Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 10736
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salaam agar biwi ne devar ke saath razamandi se Ek ya jyada bar sex kar liya aur souhar ko pata lag jaye aur gusse me kisi ke saath sex karle badla lene ka soch ke to kya aisa karna sahi hai ya talaaQ de Dena sahi hoga

Answer: Biwi ne zina kar k gunah e kabeera ka irtekaab kia lekin is ka hargiz matlab ye nahi k shohar bhi gunah e kaabera ka intikhaab karay han talaaq shohar ka huq hai agar wo chahay tou dai sakta hai ya phir maaf kar sakta hay lekin kisi gunah ko anjaam nahi dai sakta.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani editon 41 maslah no 2346) [Updated on 16-Sep-2019 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 10786
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya shohar apni biwi ko kisi gair mard sy zina krny ki ijazat dy skta ??

Answer: Zina karna or bivi zina kare or shohar khasmoosh rahe or bivi ko mana nah kare tu ye gunah e kabira hay. (Ref: Ayatullah sistani d.b, Minhajus saliheen, part#1, maslah#30) Update on dated 15-10-19. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 11170
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Qaala se sex ki baatein karna aur Qaala ke sath sex karne ke baad kiya unki beti se nikah karsakre hai ya nahi clearly bataye..

Answer: Agar insan khala ki larki se shadi pehle nauzubillah khala se zina kare to phir woh uski larki se shadi nai kar sakta aur ahtiyat e wajib ki bina par phuppi ki larki ke bare me bhi yehi hukum hai. (Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie, Edition# 7, Maslah # 2403). [Updated on 17-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11171
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Mai apni qaala ki beti se nikah karne wala hu aur mai apne qaala se sex ki baatein karta hu kiya mai qaala se sex ki batein karne se unki se nikah jaiz hai ya nahi.

Answer: agar insan khala ki larki se shadi pehle nauzubillah khala se zina kare to phir woh uski larki se shadi nai kar sakta aur ahtiyat e wajib ki bina par phuppi ki larki ke bare me bhi yehi hukum hai. (Ref : Aayat-ul-Allah Sayyid Abul Qasim e Khoie, Edition# 7, Maslah # 2403). [Updated on 17-Jun-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11225
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Zina jis main lardki ki marzi shamil na ho zaberdasti kia gaya,ho kia,zina kehlata ha?

Answer: Jee zabardasti zina karne ko bhi zina kaha jata hay or is sorat main zani ko is aurat ko mahr e misl bhi ada karna wajib hota hay. (Ref: https://www.sistani.org/persian/qa/0930/) [Updated on 06-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11260
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aoa. Agr ksi kanwari lrki sy zina hojye. R wo toba krly to kia wo ksi r mard sy nikkah kr skti hai kia wo nikkah jaiz hai?

Answer: Agar koi shaks kisi aise aurat se zina kare jo be shohar ho magar iddat me na ho to ahtiyat e wajib ki bina par toba karne se pehle usse shadi nahi kar sakta. lekin agar zani ke ilawa koi dosra shaks us aurat ke toba karne se pehle us ke sath shadi karna chahe to koi ishkal nahi hai, magar us surat me keh woh aurat zinakar mashoor ho to ahtiyat e wajib ki bina par us aurat ke toba karne se pehle us ke sath shadi karna jaiz nahi hai. isi tarah koi mard zina kar mashoor ho to toba karne se pehle us ke sath shadi karna jaiz nahi hai aur ahtiyat e mustahab yeh hai keh agar koi shaks zina kar aurat se jis se khud us ne ya kisi doosre ne zina kiya ho shadi karna chahe to haiz ane tk intizar kare aur haiz ane ke baad us ke sath shaadi kar le. (Aayat-ul-Allah Sayyid Ali Hussaini Seestani, Tauzeeh ul masail, Masla no 2418). [Updated on 22-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11530
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agr hony wali saas k saath Zina ho jy to uska kufara Kya ha

Answer: Agar koe shaks apni phopho ya khala k alawa kisi or aurat se zina kare tu ehtiyaat e mustahab ye hay keh os ki bati se shadi nah kare.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, edition#42, maslah#2361). Note: Zina ka kaffara tauba hay. [Updated on 25-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11583
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya zina k bad sachy dill s mafi mang li jay to us k lye mafi hy?

Answer: Sab gunah maaf ho saktay hain, Aap sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gi.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.aap koshish karain k aap khud ko dosri mufeed kaamo main masroof ker lain jaisay khail, perhae waghaira waghaira or har os cheez se perhaiz karain jo aap ko in kaamo ki janib ubhaaray. (E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). [Updated on 28-Jan-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11627
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Aslamu alaikum mera sawal yeh hai k agr kisi larki k sath sex krny sy larki pregnant ho jay bad main nikah kar k bacha halal hai ya nai

Answer: 1) Zina karna haram hai aur is k zariay jo aulad ho gi wo haram zada ho gi. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 29) 2) Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 36th edition,maslah #2364) [Updated on 19-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 11779
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asslam o wale kum janaab Muze ranz bahot ho ta hai na to mai jinna kar ta hu na to sarab. Pita hu help me plz

Answer: Was Salam. 1) Zina gunahan e kabeera mai sai aik gunah hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#1,Edition#2009,Mafhoom e Maslah #30) 2) Sharab pina haram hai aur baaz hadees mai osay gunah e kabeera bataya gya hai.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2596) 3) Sab gunah maaf ho saktay hain, Aap sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah ko phir kabhi anjaam nahi dain gen.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.aap koshish karain k aap khud ko dosri mufeed kaamo main masroof ker lain jaisay khail, perhae waghaira waghaira or har os cheez se perhaiz karain jo aap ko in kaamo (gunahon) ki janib ubhaaray. (E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010) [Updated on 24-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!