Question: kia qamees utar kar matam karna jaiz hai?
Answer: Mardon ke liye qameez utar kar matam karne men koi masala nahin.(Ref: https://www.sistani.org/persian/qa/0975/ ). [Updated on 30-Aug-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kameez utar kar matam karna haram hai ya nahi
Answer: Mardon ke liye Haram nahin hai. Albatta aurat ke liye Ehtiyat e wajib ki bina par jaiz nahin hai ke wo mard ke jism ke wo hisse dekhe jin ka dekhna mutaaraf nahin hai, jesa ke seena ya pet ka hissa. (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/18228/ (Ref: https://www.sistani.org/urdu/qa/25002/ [Updated on 29-Dec-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salam Can u plz tell me that what is the reason behind zanjeer??
Answer: Is taraf se is maamlay main hum manfi(No) or masbat(yes) nazariye ka izhaar nahi kerte hain, momineen is maslay main doosray jaami,osh shara,et mujtahid ki aalam fal aalam ki pabandi kerte hoay taqleed ker sakte hain. (Ref: Istaftaat, Ayatullah Sistani(d.b), part #1, Edition 1435 hijri, Mafhoom e Maslah #177, pg #119). [Updated on 06-Sep-2021:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Salamun Alikum. Janaab Mera Sawaal Hai Ki Maine Suna Hai Ashoor Ke Din Subhe Ashoor Se Asr e Ashoor Tak Sona(Sleeping) Haram Hai. Kya Ye Bat Sahi Hai? Wassalam
Answer: Jee nahin, Sona(Sleeping) Haram nahin hai. (Ref: mafhoom e link https://www.sistani.org/urdu/qa/02434/ ). [Updated on 03-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia moharram k maheeney main gold kharred sakte hain
Answer: Yeh kam sharan Haram nahin hai jab tak ke is se ayam-e-aza ki hitk-o-hurmat na hoti ho jaisa ke roz-e-aashora khushiyan manana aur zaib-o-aaraaish karna, Albatta munasib yeh hai ke Insan ahl-e-bait (a.s) ke ayam-e-museebat men har us kam se ijtinab kare ke jo kam aam taur par wo apne ahbaab ki museebat men anjam nahin deta magar yeh ke urfan zaroori kam ho. (Ref: Website, Ayatullah Sistani(d.b), urdu, link: https://www.sistani.org/urdu/qa/02434/ ). [Updated on 07-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia moharram k maheeney main gold kharred sakte hain
Answer: Is sawal ka jawab de diya gaya hai. [Updated on 10-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Matam jaiz ha
Answer: Seena zani, giryaa karna aur chehra peetna, agarchay shadeed ho, agar yeh umoor Hazrat Syed Shuhda (a.s) ke liye gham aur be cheeni ka sabab ho, to Hazrat Imam Hussain (a.s) par shadeed be taabi, be qaraari aur be aarami aur ronay aur azadari ke masadeeq mein se shumaar hota hai jo ke mustahab hai aur khudawand-e-mutaal ki bargaah mein taqarrub ka baais hai; bashart-e-kay is mein shadeed zarar ka sabab nah ho. Yeh hukum, Imam Hussain (a.s) ki azadari ke alawa baqiya tamam masomin (a.s) ki azadari ke mauqa par bhi jaari hota hai. Laiq-e-tawajah hai ke ahal bait (a.s) khusoosan Hazrat Syed Shuhda (a.s) ki rusoomaat-e-azadari ahem tareen shaaer-e-deeni mein se hai, aur zaroori hai ke is ki adaigi ke ihtimaam mein kotahi nah ho aur is pas manzar mein, jaisa ke yeh rusoomaat aur baqiya majalis jo ahal bait (a.s) se marboot hon un ke waqar o azmat aur pakeeza shaan ki hifazat momnin ke zimmay daari mein shumaar hoti hai, lehaza zaroori hai ke un kamon se ijtinab kya jaye jo azadari ki kamzori ka sabab banen. (Ref: Tauzeeh ul masail Jaame, Ayatullah Sistani(d.b), part #2, edition #1443, maslah #530). [Updated on 17-Apr-2024:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: salam.mujy ye bate ap k zanjeer ka matam kerna chahiye
Answer:
Question: Assalam-o-Alaikum I want to ask about zanjir zani. Is it allowed? i am confused because as we know even if we have one drop of blood on our dress or body we can not pray.So the people who are doing it their wounds bleed alot even after taking shower so what about them and during zanjir zani many people get the drops of blood on their dress and they cannot pray until they go home and take a bath ,where as usually people stay with the jaloos. thanks
Answer:
Question: Salam, arz ye hay ke humara muhalla jo ke takreeban 70 Gharon per mushtemil hay or sab ik family ki terha reh rahe hain.aap se sawal ye hay ke ladies ka majalis may bagair kisi time table ke jis may aane jane ka koi time na hooo or transport ka bi maqool itezam na hoo or jis se un ke ghar may (BAAp,Bhai,SHOHER,BAchoon) to mushkilaat ka samna hojata hoo.kia aisi surat may un ka majlis may jana sahi hay.halanke humare ik Maulan sahib ne kai dfa doran majlis ladies ki is baat per un ko mana kia hay.per ladies bazid hain ke majlis MOLA (AS) ki hay is may jane se koi nahi rok sakta.
Answer: