Question: kya das muharram alharram ke din kam krna halal hai ya harram
Answer: sazawaar hai k ahlebait a.s ki shahadat k ayyam mai dukaandaar apni dukaan ko band rakhein balke dhukaan ka kholey rakhna agar ahlebait ki be hurmati shumaar hota ho to parhez karein. (http://www.sistani.org/urdu/qa/01844/)(Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya mazhab e shia me zanjeer zani jiaz he
Answer: Is taraf se is maamlay main hum manfi(No) or masbat(yes) nazariye ka izhaar nahi kerte hain, momineen is maslay main doosray jaami,osh shara,et mujtahid ki aalam fal aalam ki pabandi kerte hoay taqleed ker sakte hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istaftaat, part#1,Edition 1435 hijri,Mafhoom e Maslah #177, pg#119). [Updated on 10-08-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salam...ladies k lie qama ka matam krna jaiz hai ya nahi....ajkal ye nai cheez suany m arai h k ladies qama ka matam kr skti...ap rahnumai kijiey...
Answer: Is taraf se is maamlay main hum manfi(No) or masbat(yes) nazariye ka izhaar nahi kerte hain, momineen is maslay main doosray jaami,osh shara,et mujtahid ki aalam fal aalam ki pabandi kerte hoay taqleed ker sakte hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istaftaat, part#1,Edition 1435 hijri,Mafhoom e Maslah #177, pg#119). [Updated on 10-08-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Karbala k phele shaheed ka name kya ha with refrence book
Answer: Karbala k maidan main yazeedi fouj ki janib se pehla hamla teero ki barish ki sorat main hoa, jis k natije main 50 k qareeb ashab e hussaini shaheed ho gae, tu is liay ye nahi kaha jaa sakta k sab se pehle koon shaheed hoa. (Ref: Sa,aadatud daarain fi maqtal e hussain,muallif Allama sheih Muhammad hussain najafi, pg#335-6).
Question: Assalam o Alikum. Sir main ya Janna cahta hon k 9 muharram ki magrib k bad Yani 10 muharram ki shab ko ziyarat bad az majalis perh salty Hein Yan Mana hy.
Answer: Jee perh sakte hain. (Ref: Kuliyaat e mafateehul jinaan, pg#514). Update on dated 07-09-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam alaikum janab mere ek sawal hai ki tatbeer haram hai agar hai to kyu
Answer: Is taraf se is maamlay(ie tatbeer) main hum manfi(No) or masbat(yes) nazariye ka izhaar nahi kerte hain, momineen is maslay main doosray jaami,osh shara,et mujtahid ki aalam fal aalam ki pabandi kerte hoay taqleed ker sakte hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istaftaat, part#1,Edition 1435 hijri,Mafhoom e Maslah #177, pg#119). [Updated on 21-Oct-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Slam aagha znjeer zni ka kia hukm hy ?
Answer: Is taraf se is maamlay main hum manfi(No) or masbat(yes) nazariye ka izhaar nahi kerte hain, momineen is maslay main doosray jaami,osh shara,et mujtahid ki aalam fal aalam ki pabandi kerte hoay taqleed ker sakte hain. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istaftaat, part#1,Edition 1435 hijri,Mafhoom e Maslah #177, pg#119). [Updated on 04-11-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam o alaikum, sir kya Muhrram ya safar k mahine me kaale libas pehnna makruh h ya mustaheb hai? Pls tafseer me bataiye main bht confuse hu kisi ne mujhse swal kiya h
Answer: Imam hussain a.s. ki azadari mananay me kalay kapray pehenna pasandida amal hay. Or aam dino main bhi kala libaas pehenna ayatollah sistani d.b k fatwe main makhrroh nahi. (Ref : Mafhoom e http://www.sistani.org/persian/qa/01016/) [Updated on 21-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam walikum Karbala me qabila e Bani hashim kon kon h
Answer: 18 afraad thay: 1)Abdur Rehman bin Aqil 2)Jaafar bin Aqil 3)Mohammed bin Abi Sayeed bin Aqil 4)Abdullah bin Muslim bin Aqil 5)Mohammed bin Muslim bin Aqil 6)Aun bin Abdullah bin Jafare Tayyar 7)Mohammed bin Abdullah bin Jafare Tayyar 8)Abdullah bin Ali 9)Jafar bin Ali 10)Usman bin Ali 11)Abbas bin Ali 12)Abu Bakr bin Ali 13)Abu Bakr bin Hassan 14)Qasim bin Hassan 15)Abdullah bin Hassan 16)Ali bin Hussain (Ali Akbar) 17)Abdullah bin Hussain (Ali Asghar) 18)Imam Hussain bin Ali bin Abu Talib (A) Ref:(https://www.ashura.com/library/bani_hashim.html). [Updated on 10-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Muharram mein shadi mein jana sahi hai ya ghalat
Answer: Yeh kam sharan Haram nahin hai jab tak ke is se ayam-e-aza ki hitk-o-hurmat na hoti ho jaisa ke roz-e-aashora khushiyan manana aur zaib-o-aaraaish karna, Albatta munasib yeh hai ke Insan ahl-e-bait (a.s) ke ayam-e-museebat men har us kam se ijtinab kare ke jo kam aam taur par wo apne ahbaab ki museebat men anjam nahin deta magar yeh ke urfan zaroori kam ho. (Ref: Website, Ayatullah Sistani(d.b), urdu, link https://www.sistani.org/urdu/qa/02434/ ). [Updated on 04-Feb-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]