Question: mujay khatna k masail btain
Answer: bismehi taala, khatne me wajib had us hisse ko katna he jo hashfa ko dhak leta he jis ko gulfa kha jata he, is tarh se k hashfa ka surakh aur us ki jild zahir ho jeye, agar che us hisse ki tamam jild ko na kata jaye aur tamam hashfa ko zahir na kiya jaye, baharhal itni miqdar me kata jaye k khatna kha ja sake. (ref:www.sistani.org/urdu/khatna/q1)
Question: while drinking water we should sit r not?
Answer: Paani peenay k adaab main ye shoomaar kia gaya hay k din k waqt kharhay ho ker(stand up) paani peena jaay.or raat k waqt kharhay ho ker paani peena muzmoom(contemptible) shomaar kia gaya hay.(ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#2601,2602).
Question: Is it WAJIB to follow laws of Islamic country. Please confirm the same. Further please also advise that is their any tolerance for the country like Pakistan because its our routine in daily life to break the laws.
Answer: Ma’aashray(social life) ki falah o behbood(profit) k liay banaay janay walay Hukumat(government) k kisi bhi qanoon ki mukhaalfat jaaiz nahi,maslan traffic ka qanoon .(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Mujtahid say pochay gay sawalaat,Part #2,Sawal #187 & jaded fiqhi masail, maslah #) fiqhi masail page#133,134)
Question: hum nikkah ke baad agey daal sektey ha with detail
Answer: Is k jawab ka refrence availabve nahin he aap Aytullah Khamnaie d.b. ki website address:www.leader.ir par ruju karain.
Question: mikhtar sakhs kisko kahte hai ?
Answer: bismehi taala, mukhtar shakhs yaani aysa shakhs k jo majboor na ho balke apna kam apne ikhteyar se kar raha ho
Question: A.A ap ne mujhe jo jawab dia hai us ki mujhe smajh nahi aye.or ap ne koi wazifa ya koi mashwara bhi nahi bataya.plz muhe kuch batain me kya karon
Answer: Aap ka maslah kia tha dobaarah bhaijain ya phir pehlay walay sawal ka ID batain.
Question: how to get rentv on dd direct plus
Answer: bismehi taala, aap apne sawal ko wazeh karain.
Question: eid ke din gala milna aur mosafa karna jayez hai ya nahin,please reply soon
Answer: koe haraj nahi,apnay momin bhai say haath milana,galay milna aik mutahab amal hay.(ref:Ayat Ullah Seestani(d.b),Email)
Question: I WOULD LIKE TO KNOW IF "AL-MIZAN" BY ALLAMA TABATABI IS AVAILABLE IN URDU? WHO ARE THE PUBLISHER AND HOW MUCH
Answer: yes "al-mizaan" by allama tbatabae(D.B) is now available in urdu at mehfooz book agency and remat ullah book agency and khurasaan book center and other books stall. Part#1 is published by meeraaj company Pakistan whenever part# 2 & 3 is published by al-ghadeer academy Lahore and there are only three incomplete parts now.
Question: sir plz mujhy batayen k jub insan is duniya se chala jata hy to ko qull, daswan,chahlam karway jaty hen unhe karna zaroori hy kya?? aur jo ham aesaale tawab k liye parhty hen logon ko bula kar kya uska sawam mayyet ko jata hy aysa karna theek hy ????
Answer: is sawal ka hamaray paas refrence maujood nahi hay.mehaerbani ker k Ayat ullah Kahamnaie ki website say ruju karain.(website adress www.leader.ir)