Question: Aslam Alaikum Sir kon see majboori ke mutabi ourat per zina jaiz he? Plz detail me btain or samjhaen
Answer: Jee nahi, zina jaiz nahi hai. Q k zina (sex) haram aur gunah e kabeera hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 1 masla # 30) [Updated on 08-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Aik bandy ny puchwaya ha kia behn k sath sex krny sy ma bap ka rishta tut jata hai
Answer: Agarche zina haram aur gunahan e kabeera mai sai hai. aur is ki wajah se tauba karna lazim hai. lekin zina wajah se koi shakhs apne maan baap ke rishte se nikal nahin jata. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part #1, Eidition 1439 hij, Mafhoom e Maslah #30). [Updated on 13-Jan-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr koi ladka zinaakari me mubtela ho, to use is galat adat se bachane k liye kya wazifa ya dua h??
Answer: Zina karna gunah e kabira hai. Gunah se bachne or jinsi taskeen ka sharei halaal rasta shadi karna hay. (Ref: www.sistani.org topic istimna). [Updated on 03-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: larka jawan ghar me ho shehwat bardasht na ho kia maa se hambestre kar sagta he
Answer: Jee nahin, ye kaam haram aur gunah e kabira hai. Aur is gunah se bachne ka sharaei rasta ye hai ke shadi kar li jaye Q ke Jo shakhs shadi na karne ki waja se fail e haraam me mubtela hota ho (Jaise zina, istimna wagera...) to us per shadi karna wajib hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeeh ul masail, edition #42, maslah #2407) [Updated on 09-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: AGAR SHADI SHUDA AURAT SAY ZINA HO JAEY TO KIYA US KA SHOHAR USKO MAF KAR K APNY SATH RAKH SAKTA HA AGR AURAT APNY KIYE PAR SHARMINDA HO AUR SHOHAR SAY MAFI MANG KAR 1 MOKA MANG RAHI HO TO SHOHAR KIYA USAY MAF KAR K WAPIS APNY SATH RAKH SAKTA HA ?
Answer: Zina aik gunah e kabeera hai lehaaza lazim hai k zina karne wale khuda sai tauba karain. Agar shadi shuda aurat zina karay to ehtiyat e wajib ki bina par wo zaani (zina kernay walay shakhs) par hamesha ke liye haram ho jati hai Yani wo aurat phir khabi bhi zaani (zina kernay walay shakhs) sai nikah nahi kar sakti hai. Laikin shohar per haram nahi hogi. lehaza dono mian biwi aik sath reh sakte hain aur aik sath zindgi guzar sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail edition #42, maslah #2367). [Updated on 09-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Agr shohar mardana kamzori ka shekar ho elaj na karwye aur bv ki hajat b pori na Kary 6 saal guzar geye hon bv akhir kaar tang aa kar zinq kar lay iska gunah shohar k sir higa ????
Answer: Zina aik gunah e kabeera hai lehaaza lazim hai k zina karne wale khuda sai tauba karain. Agar shadi shuda aurat zina karay to ehtiyat e wajib ki bina par wo zaani (zina kernay walay shakhs) par hamesha ke liye haram ho jati hai Yani wo aurat phir khabi bhi zaani (zina kernay walay shakhs) sai nikah nahi kar sakti hai. Laikin shohar per haram nahi hogi. lehaza dono mian biwi aik sath reh sakte hain aur aik sath zindgi guzar sakte hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail edition #42, maslah #2367). (Note: Jee nahin ye gunah shohar ke zimme nahin hoga bakle aap ke zimme hoga aur aap apne shohar ko is Medicine ka bolen aur wo ye Medicine istimal kare inshallah is se faaida milega. (Damiana Pentarkan Germany ki homeopathic medicine hay or is k koe side effect nahi hain. aur tamaam jinsi amraaz se nijaat hasil karne k liay Mektum homeo Phrama k medicine T49 istemal kare. ye medicine bhi bohot mufeed hay.(Ref: http://www.hmlinks.com/mektum/product.php). [Updated on 18-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Assalam O Alaikum! Hazoor agr kisi larky se zina ho jaye to us k haq me kia behtr hy k woh usi larki se nikkah kry ya kisi or se..
Answer: 1: Zina karna haram aur gunahan e kabeera mai sai aik hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaajus Saliheen, Part #1, Eidition 1439 hij, Maslah #30). 2: Agar koe shaks aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho tu ehtiyaat e wajib ki bina per zaani (zina karne wala shakhs) us aurat k tauba karne se pehle us se shadi nahi kar sakta. han larki k taubah k baad usi larki se nikah kia ja sakta hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Tauzeehul masail, edition #42, maslah #2364 [Updated on 20-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: ماں کے ساتھ زنا کرنا
Answer: Zina haram aur gunahan e kabeera mai sai aik hai. chahe maan ke sath kiya jaye ya kisi aur ke sath. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaajus Saliheen, Part #1, Eidition 1439 hij, Maslah #30). [Updated on 20-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Asalam u Alaikum sir, agr kisi ke abbu beemar hon or unki ami ger mard ke sath sex karti tw kiya unka beta apni maa ko iss kam rokne ke liye khud humbistari karskta hai?
Answer: Kisi bhi Aurat ka apne shohar k alawa kisi se jismani talluq rakhna gunah e kabira hay. Biwi ke zina karne se wo apne shohar per haram nahin ho jati or agar tauba o istighfar nah kare or apne amal per baqi rahe (yani zinakaari tark nah kare) tu behtar ye hay k shohar osay talaq day day laikin shohar ko chahiay keh os ka meher day day. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus saliheen part #1, edition #1439, maslah #30) + (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail edition #42, maslah #2367) (Note: Shohar ke elawa Kisi se bhi is tarh ka kam karna chahe wo beta ho ya koi aur ye haram aur gunah e kabira hai. aur bete ke liye bhi aisa karna haram aur gunah e kabira hoga, aur bete ke liye amar bil maroof aur nahi anil mukar ke tahat ye kam bhi wajib hai ke apni walida ko is gunah se roke ). [Updated on 19-Feb-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]
Question: Mami sy zinha ho gya hai Allah maaf kaisay karay ga toba jaiz hai kafara kro ya kuch aur
Answer: 1-Zina karna haram aur gunahan e kabeera mai sai aik hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b), Minhaajus Saliheen, Part #1, Eidition 1439 hij, Maslah #30). 2-Zina ka kaffara nahi hai lekin tauba laazim hai. 3-Sache dil se tauba karen aur Tauba ka sahi mafhoom ye hai k sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gi. or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010) [Updated on 09-Mar-2021 :: Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey]