Question: assalam alakum ! dorane sohbat sohar apni biwi ke breast suck kar sakta hai plz tell as per islam
Answer: Shohar biwi ki breast suck(choos) kar sakta hay lekin shohar biwi ki breast ko suck karey aur moohn mai doodh aa jaye, to ehtiyat wajib ye hay k biwi ka doodh nah pia jay(yaani halaq say neechay nah utara jae.) (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). Update on dated 08-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera sawal ya hai ka agar koi marad apni biwi ka sath peechay sa humbistari karay aur kharij hojaya to kiya is sa nikah kharij hojata hai ya agar koi penalty hai to woh kiya hai. Ya iska koi haal.
Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay.Aur is sai nikah batil nhi hota hai). Update on dated 08-12-2015. (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67) (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2335). Update on dated 08-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: main ye janna chahta hoon ki shohar aur biwi ek week me kitni baar hum bistari kar sakte hain jidki wajah se biwi ki sahat yani health tandurust rahe please reply me
Answer: Shariet e islami mai shohar apni jawan biwi sai 4 mahinay say ziyada muddat(time period) k liay hambistari(intercourse) tark nahi karsakta hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2382). Update on dated 08-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: asslam o alaikum my question is Orat ki wo kon c chez hai jo us ka husband nae daikh sakta par puri dunia daikh skti hai.
Answer: Shohar aur biwi aik doosray ka pura badn dekh saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2400). Update on dated 08-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mera swal ye hai ki husband wife ki sex possition kya honi chahiye, kya wo diffrent diffrent style me sex kar skte hai, please tell me in detail
Answer: Jee haan Shohar or Biwi ko is baat ki azadi hay k wo jis terah chahain jima karain). (Ref: E-mail rcvd from a.sistani(d.b)). Update on dated 08-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kia orat se back per sex karny se nikah tot jata ha?
Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. Laikin is sai nikah batil nahi hota hai). (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). Update on dated 08-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: salal alekm keya shor apne bevi ko or bevi apne shor ka sharmgaa choo sakty hai plz reply mee
Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). Update on dated 08-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Islam me apni wife ke pichle hisse me penis dalna sahi hai ya galat matlab biwi ke pichle hisse ke sath sex karna jayaz hai ya nah agar nahi toh iske reason kiya hai
Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay). (Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). Update on dated 08-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: agr biwi shohar ko bin btaye un k jaib sy paise nukale kia yeh gunah hai k nai.chori ki niyat na ho.wese hi zarorat k liye nikal le to kia jayez hain.yeh niyat ho agr us ne pocha to bta dungi.please reply
Answer: Agar shohar nafqa(wajib akhrajat) na de raha ho to aurat k lye apne nafqe ki miqdar nikalna jaiz hai laikin wo aulad ka nafqa shohar ko bataye beghair nahi nikal sakte hai. (Ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 4, ques # 143, pg # 70). Update on dated 08-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kya damiana pentarkan drops india me bhi milega ? Agar nahi to india ke liye koi dawai bataye please ?????
Answer: Ji han ye dawa international hai aur germany mai banti hai jo har mulk mai mil jati hai aap kisi homoeophatic ki shop par rabta karain. Update on dated 08-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).