Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 2582
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: AOA.kya syrah ikhlas doosri aur choothi rakat ma parhni jaiz ha?

Answer: Zarori hai kay insaan rozana ki wajib namazo ki pehli aur dusri rakaat me pehlay alhamd aur phir kisi 1 surah ki tilawat karay aur ehtiat-e-wajib ye hai ke 1 mukammal surah ki tilawat karay (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition, maslah#965) Namaz ki tesri aur chute rakat me faqad aik dafa alhamd ya aik dafa tasbiaat-e-arba perhi jasakte hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition, maslah#992 )(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 3129
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: asalam o alaikum sir mjuey ye pata hey kis tarha namaz parhi jati hey aur kitni suuat hein aur kitney farz lekin merey ko yeh nhi pata k kon si surat parhni hey aur mujey surtey bhi nhi ati meri madat karein

Answer: 1- Zarori hay k insaan rozana ki wajib namazo ki pehli or dosri rakat main pehlay sorah al-hamd or phir kisi aik sorah ki tilawat karay or ehtiyaat ye hay k aik mukammal sorah ki tilawat karay.sorah e zuha(sorah#93) or sorah e alam nashrah(sorah#94) ki sortain or isi terah sorah e feel(sorah#105) or sorah e quraish(sorah#106) ehtiyaat ki bina par namaz main aik sorat shumaar hoti hay.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# ). 2- Namaz main quran majeed se sorah daikh ker perhna makhrooh hay .or agar aap ko sorah yaad nahi hay tu on ko daikh ker perh lain.(Ref:A.Sistani(d.b),Tauzee hul masa,il, maslah# 1144)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3317
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 1. Agha Sb mujhay zara ye bataye kay Fajar, Magrib and Aisha ki 1 & 2nd rakat tez awaz may perni chahy and baqi slow awaz may. Kaha per is ka zikar hay and ku is tarah perni chahye.

Answer: 1) Mard aur aurat par ehtiyaat ki bina par wajib hay k namaz e zohar aur asr may al-hamd aur surah aahista awaaz se parhay. (Ref : Tauzeeh e ul Masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 979) 2) Mard aur aurat par ehtiyaat ki bina par wajib hay k namaz ki teesri or chothi rakat main Al-hamd ya tasbihaat e arba,ah aahista awaaz se parhay. (Ref : Tauzeeh e ul Masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 994) 3)mustahab hay k namaz e zohar aur asr ki pehli or dosri rakato main bismilaah buland awaaz se kahain.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah#1004 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4237
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya nimaz k har raakat main mukhtalif surah parhnay ka hukm hai ya hum har rakaat main surah ikhlaas parh saktay hain??

Answer: 1-Mustahab ye hay k tamam namazo ki pehli rakat main “sorah e qadr” or dosri rakat main “sorah e ikhlas” perhay. 2-jo sorah insan pehli rakat main perhay osi ka dosri rakat main pehna makhrooh hay. Laikin agar sorah e ikhlas dono rakato main perhay tu makhrooh nahi hay. Ref : TauzeehulMasailAyatullah Sistani d.b. masla #1005,1008 ).

Id: 4651
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam - Sir mera sawal ye h ki Namaz e Subha aur Magrib, Isha mai Sure taiz awaz se aur zohar, asar mai ahista kyon pade jate h ? khuda hafiz.

Answer: Aksar akhkaam e sher,e ki sabab or illatain(reasons) or shriyat k bananay walay(yani khuda) ki nazar main qabil e aytebaar maslihat hum logo se poshida hay, or hamari aqlain on ko samajhnay se aajiz hain. Or wajib ye hay k illat or wajah per nazr kiay baghair wazeh hadees ki pairwi(following) karain.(Ref: Lumah#6,kitaab e meraas,nashir maktab e naveed e islam, pg#472). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 4765
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: 4 rakat namaz ya 3 rakat namaz mein pehli 2 rakat namaz k kyam or akhr rakato k kyam mein parhnay ka kch farak hta ha?

Answer: Zaroori hai k insan wajib namazoo ki pehli aur doosri rakat mai pehlay al-hamd aur phir kisi aik surah ki tilawat karay. Aur namaz ki teesri aur choti rakat aik dafa ah-hamd ya aik dafa tasbeehat e arbea parhi ja sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 965-92)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 4953
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aoa...namaz me halat e qayam me al hamd o sura k bad durood parh sakte hen??

Answer: Gee han parh sakte hen, is liye k durood ek qism kin dua k alfaz hen namaz men quran parhne or dua krne men koi harj nahi hia. .( Ref : Ayat-ui-Allah Sistani, Tozih Masaail, Edition#1433, Masalah#1122)(khuda apki tofiqat men izafa frmaye)

Id: 5278
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Namaz mai khabi kabar qirat k doran kisi lafz ki sahi adaigi k lie os lafz ko 2 sai 3 bar takrar krnay k baray mai kia hokum hai? kia is surat mai namaz sahi hai?

Answer: Jee han, Namaz sahi hai. (Ref : Mujtahid se pochay gaey sawalaat, part # 4, sawaal # 54,pg # 39)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 5384
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam . main ye pochna chahta ho ki 5 waqat ki nimazo main kon konsi rakato main surat parna chaheye ao konsi main nahe parna chaheye

Answer: Zarori hai k insan rozana ki wajib namazo ki pehli aur dusri rakat main pehlay surah e al-hamd aur phir kisi aik surah ki tilawat karay aur ehtiyaat e wajib ye hay k aik mukammal surah ki tilawat karay .surah e waz-zuha aur surah e alam-nashrah isi terha surah e feel aur surah e qureesh ehtiyaat e wajib ki bina par namaz mai aik surah shumaar hoti hain. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #965). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Id: 5782
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya Quran ko mobile me rakhna theek hy mobile to hm bathroom b lekr jaty hain plz btaiay.or ye b btaiay k online quran parhty huay wazoo ka hona lazim hy.

Answer: 1-Gee haan Quran mobile main rakhna theek haiy aur usay bathroom main lejana bhi jaiz hai.(Ref: Email rcvd from A.sistani d.b) 2-Quran parhtay waqt wuzu say hona lazmi nahi hay. (Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #321). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!