosre tabqe me jo afraad maujood hain un ke darmiyan meeras kese taqseem hogi is ke liye aap qareeb kisi maulana se rabta karen. Ya darj zel numbers par contact karen. Tel: (0092-21) 32226948 Tel: (0092-21) 32237207 (Ref: Tauzeeh ul masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2691,2694,2727). [Updated on 17-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Dosri maa sy aulad nahi hy to kia dosri maa kay tarqy sy us ky bhai ko hisa mily gha
Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 17-Dec-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mere chacha ki olad nahi hai fout ho gaya hai jaidad ki taqseem kaise hogi ham 3 bhai aur 5 counselling hai cha cha ki bivi aur 2 sister hai
Answer: Ye kis tarah ka sawal hai ? Samajh me hi nahin aa raha ? [Updated on 14-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Dadi ki property main pote ya poti ka kya hissa rahenga agar maa ki hayati main baap ka inteqal ho jaaye by islam
Answer: Meeras ki taqseem ke liye marhoom ke rishte daron ke 3 tabqe (Groups) bante hen, or yeh tabqe tarteeb-waar (number wise) hote hen, yani jab tak aik tabqe ke afrad maujood hon chahe aik fard hi Q nah ho meeras baad wale tabqe ke afrad ko nahin milti. in me se pehla tabqa (1st group): Marhoom ke Maan, Baap or aulad hote hen aur aulaad ke na hone ki surat mein aulaad ki aulaad hai jahan tak yeh silsila niche chala jaaye. in mein se jo koi marhoom ke zayada qareeb ho woh meeras paata hai aur jab tak is giroh mein se aik shakhs bhi maujood ho, dasra giroh meeras nahin paata. lihaza marhoom ki aulad ki aulad (yani marhoom ke pote, potiyon) ko hissa nahin mile, lekin agar marhoom ke maan, baap aur aulad hayat na hon to marhoom ki aulad ki aulad (yani marhoom ke pote, potiyon) ko hissa mile ga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Aayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2691,2694). [Updated on 24-Jan-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: kiya bap ki property beato my equal divid ho gi agr kisi ko kmm ya zayda di to gunah ho ga jab k bap ki death k bad beato ny property khud divide ki hy
Answer: Agar marhoon ke sirf chand bete waaris hon to jaaidad ko beton me barabar barabar taqseem kiya jaye ga, agar kam ya ziyada di ho aur jise kam mili ho wo raazi nah ho to gunahgar honge. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), Edition #42, Maslah #2697,2701). [Updated on 23-Feb-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar 2 bhai aur 3 behen ho to wirasat ka hissa kaise taqseem kare
Answer: Agar marhoom ke waris faqat 2 bhai aur 3 behnen hon to meeras ke 7 hisse kiye jayen ge, jin me se har bhai ko dugna(double) hissa mile ga aur har behen ko aik(single) hissa mile ga. (Ref: Tauzeeh ul masail, Ayatullah Sistani(d.b), edition #42, maslah #2395,2473). [Updated on 02-Mar-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar 2 bhai aur 3 behen ho to wirasat ka hissa kaise taqseem kare
Answer: Jawab de diya gaya hai. [Updated on 15-Apr-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]