Question: Sir mera sawal hai ladki agar shadi k phele pregnant hojati hai to shadi kitne time main kardeni chaiye
Answer: 1) Zina karna haram hai aur is k zariay jo aulad ho gi wo haram zada ho gi. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 30). 2) Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is (aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 36th edition,maslah #2364) [Updated on 26-Feb-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Nabi ne (hadees me) zina ki kya saza bataye gaye hai??
Answer: 1) Islam baqi asmani adian ki terah iffat aur pakisgi ki hifazat ka alambardar hai. Allah nai quran mai zina ki muzammat krtay huay surah bani israil surah # 17 ki ayat # 32 mai kaha hai k tum zina k qareeb mat jao yaqeenan wo qabil e nafrat burai aur bura rasta hai. 2) Is k alawa hadees mai bhi is gunah ki bohat muzammat ki gae hai, Hazrat imam Jaffar e Sadiq a.s. farmatay hain k “zina krnay walay k lie 6 qism ki saza hain 3 dunya ki aur 3 aakhirat ki. Dunya ki sazain: 1) Zina sai chehray ka noor khatm ho jata hai 2) zina sai faqr o iflas ata hai 3) zina sai mout jaldi ati hai. Aakhirat ki sazain: 1) Zina sai Allah naraz hota hai 2) zina hisab ki sakhti ka sabab banta hai 3) zina hamisha ki dozakh ka sabab hai. mazeed farmaya k qayamat k din sab sai ziada azab mai wo shakhs ho ga jis nai apna nutfa haram rehm mai dala ho ga yani zina kia ho ga.” (Ref : Moharammat e Islam pg # 318-19) [Updated on 12-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Girl ki mrzi sy zina jyez ha kia
Answer: Zina karna haram hai aur is k zariay jo aulad ho gi wo haram zada ho gi. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 30). [Updated on 10-Mar-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Kia babhi say zina karna Bhi ، narmal zina kay pehlo main ata hai kay is pay diffrent islami law logo hotay hain
Answer: Jee han bhabi ke sath zina kiya ho ya kisi aur ke sath dono zina hi shumar hote hain, Aur Zina karna gunah e kabira hay.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30). [Updated on 04-Aug-2023:: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Without marriage Ager pregnancy ho jaye to kya karna chaheye
Answer: 1-Qrare nutfa k bad isqate hamal (abortion) jaiz nahi hai, mgr ye k khoaf ho k hamal ka baqi rakhna orat ki zindagi k liye nuqsanda hai, ya na-qabile brdasht harj ka bais ho to agr hamal men agr jaan na pari ho to isqaat (obartion) jaiz hai, lekin hamal men jan parne k bad bachhe ko zaya krna hargiz jaiz nahi hai.(Albatta hamal ki condition ko janne k liye doctor ki taraf ruju kren) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, 31th Edition maslah # 487). 2-Agar koe shaks aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per wo shaks is(aurat) k tauba karne se pehle is se shadi nahi kar sakta. Laikin zani k alawa koe doosra shaks(is aurat k) tauba karne se pehle os k sath shadi karna chahay tu koe ishkaal nahi hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail, 41th edition, maslah #2364). Update on dated 16-04-19. [Updated on 28-Apr-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Apni Biwi ke kahne par kisi bewah se zina karna kaisa hai
Answer: zina karna haraam or gunahan e kabeera mai sai hai aap ko parwardigaar e aalam k hukm k tameel karni hai na k apni zoja ki.(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 30). [Updated on 03-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar Meri biwi yeh kahe ki meri saheli bewah hai uska tention kam karne ke liye usse zina karo to kya hukma hai
Answer: zina karna haraam or gunahan e kabeera mai sai hai aap ko parwardigaar e aalam k hukm k tameel karni hai na k apni zoja ki.(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 30). [Updated on 03-Sep-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agar Meri biwi yeh kahe ki meri saheli bewah hai uska tention kam karne ke liye usse zina karo to kya hukma hai
Answer: zina karna haraam or gunahan e kabeera mai sai hai aap ko parwardigaar e aalam k hukm k tameel karni hai na k apni zoja ki.(Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 30). [Updated on 27-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: I am married and I have committed Zina with an unmarried girl. I want to understand that as per islam what is the punishment now.? I have strong will to not do it again for rest of my life.
Answer: 1)Zina ko gunah e kabeera mai shumar kia gya hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # masla # 29) 2)Sachay dil se toba karain. Parverdigar ne quran majeed me wada ia he k wo toba karney waloo ki toba ko qabool karta he. Aisa hargis nahi ho sakhta k wo apne waday per amal na karey. (ref : website ayatullaha sistani d.b. http://sistani.org/index.php?p=827020&id=864 ) 3)Sub se pehlay shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-farmani ker rahay hain.aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perha,e waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon tab aap k liay zarori hay k shadi karain. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), [Updated on 27-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asamulalikum sir, agar virginity na tut ho aur ladke ke sharamgha ko ladki ne muh may liya ho ey zina hi kya plz sir answer me
Answer: Na mehram k sath jinsi lams (begair intercourse k) zina nahi hai laikin haram hai. Is liay tauba karain. (Ref : kitab nigah aur libas masla # 109, pg # 70) [Updated on 25-Aug-2020 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]