Question: musht zani ki magferat k liyea kia krna chahiyea ? mery aek aziz is masly ka shikar hain guzehsta kuch mahino sy, or chor nae pa rhy .
Answer: 1)Istimna (hand practice/ masturbation) karna gunah e azeem hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30 , Eidition 1430 hij). 2)sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gay.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.aap koshish karain k aap khud ko dosri mufeed kaamo main masroof ker lain jaisay khail, perhae waghaira waghaira or har os cheez se perhaiz karain jo aap ki jinsi khahish ko ubhaaray.or agar aap khud per qaabo nah rakh saktay hoon tu aap k liay wajib hoga k aap nikah karain.(Ref: Mafhoom e E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). Update on dated 25-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Agar ik unmarried larki fingring krti ha to iske liay usko kya Azaab Dia jay ga ALLAH PAK KI TRAF SY ?
Answer: Aurat k lye apne sharamgha ko itna chaire chaar jaiz nahe k is ki lazat aooj tak pouch jaay aur is ki (mani kharij )hojaay aur agar is se is ki lazat aooj tak pouch jaay aur is ka behne wala mawaad kharij ho jaay to is per ghusal wajib ho gha aur wazu ki jagha ise ghusal per iqtefa karsakte hai .(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 266 masla #506 eidition 5) Jo shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407). Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: asslamulikum: masht zani say ghusal karna hay ya nahi.
Answer: 1)Mushtzani kerna gunah e kabira hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1 , Maslah #30, eidition # 1st ). 2)Agar musht zani k natijaey main mani kharij ho tu namaz or is jaisi deegar ibdaat k liay ghusl e janabat kerna zarori hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #356). Update on dated 15-03-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: assalamualaikum, mujhe fajr baad biwi k sath ham bistri karne ki hajat hui but biwi ne mana kardiya aur mujhe pata nhi tha main bathroom m ja kar sperm gira diya. ab iska kya solution hai.jazakallahkhair.
Answer: 1)Istimna karna (kise tariqe se mani kharij) karna ghuna kabira hai. Aap Allah k hozoor sachay dil se tauba karain. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009). 2)Ramzan main din k waqt istimna kerne se kaffara lazmin aa jata hay, yani 60 alag alag faqiro ko 3 pao aata ya khana waghaira daina ya 60 roze rakhna waghaira. Or ramzan k baad roze ki qaza bhi daina hogi. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1632). Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sir Assalam-o-Allikum mera sawal ye hai ke muth ko chornay ka kya tarika hai? or mani wapis poori karnay ka koi tarika bataiye plzzzz
Answer: Istimna karna (kise tariqe se mani kharij) karna ghuna kabira hai. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009 ) Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib hai k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) Jis insaan se ghuna hoya ho wo Sub se pehlay shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day ker wo shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani ker rahay hain.wo koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perhai waghaira, or har os cheez se bachain jo us ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar wo khud par qabo nah paa saktay hoon to roza rakhain q k roza ghunahoo k muqabilay mai dhal ka kaam karta hai. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010). Hazrat Rasool e Khuda irshad farmatay hain k: Jo shakhs surah e talaq surah no 65 ki tilawat karay ga Khuda os ki toba qabool karay ga jis mai ghunnah ki taraf dubara lotna na ho ga. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 371). Update on dated 13-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: - Kia is se roza toot jata hai ke mustht zani karle koi aur usey is baat ka ilm na ho ke is se roza toot jata hai?
Answer: Istimna karna (kise tariqe se mani kharij) karna ghuna kabira hai. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009 ) Roze ki halat me mani kharij karne se roza batil ho jata hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1569 ) Agar kise ko pukhta yaqeen ho k istimna karne se is ka roza batil nahe ho ga to is per kaffara wajib nahe hai . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1630, 1631). Update on dated 16-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mene handpractise ki aur soogya aur meri ankh nae khuli sehri se phle k me gusaal kru aur pak halaat me ajao. To ab kya me roza rkhne ki halaat me hu ya roza qabool nae hoga?
Answer: Istimna karna (kise tariqe se mani kharij) karna ghuna kabira hai. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009 ). jo shaks ramzaan ki raat me junub(yani us per ghusal janabat wajib ) ho jaay to us ko waqt namaaz fajar se phele ghusal janabat karlena zarori hai take dosere din ka roza rakha ja sake aur agar junub ( yani wo shaks jis per ghusal janabat waajib ho ) jaan boujh kar ghusal (janabat ) na kare ya jis shaks ka fareeza tayammum ho jaan boujh kar tayammum na kare to zarori hai k is din ka roza pura kare aur phir aik din aur roza rakhe aur chunke ye moiyan nahi hai k ye dosera roza qaza hai ya saza , lehaza ramzaan ka is din ka roza bhi mafizzimma ki niyat se rakhe aur ramzaan k baad bhi jis din roza rakhe aur us me qaza ki niyat na kare. ramzaan k roze ko jaan bough kar janabat ki halat me baqi rakhne ki waja se qaza k ilawa kaffara k tour per zarori hai k 2 mahene roze rakhe ya har roze k badle 60 faqeero me se har aik faqeer ko 750 gm gandum waghaira diya jaay . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail edition:2015, maslah # 1591,1569,1632,1633), (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat roza, ques # 112,113, pg # 59). Update on dated 19-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Shitan ke galab a jana se hand practice ki tu roza tut ta he
Answer: Istimna karna (kise tariqe se mani kharij) karna ghuna kabira hai. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009 ) Roze ki halat me mani kharij karne se roza batil ho jata hai. Ramzaan k roze ko jaan bough kar tourne ka qaza k ilawa kaffara k tour per zarori hai k 2 mahene roze rakhe ya har roze k badle 60 faqeero me se har aik faqeer ko 750 gm gandum waghaira diya jaay . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail edition:2015, maslah #1569,1632,1633), (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat roza, ques # 112,113, pg # 59) . Update on dated 16-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Assalam o alaikum sir mera sawal ye hai kya aik do baar masturbation ki ja sakti hai jab bohat zyada hawas ho toh
Answer: Jaiz nahi hay or masturbation gunah e kabira hay.(Ref :Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30). Update on dated 28-05-17. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia me bath me mushtzani kr k sirf istinja kr k namaz parh sukta hun.
Answer: Jee nahi, bal keh ghusl e janabat bhi kerna perhe ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #356). Istimna karna (kise tariqe se mani kharij) karna ghuna kabira hai. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009 ). Update on dated 14-10-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).