Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 932
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam ager kisi larki ki dead body mily tu kesy pata chaly ga k woh muslim hai ya non muslim uss dead body ka koi ata pata nahi hai plz answer me

Answer: Har wo mayyat(deead body) jo musalman mulk se milay tu wo zahiran musalman hay or isi terah agar os mayyat ko musalman k ghar se uthaya gaya ho, balkeh ehtiyaat e lazim ki bina agar kafir k ghar k liay yehi hokum(yani os ko musalmaan samajhna) hay jab os mayyat k musalman hone ka ehtemaal ho. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah# befor 303 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 950
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Working in Saudi Arabia. Need following:1-procedure of Gusl e mase mayyat. 2- Procedure for giving ghusl to mayyat. 3- procedure for namaz e maayyat. 4-about waseeyat. pl. pl. pl. send article on my mail address in URDU/ENGLISH.

Answer: 1)Ghusl e mas e mayyat karnay ka tareeqa : Ghusl e mus e mayyat ghusl e janabat ki tarah he aur is k bad wuzu ki zarorat bhi nahi rehti. Ghusl kernay k 3 tareeqay hain. i) Tertibi(sequence) ii) Irtimasi tadrijee(gradual immersion bath). iii)daf’ee(Immediat immersion bath).Ghusl e tertibi ka tariqah ye hay:-- sab say pehlay ghusl ki niyat say sar(Head) or gardan(Neck) ko mukammal dhoya jaay,or is k baad poray badan ko aik saath dhoya jaay.or behtar ye hay k badan ko do hisso main dhoya jaay pehlay badan ka seedah hissa or baad main ulta hissa.ghusl main naak or moonh main paani daalna wajib nahi hay.ghusl main jism k tamaam hisso tak paani pohan chaana wajib hay ,or agar ghusl k baad yaqeen ho k sar ya garden ka koe hissa khushk hay tu sar ya garden ki sirif osi jagah ko ghusl ki niyat say dhoo ker badan k dono hisso ko dobah say ghusl dain. or agar badan ka koe hissa khushk hay tu ghusl ki niyat say sirif osi hissay ko dhoo lain.(ref: Ayat Ullah sistani(d.b), tauzee hul masail,maslah# 519 , 360-365). Note: aap mazeed tafseel k liay is link par click karain. (http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/62.htm) 2) Ghusl mayyat ka tariqa : 1)Ghusl e mayyat ghusl e janabat ki tarha he 2)Mayyat ko tarteeb se 3 ghusl danay zurari hein. 1. Aisay pani se jis me baari k pattay milay hua hoon. 2. Aisay pani se jis me kafoor mila ho. 3. Khalis pani se. 3)Jo shakhs miyat ko ghusl de zurari he k wo qarbat ki niyat rakhta ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 539-558). Note: aap mazeed tafseel k liay is link par click karain. (http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/66.htm) 3) Namaz e mayyat ka tareeqa : Namaz e mayyat me 5 takbeerain hein.Aur agar namaz parhnay wala shakhs nechay di gae tarteeb k saath 5 takbeerain kahay to kafi he. Niyat kernay aur 1st takbeer k bad kahay.( اشھد ان لا الہ الا اللہ و اشھد ان محمدا رسول اللہ ) (ASH,HADO AL LAA ILAA,HA IL,LALLAAHO WA ASH, HADO ANNA MUHAM,MA,DAN RASOO,LUL LAH) 2nd takbeer k bad dOrood parhay. (اللھم صل علی محمد وآل محمد) 3rd takbeer k bad kahay ( اللھم اغفرللمومنین و المومنات )(ALLAA HUM,MA IGH,FIR LIL,MOOMINEENA WAL MOO,MI,NAAT) 4th takbeer k bad agar mayyat mard ho to kahay (اللھم اغفرلھذا المیت) (ALLAAH HUM,MA IGH,FIR LI,HAA,ZAL MAYYAT) Aur agar miyit aurat ki ho to kahay (اللھم اغفرلھذہ المیت) (ALLAAH HUM,MA IGH,FIR LI,HAA,ZIHIL MAYYAT) Aus is k baad 5th takbeer kahay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 598). Note: aap mazeed tafseel k liay is link par click karain.(http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index2/02.htm) 4) Wasiyat : Wasiyat ye he k insan ta,qeed karay k os k marnay k bad os k lie falaan kam kiay jain ya ye kahay k is k maal me se falan cheez os k marnay k bad falaan shakhs ki milkiyat ho gi, ya khayraat ki jay , ya apni aulad k lie. Jo shakhs wasiyat karay wo zurari he k baligh aur aaqil ho aur apnay ikhthiyar se wasiyat karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2687-2690) Note: aap mazeed tafseel k liay is link par click karain.(http://al-shia.org/html/urd/resaleh/html/index4/65.htm). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 1713
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mernay ke baad merd biwi ko,aur biwi mian ko gusal de saktee hai.

Answer: shohar apni bivi ka or bivi apne shohar ka us ki maut ke baad chehra deekh saktain hai, or dono ik dosre ko ghusl bhi de sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 548 , (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 1795
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya aik na maheram mard(Male)kise na maheram orat(Female)k janaze(Dead Body)ko kandha de sakta ha..

Answer: Agar miyyat aurat ki ho to aik na mehram os ki qabar ko khanda dai sakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 618-627)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 2168
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kia marad apni biwi ki mayat ko ghusal dey sakta hai,,,amre majboori like koi ghusal dene wala aur koi na ho

Answer: Note : Is website per fiqhae jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hein. Biwi apnay sohar ko aur sohar apni biwi ko ghusl e miyyat de sakhtay hain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 548) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 2961
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: How to give bath & burial process in Islam as per Fiqqah?

Answer: 1. The method of ghusl of miyyit: It is obligatory to give three Ghusls to a dead body. The first bathing should be with water mixed with Sidr (Beri) leaves. The second bathing should be with water mixed with camphor and the third should be with unmixed water. Ghusl for a dead body is similar to Ghusl of Janabat. And the obligatory precaution is that a corpse should not be given Ghusl by Irtimasi, that is, immersion, as long as it is possible to give Ghusl by way of Tartibi. And even in the case of Tartibi Ghusl it is necessary that the body should be washed on the right side first, and then the left side. And the recommended precaution is that, if possible, none of the three parts of the body be immersed in the water. Instead water should be poured on the dead body. Please see this link for more detail.(Ref: http://sistani.org/index.php?p=251364&id=48&pid=2183 ). 2. Rules regarding Kafan: The body of a dead Muslim should be given Kafan with three pieces of cloth: a loincloth, a shirt or tunic, and a full cover. As a precaution, the loincloth should be long enough to cover the body from the navel up to the knees, better still if it covers the body from the chest up to the feet. As a precaution, the shirt should be long enough to cover the entire body from the top of the shoulders up to the middle of the calf, and better still if it reaches the feet. As a precaution, the sheet cover should be long enough to conceal the whole body, so that both its ends could be tied.breadth of it should be enough to allow one side to overlap the other. Please see this link for more detail. ( http://sistani.org/index.php?p=251364&id=48&pid=2184 ). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4526
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: murdey key gusal ka taraika aur ghusl denay waly key liye ahkamat ?

Answer: Ghusl mayyat ka tariqa : 1)Ghusl e mayyat ghusl e janabat ki tarha hai. 2)Mayyat ko tarteeb se 3 ghusl danay zurari hein. 1. Aisay pani se jis me beri k pattay milay hua hoon. 2. Aisay pani se jis me kafoor mila ho. 3. Khalis pani se. 3)Jo shakhs miyat ko ghusl de zurari he k wo qurbat ki niyat rakhta ho. 4)Agar mayyat aur ghusl denay wala donoo mard hon ya donoo aurat hon to jaiz hai k sharamgah k alawa mayyat ka baqi badan berhana ho laikin behtr hai k libas k nichay sai ghusl dia jae. 5)Jo shakhs mayyat ko ghusl day zaroori hai k wo aql mand aur muslman ho aur ehtiyat ki bina par zaroori hai k wo isna ashri ho. Aur zaroori hai k wo ghusl k masail sai bhi waqif ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 539-558). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4757
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: murda ko dafan karna k bad azan d jate ha k nahe

Answer: Note : Is website per fiqha e jaffaria k mutabiq jawabaat diay jatay hain. Mayat ko dafan karne k baad azan nahi de jate hai. balke mustahab hai k dafan k baad mayat k pasmanda ko pursa diya jay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #622 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4761
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam...mujhe aap se pochna tha k jis insaan ny khud kashi ki ho us k liye hum us ki Barsi pe us k liye Siparah ya Quran parh sakty hain?

Answer: Jis shakhs nai khud kushi ki ho os ki namaz wajib hai, aur Mustahab hai k miyyat k lie quran khwani ki jae. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), urwatul wusqa pg # 322, Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 623)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4898
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam-o-Alaikum, Mayyat ko ghusl dena ka kya tareeqa hay? Tafseel say jawab enayat Farmain?

Answer: Ghusl mayyat ka tariqa : 1)Ghusl e mayyat ghusl e janabat ki tarha hai. 2)Mayyat ko tarteeb se 3 ghusl danay zurari hein. 1. Aisay pani se jis me beri k pattay milay hua hoon. 2. Aisay pani se jis me kafoor mila ho. 3. Khalis pani se. 3)Jo shakhs miyat ko ghusl de zurari he k wo qurbat ki niyat rakhta ho. 4)Agar mayyat aur ghusl denay wala donoo mard hon ya donoo aurat hon to jaiz hai k sharamgah k alawa mayyat ka baqi badan berhana ho laikin behtr hai k libas k nichay sai ghusl dia jae. 5)Jo shakhs mayyat ko ghusl day zaroori hai k wo aql mand aur muslman isna ashri ho. Aur zaroori hai k wo ghusl k masail sai bhi waqif ho aur ehtiyat wajib ki bina per wo baligh bhi ho . (Ref : Tauzeeh e ul masayl, imam khumani Masla # 565, 550,556,562-558). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!