Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 790
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: allah se tauba ka tariqa batayein jis se allah foran maaf kardein

Answer: Istighfaar(taubah) main 6 batain shamil hain: Nidamat k saath sachcahay dil say 14 masoomo(a.s) k waseelay k saath Allah say maafi talab kernay say tubah foran qabool hoti hay. 1)maazi(past) k gunah per shamindagi. 2) Aaindah(in future) gunah nah kernay ka masboot iradah. 3) logo ka jo haq aap per baaqi hay os ko ada kerna.(maslan kisi ka maal ya haq, nahaq khaya that tu os say maafi maangna ya oska haq ada kerna). 4)jin wajibaat ko ada nahi kiya os ko ada kerna.(maslan namaz roza ko agar ada nahi kiya that u os ki qaza bja laana). 5)jo ghosht maal e haram say jism main paidah hoa ho os ko gham o ranj say pighla daina yahaan tak k naya ghosht paidah ho. 6) jism ko waisay hi ibadat ka mazah chakhana jis terah osko gunagh say maza chakhaya tha.(Nehjul balaghah,kilimaat o hikmaat # 417)

Id: 796
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: wo kon si cheez hay jo pas ho to nikah nahi hota wo kon si cheez hay jo pas na ho to jinaza nahi hota

Answer: Wo cheez kufur (˜ÝÑ )hay jo agar kisi shaks k paas ho tu os say nikah nahi hosakta or emaan paas nah ho tu oska janazah nahi hosakta.(Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#106,583,2362) .

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 797
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya yeh site ahl-e-tashee ki hai ya ahl-esunnat waloon ki.

Answer: Quran-o-Itrat Academy web is all about Istifta , Books Of Mujtahid ( Maraja-e-Uzzam ) with the online question and answer system for commonly asked questions. And many more about Islam and other Shia features.

Id: 807
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslam-o-Alikom mere WALID ka inteqal ho gaya he or me apne CHACHA se paise le k Busnis kar raha hon or Jo profit hota he us me se kuch paise me apne CHACHA ko bi deta hon.tu ye kya sood he?

Answer: Agar aap k chacha is shart per aap ko paisay daitay hain k is udhar ki raqm ko izafay k saath wapas karma, tu ye sood hay or haram hay.or agar onho nay izafay ki koe shart nahi rakhi tu aap ka izafay k saath raqam ka wapas kerna or onka ye izafa shuda raqam laina sood nahi or ye kaam jaiz hay.(Tauzee hul Masail,Maslah#1, Jadeed Masail,Ayatullah seestani(d.b).)

Id: 808
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Is wearing a neck tie permissible in Islam?

Answer: Tie pehanna bezat e khud haram nahi he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 2, ques # 185, pg # 78) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 815
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam sir mene apko kafi time phle 2 mails ki jis me se aik ye thi k kia ahtiat e wajib aur ahtiat e lazim alag alag term hen aur ahtiat e lazim ki definition kia he plz reply.salam

Answer: Ehtiyaat e wajib or ehtiyaat laazim main farq fatwa daynay k lihaaz say hay,laikin maqaam e amal(practical) main koe farq nahi.yaani Ehtiyaat e wajib ya ehtiyaat laazim ho,ya tu is ehtiyaat per amal karain ya fal’aalam mujtahid(2nd number main sab say ziyada ilm wala mujtahid) ki taraf is mislay main ruju(contact) karain agar wo 2nd aa’lam mujtahid ijazat ya fatwa day tu phir osk fatwa per amal kiya jasakta hay or is ehtiyaat ko chorha jasakta hay.(Tauzee hul Masail,Pg#473,744,478,Ayatullah seestani(d.b).)

Id: 838
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: hum log imaam ko mante hai to baaz shia sufi pir fakir ki dargha ja kar ziyarat karte hai tu ye aslam maen jaiz hai

Answer: Is me koi masla nahi he. (Ref email rec from ayatullaha sistani d.b. dated : March 9, 2011)

Id: 856
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asalam 0 alikum, being a women,what are our responsibilites regarding the ghaibat -e- IMAM(a.s)

Answer: Apply your islamic duties. (Ref email rec from ayoullah sistani d.b. date : 12.10.2011)

Id: 868
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam.sir radd e mazalim kise khte hn.aur agar kisi k pas kisi aur ki 50 ya 100 rs tak ki cheez ho aur usko wapis krna mumkin na ho tu wo ye rs kis ko de ge aur agar us k pas rs na hn tu wo kia kare ga

Answer: sher’e layhaaz se agar aap k zimmay kisi ka maal ho or oska ya os k wariseen or jaannay walo ka koe at pta(address) maloom nah ho ta keh aap os ka maal osay lauta sakain tu os maalik ki taraf se kisi faqeer ko sadqa kernay ko radday mazalim kehtay hain. Or ehtiyaat e wajib ki bina per radday mazalim ada kernay se pehlay mujtahid se ijazat laina bhi zarori hay. http://sistani.org/local.php?modules=nav&nid=5&cid=1125 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 884
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: WHAT IS THE NAME OF IBN-E-ZIAD L.A.

Answer: THE NAME OF IBN-E-ZIYAAD IS UBAI-DULLAH. (http://www.answering-ansar.org/answers/qatelaan_hussain/ur/chap14.php ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!