Question: salam, me apni wife se 15,000 mils away hun, taqreeban 6 months ho gae hain kya hum mastrubation karsakte hain via phone or skype. because agey one more year tak mulaqat ka kuch pata nahi. please reply soon
Answer: Istimna(kise tariqe se mani kharij) karna haram hai..(ref. jaded fiqi masail aqa sistani pg no. 253 masla #462) Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) . (ref : website ayatullaha sistani d.b. ques # 1 , toba). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
Question: Hath sa apna penis ko hila kar lazat dur kiya ja sakta hai
Answer: Jaiz nahi hai or Haram bhi hai. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).
Question: Agar mn na kise ka liya kasam khaiye ha ka ainda ka baad us ka liya ma gandi cheezan dakhun ga aur na money kharij karun ga aur mn naaa kise larki ko dekh kar apne money kharij kar de to kia kasam Tota ge ki
Answer: istimna karna (kise tariqe se mani kharij) karna ghuna kabira hai.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009 , Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553 ) Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) Qasam khanay ki shriat hain jo ye hain,( jin ki agar reaayat na ki jaay to qasam sahe nahe hai aur kaffaara bhi waajib nahe hogha ) 1 – qasam khanay wala baligh aur aaqil ho aur apnay ikhtiar sai qasam khae lehaza us shakhs ka qasam khana jisay mujboor kia gya ho durust nahi hai. 2 – aur qasam khatay waqt Allah ka nam lena bhi zaroori hota hai. Aur Quran ki aur kisi ki jaan ki qasam nhi hoti hai. 3 – qasam k alfaz zaban par lana zaroori hain. 4 – qasam per amal karna mokin ho. 5 – jis kaam ke anjaam dene ki qasam khaae zarori hai ke wo haraam ya makrooh na ho, or jis kaam ke tark karne ki qasam khaae zarori hai ke wo wajib ya mustahab na ho, or ager koi mubaah kaam karne ya na karne ki qasam khaae to ager uqalaa ki nazar main is kaam ko anjaam dena ya is ko tark karna behter ho ya is kaam main qasam khaane wale ke liye koi dunyaawi maslehat ho to is ki qasam sahi hai (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2634 , ) Agar qasam tamam shriat k sath khai jae to agar baad mai jan boojh kar is qasam k khilaf amal kray to wo gunahgar hai aur zaroori hai k kaffara dai. Yani 10 faqeero ko pait bhar kar khana khelaye ya inhe poshaak pinahe aur agar in amaal ko baja na la sakta ho to zarore hai k 3 din musalsal roze rakhe . Lakin agar qasam khanay walay k lie qasam khatay waqt amal krna mumkin ho aur baad mai is par amal krnay sai aajiz ho jae to jis waqt sai aajiz ho ga is waqt sai is ki qasam khatm ho jae gi.ya qasam par amal krnay sai itni mushaqat uthani pray jo is ki bardashat sai bahir ho to bhi ye hi hokum hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2633-34) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).
Question: Mohtaram mein musht zani chorna chahta hun , mera jism bhi kafi hadd tak kamzor hai , azu e khas ki jarr bhi patli hai , murf chuka hai , ab aap hi rehnumai farmaen
Answer: Istimna karna (kise tariqe se mani kharij) karna ghuna kabira hai.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009 , Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1553 ) Jo shaks shadi na hone ki waja se fale haraam me mubtela hota ho is per wajib ha k shadi kar le.(Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) Jis insaan se ghuna hoya ho wo Sub se pehlay shermindagi ka ehsaas karain or Allah se maghfirat talab karain or khud se ehed or wada karain k is gunah ko dobara anjaam nahi dain gay, or hameshah yaad rakhain k Allah aap ko daikh raha hay, or is gunah ko anjaam day ker aap shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na-fermani ker rahay hain.aap koshish karain k khuch mufeed kamo main khud ko masroof ker lain jaisay sport, perhai waghaira, or har os cheez se bachain jo aap ki jinsi khahish ko ubharay ya baydaar karain. Agar aap khud par qabo nah paa saktay hoon to roza rakhain q k roza ghunahoo k muqabilay mai dhal ka kaam karta hai. (E-mail rcvd from A.Sistani(d.b), dated: Sep 27, 2010).
Question: mujh se mashq zani nahi chori ja rahi..
Answer: 1)Istimna (hand practice/ masturbation) karna gunah e azeem hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30 , Eidition 1430 hij). 2)sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gay.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.aap koshish karain k aap khud ko dosri mufeed kaamo main masroof ker lain jaisay khail, perhae waghaira waghaira or har os cheez se perhaiz karain jo aap ki jinsi khahish ko ubhaaray.or agar aap khud per qaabo nah rakh saktay hoon tu aap k liay wajib hoga k aap nikah karain.(Ref: Mafhoom e E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010) . Update on dated 21-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam, mera sawal ha k hand practice k baad ghusool lazmi ha?
Answer: Istimna karna (kise tariqe se mani kharij) karna ghuna kabira hai.(Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009 ) Jee haan, Mani kharij hone se namaz or is jaisi doosri ibadaat k liay ghusl e janabat wajib ho jata hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #344,389). Update on dated 30-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Asslawalekum Mai bahut handjob krta hu.....Aur bahut time se kr rha hu.....Please is ko band kr ne ka tareeka batay. ..
Answer: Istimna (hand practice/ masturbation) karna gunah e azeem hay. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Minhajus saliheen, part#1, maslah #30 , edition 2009). 2)sab se pehlay tu aap ko apnay is gunah per nidamat honi chahiay or Allah se istighfaar or tauba talab kerni chahiay or apnay aap se ehed or wada kerna chahiay k is ghunah e azeem ko phir kabhi anjaam nahi dain gay.or hamaisha yaad rakhain k Allah aap ko har waqt daikh raha hay or aap is gunah ko anjaam day ker shaitan ka hokum maan rahay hain or Allah ki na fermani ker rahay hain.aap koshish karain k aap khud ko dosri mufeed kaamo main masroof ker lain jaisay khail, perhae waghaira waghaira or har os cheez se perhaiz karain jo aap ki jinsi khahish ko ubhaaray.or agar aap khud per qaabo nah rakh saktay hoon tu aap k liay wajib hoga k aap nikah karain.(E-mail Rcvd from A.Sistani(d.b) Sep 27, 2010). Update on dated 24-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salam mera sawal ye hai k aksar nojawn larke mushtzani karte aya dorost hai q k un ki nazar mai zina se bachne se betr hai k mustzani ki jae
Answer: 1)Istimna karna (kise tariqe se mani kharij) karna gunah e kabira hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 30 , Eidition 1430 hij). Update on dated 24-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 2)Jo shaks shadi nah hone ki waja se haram kaam me mubtila hota ho tu is per wajib hay k shadi kar le. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2407). Update on dated –2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera sawal ye hai ke mastrubation ko ek dum chor dene se agay chal kar nuksan tu nahi hoga
Answer: Istimna karna (kise tariqe se mani kharij) karna gunah e kabira hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah # 30 , Eidition 1430 hij). Update on dated 24-04-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Note: Aap is gunah e azeem ko fauran chorh dain.
Question: kya maghrik ke bad yani roza kholne ke bad hastmethun kar skte0he?
Answer: Istimna(hand practice) haram hay or gunah e azeem hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 1, Mafhoom e Maslah #30 , Eidition 1430 hij). Update on dated 22-06-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).