Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 392
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalamo alaikum janaab mera sawaal yeh hai ke me ek restaurant me kaam kerta hoon jaha per sharab aur pork ka gosht bikta hai mera masla bataiyay ke kia yeh theek hai yah nahi aur ager nahi hai to mujhe kia kerna chahiay.shukria

Answer: Sharab pesh karna to Yaqeeni taur per haram hai or suar (pork) ka gosht pesh karna ahtiyaat e wajib ki bina par jaiz nahi hai.(Ref : Mujthid se puchhe gaye sawalat Ayat-ul-All Seestani (d.b) part # 4, page #76, Mafhoom e Ques # 164). Update on dated 11-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 663
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: main net caffe per kam karta ho tu ye kam mere liye halal hai ya haram plz tell me thanks

Answer: Jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Nigha or libas,Mafhoom e Maslah #71). Update on dated 11-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1006
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: In what conditions IS it allowed to work at a place where pork is served !! My job is to make food and serve that involves pork!

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina per zaruri hai k pork (so’ar ka ghost) serve nah kia jaey.(Ref : mujtahid sepouchey gye sawalat part # 4 , Mafhoom e pg # 76). Update on dated 11-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1116
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Can i work in the shopping centres as a cleaner where they have different things and Vine

Answer: Agar sharaab k bartan dhonay,sharaab khoro or sharab paish karnay ka muqadma ya us kaam me zarya shumaar hoto ye amala share tor per haram hai. (Ref : Ayatullah Sistani, Jadeed faqhi masael , Mafhoom e maslah #283 , Pg #175 , Eidition# 5). Update on dated 11-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1577
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: assalamalikum, maen london maen student hoon mecdonalds maen kam karta hoon mecdonalds maen pork, aur haram meet hota hai ap plz mujhe bataen mecdonalds maen kam karna haram hai. q k hum ussay touch bhi karte hain.

Answer: Ehtiyaat e wajib ki bina per zaruri hai k pork (so’ar ka ghost) serve nah kia jaey.(Ref : mujtahid sepouchey gye sawalat part # 4 , Mafhoom e pg # 76). Update on dated 11-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 1626
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kia ashoor k din job pe jasakte hai?agr nai gae tou job jasakti hai?plzz mje batae?aesa krna majbori k tehet haram hai k makroh??

Answer: Ashoor k din kam karna makrooh he, haram nahi hai. (ref : Mafhoom e http://www.sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=959 ques # 5). Update on dated 11-05-2015.(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 2852
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya islam main aurat ka job karna sahi hai?

Answer: Ager mukammal share parda karen or gunah men parhne ka khof nah ho to jaiz hai. (Ref: Book : Nigaah o lebaas , baab # 4 , sawaal no # 97 , pg # 65). Update on dated 11-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3117
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is there any problem to open a beautyparlor means it is true or Haraam.

Answer: It is lawful. (Ref: Ayat-ul-Allah Sistani db) Book # Mujtahid se pochay gaay sawalaat, part#3, Mafhoom e pg#67). Update on dated 11-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 4581
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia Aurat mard k bgair Bhar Nikal Skti hai? Aurat k liay Jobs kerna Jaiz hai? Job mai apni female collegues sy baat kerna jismay lazzat maqsood na ho Jaiz hai?

Answer: 1) Aam halat men shohar ki ijazat k baghair ghar se nikalna haram hai. 2) Shohar ki ijazat le kar job ker sakti hai lekin haram kam main mubtla hony ka khof na ho, or sharee parde ka bhi khayal rakhna mumkin ho. 3) agr burai mai mubtila na ho aur sharai hudood ka khayal rakha jae tu koi haraj nahi hai.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2376) (Ref : Kitab Nigah aur libaas, Sawal # 97, Pg # 65).Update on dated 11-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 4661
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sallam sir kia larki ka job krna jaeiz ha???? agr jaeiz ha to kis condation m jaeiz ha???

Answer: Agar share parde ka khayal rakha jay or lazzat ka irada ya gunah main mubtila hony ka khoof nah ho to koi haraj nahi hai or share parde k alawa chehray ka makeup karnay se bhi perhaiz karna chahiay. (Ref : Kitab Nigah aur libaas, Sawal # 97, Pg # 65). Update on dated 11-05-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!