Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 12511
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ASALAM O ALAQUM SIR AP SAY POCHANA YA THA K MARA AIK JANNAY WALA HAI OS NAY SAWAL KEYA THAA K AGAR KOI BAAP NASHAY K HALAT MAY HO OR WO APNI BATE K SATH APNA AZOO TOUCH KAR K RELEZE HO JAYA OR BAAD MAY TOBA KAR LAYA THEN PLZZZZ REPLY

Answer: wsalam. ye amal (mehram k jism ko lazzat k iraaday sai dekhna ya choona) gunahan e kabera mai sai hai.(Ref:Tauzeeh ul masail ayatullah seestani edition 41 maslah no 2401) lehaaza aap par laazim hai k tauba karein or tauba ka sahi mafhoom ye hai k sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gi.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). [Updated on 14-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12745
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar kisi orat k sath hambistari ho jai to kaya aus orat ki beti k sath nikha jaiz ha?

Answer: Agar koe shaks apni phophi ya khala k alawa kisi or aurat se zina kare tu ehtiyaat e mustahab( Yani behter hay lain ye wajib nahe hay ) keh oski baiti k sath shadi nah kare, agarche shadi karna jaiz hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 41th edition, maslah #2361). [Updated on 25-Oct-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 12857
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Asalam eik dost ne apni sagi beti ke saath zina kia hay tu kia biwi se nikah khtam ho giya hay

Answer: 1) Zina karna gunah e kabira hai or mahaarim k saath zina karna ziada bara gunah hai lekin is sai aap ka apni zojaa k saath nikah baatil nahi hoga.(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30 , Eidition 1439 hij). 2) Zina ka kuffara sache dil se toba karna hai lehaza Hazrat Rasool Allah se marvi hadees ke mutabiq Sura e Tahreem (sura no 66) ki tilawat karte howe Allah Taala ki baarga main toba kijye.(Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37). 3.tauba ka sahi mafhom ye hai k sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gi.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). [Updated on 15-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12858
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Saagi beti se zaina kar ne ke baad baap beti ka rishta rahe ga yeha nahi aur biwi se rishta rahe ga yahe nahi tafsial se Jawab batiye ga eik dost ka sawal hay thanks

Answer: 1) Zina karna gunah e kabira hay or mahaarim sai zina karna ziada bara gunah hai lekin is sai rishtay par koi farq nahi parta or aap ka nikah bhi baatil nahi hoga lekin aap par tauba laazim hai(Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30 , Eidition 1439 hij). 2) Zina ka kuffara sache dil se toba karna hai lehaza Hazrat Rasool Allah se marvi hadees ke mutabiq Sura e Tahreem (sura no 66) ki tilawat karte howe Allah Taala ki baarga main toba kijye.(Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37). 3.tauba ka sahi mafhom ye hai k sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gi.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). [Updated on 15-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12860
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ek ladki sae sachi mohabbat ki haye phir uskae saath zinah karliya nikah sae pahle phir baadmae usi ladki sae nikah karliya kya hamarey gunah maaf hojayinge aur hamari taubah qubool hojayegi??

Answer: 1) Zina karna gunah e kabira hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30 , Eidition 1439 hij). 2) Zina ka kuffara sache dil se toba karna hai lehaza Hazrat Rasool Allah se marvi hadees ke mutabiq Sura e Tahreem (sura no 66) ki tilawat karte howe Allah Taala ki baarga main toba kijye.(Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 37). 3.tauba ka sahi mafhom ye hai k sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gi.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). [Updated on 15-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12921
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam u alikum mujy ye jana ha ke agr koi husband apni bwi ko kisi or ke pas bejy us se ghlt kam krwaye to kya us ka nikkah toot jta ha ya ni

Answer: Nikah baatil nahi hoga. Lekin ye gunah e kabeera hai is ki tauba laazim hai.(Ref:Minhaj us saliheen ayatullah seestani volume 1 maslah no 30). [Updated on 19-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12956
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Ager kisi ladki ke saath jabardasti jina ho jaye to kya wo ladki bhi gunehgaar hogi

Answer: Zina karna haraam or gunahan e kabeera mai sai hai. Zina bil jabr (jabardasti jina) main aurat ka koe qusoor nahi hota is liye wo gunahgar nahin hoti. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 30) [Updated on 09-May-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 12960
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Larky k sath sex krny wali ki wife pak daman ho gi ya ni

Answer: Zina haram hai. aur na mehram sai jinsi lazzat hasil krna bagair jima k zina nhi hai magar haram hai. (Ref : Kitab Nigah aur libas pg # 70, masla # 109) )Agar shohar daar aurat zina kray to ehtiyat e wajib ki bina par wo zani par hamisha k lie haram ho jati hai laikin sohar par haram nhi hoti hai aur agar toba aur istegfar na karay aur apnay amal par baqi rahay (yani zina kari trk na karay) to behtr ye hai is ka sohar isay talaq day dai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail,33rd Edition,maslah #2367) note: jo aurat kise ke sath zina kare tu wo pak daman nahe rehte. [Updated on 30-Apr-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13094
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam.o.Alaikum. Kaya Christian girl k sath hambistiri kr leni chahye .

Answer: Jee nahin jaiz nahin hai aur zina kehlay, zina karna haram or gunahan e kabeera mai sai hai. Aur Shohar aur biwi k ilawa kisi aur tariqe se jinsi lazzat hasil karna jaiz nahi hai.(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. Part #1 masla # 30) [Updated on 05-Oct-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Id: 13107
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Majboori me zina ho skta ha yani kisii ki jan bachaney k liye?

Answer: Zina karna gunah e kabira hay. Laikin agar majboor kar k zabardasti zina karwaya jae to jis ko majboor kia gaya ho wo ghunahgar nahi ho ga.(Ref: Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30). (Note: Majboor karnay sai murad ye hai us nai zinakar ko roknay ki bharpoor koshish ki ho laikin zinakar shakhs nai zabardisti os sai zinah kar dia ho maslan be-hosh kar dia ya mar dalnay ki dhamki di ho. aur ye majboori apni jan ke silsilay me to chalay gi ke apni jan bachaye jaaye, laikin kisi aur ki jan ke silsilay me nahin chalay gi.) [Updated on 02-Mar-2022:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!