Question: salam ye ufone wale jo loan detay hy phr is me jo extra charge lete hy 15 ki loan dete hy 15.50 lete hy to ye extra kya interes khelaega nd ye jaiz hy?>rply
Answer: Ye interest nahi hay.or ye service charges hay.is liay jaiz hay.(Ref: dated: 17.03.10)
Question: slam pls send ur all branches detail and phone number.i want 2 take addmission in this academy.soon.
Answer: Head office : 365/1, pire street, garden east, Karachi, Pakistan. Ladies branch : G-1, 163-b/1, P.E.C.H.S., block-3, Karachi.
Question: salam sir me 20 years ki hn kia ap mjhe koi book ya site bata sakte hn jis ki help se me auroton ke cmplete masail aur shadi k cmplet masail ghar bethe samajh sakn plz sir reply as soon as possible
Answer: 1)book : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) 2)site : http://qoitrat.org/qa/searchtopic.asp?Main=1&MainTopc=21
Question: 1]Can we keep rabbits as pets? 2]If a dog is kept only outdoors and never let into the house..will the angels still stay away from such homes?
Answer: 1)There is no problem in that(ref:email rcvd from sistani@sistani.org) 2)There is no problem in that(ref:email rcvd from sistani@sistani.org)
Question: We often hear that the transactions involving interest are not allowed. Most of the people are unaware of what basically the interest is. so please clarify the meaning of interest and why is it considered as haram?
Answer: Sood(Interest) say muraad is shart per kisi say qarza laina(ya kisi ko qaza danna) k jab qarza ki raqam wapas ki jay gi tu qarzay ki miqdaar say ziyadah ada kia jaay gi.ye sood hay or haram hay. Private bank main agar raqm rakhtay waqt sood(interrest) ki shart(agreement) nahi rakhi gae ho tu raqm ko bank main rakwana or Profit ko layna jaiz hay.chahay aap ye jaantay hon ke bank profit day ga.(ref:Ayat ullah seestani(d.b)mujtahid say pochay gaay sawalat,sawal #113) Jab keh government bank main agar raqm rakhtay waqt sood(interrest) ki shart(agreement) nahi rakhi gae ho tu raqm ko bank main rakwana or Profit ko layna jaiz hay.chahay aap ye jaantay hon ke bank profit day ga.laikin government bank say milnay walay profit ka aadha hissa deendaar faqeer ko dainawajb hoga.(ref:Ayat ullah seestani(d.b)mujtahid say pochay gaay sawalat,sawal #113)
Question: fatiha padhne ka sahi tarika keya hai?
Answer: Fatiha parhnay k lie aik dafa surah e al hamd parhain aur teen martaba surah e ikhlaas parhain. Os k baad ye kahain “in suratoo ko parhnay ka sawab aaima a.s. ki khidmat mai hadya ho kar jo un sai sawab milay wo hamaray marhoom ki rooh ko phonchay, aameen ” (Ref : takeebat e namaz) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye). http://www.qoitrat.org/Fateha/Default.asp
Question: Salam Me jaan na chahata hu k meri biw Proper Hijab me rehkai CAR chala sakti hai ?
Answer: jee haan. Agar aurat mukammal hijab main ho tu os ka car chala bil kul jaiz hay. (Ref : A.sistani(d.b),jaded fiqhi masa’il, Masla # 505,522). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: ASA! mera sawal ye hai ke hum apni Quranic verses ki qirrat ko kaise durast kar sakte hai? kya is se mutalliq koi website hai jis ke madad se hum online apni Qirrat sahee kar sakte hai?
Answer: Qir’at ko sunnay k liay bohat si website hain jin main say aap k liay 2 website link diay jarahay hain. “ http://www.duas.org/quran.htm & http://www.al-quran.ca/en_baset.html”
Question: kya razor ek aurat apnay jism par hair removing ke liye istimal kar saktee hai?
Answer: Jee haan.auratain(women) apni body say baal(hair) remove kernay k liay razor istemaal kersakti hain.(Ayat Ullah Seestani(d.b), email Rcvd from Ayat Ullah Seestani(d.b) dated 15-07-2010).
Question: kha women apni body sa hair remove krna ka lia iron ka use kr skti ha
Answer: Jee haan.auratain(women) apni body say baal(hair) remove kernay k liay loha(Iron) istemaal kersakti hain.(Ayat Ullah Seestani(d.b), email Rcvd from Ayat Ullah Seestani(d.b) dated 15-07-2010).