Question: kia apni wife k sath back side(ass) sy sex kr skty hain
Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay). (Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). Update on dated 08-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: mera sawal aurat ki hath khair o barkat hote hai aaye nahi please jawab 2. agar shugraat kho humbistar na hoye thu vamila jiaz aaye na jiaz please jawab
Answer: Shab e zafaf se pehlay ya bad me valima karna mustahab he. Islam ne 5 maqamaat per valima kerna mustahab qaraar diya hay jin main se aik ye valima bhi hay.valimay se pehlay jima kerna zarori nahi hay. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 4, 388). Update on dated 08-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya biwi shohar ki sharam gah choos sakti hai
Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). Update on dated 08-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Biwi ke sath peche se hambistri kesi hai shariyat ke lihaz se
Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (Ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). Update on dated 08-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Slamun alaikum jnab kya islam m sex ka trika bhi btaya h? Agar btaya h to wazahat kijiye. Kya jayaz h or kya najayaz h bra e karam wazahat kare shukriya
Answer: Bivi k saath jima (intercourse) ka islami tariqa ye hai k jima k waqt mustahab hai k bismillah perhi jaay, or baa wuzu hon khaas taur per jab biwi haamla ho,or jima k waqt jo kaam makrooh hain un main say kuch ye hain 1.soraj or chaand gerhan ka hona,2. zawaal e aaftab ka hona siwaay jumeraat k din k, 3. groob e aaftaab k waqt ka hona, 4.chand ki aakhri 3 raaton main jima kena, 5.fajar k baad soraj nikalnay say pehlay, 6.islami mahinay ki pehli taarikh siway Ramazan ki pehli raat(Chaand raat)main , 7. islami mahinay ki darmiani or aakri taarikh main jima kerna, 8.qiblay ki taraf rukh ya pusht kerna, 9.berhana (naked) halat main jima kerna, 10.ehtilaam k baad baghair wuzu k jima kerna, 11.jima k waqt bivi ki sharamg ko dekhna makrooh hai. (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 ). Update on dated 05-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: sir mera sawal ye he ke ya apne beve ke sat peche se (yane gan)mil na jaez he tapsel beje
Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay). (ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). Update on dated 05-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Salam kia aap mujhe panis enlargement oil ka bata sakte hain k yeh kahan available ha or kis name se ha? Thanks
Answer: Nojawaan jab ghair mutabir afraad ki taraf ruju kertay hain tu wo onhain ghalat mashwara daite hain, maslan merdo main aam taur se yehi baat bayaan ki jati hay k merdo k aala e tanasul (penis) main 3 khososiyaat hona zarori hain: 1- Lamba or seedha ho. (Large & straight), 2- Mota ho. (thick), 3- Sakht ho. (hard). Or aam tabeeb (doctors) bhi yehi taleem merdo ko daite hain laikin jahaan tak uzo e tanasul (penis) ka chota ya lamba hone ka sawaal he, tu osay bas is qadar hona chahiay k Indaam e nihaani (yani sharam gaah) ko mutaharrik ker sakay or sub se ziyada hassaas(sensitive) sharam gaah ka baahar ka hissa hota he. Khaas taur per bazr (Clitoris) or os tak pohanchne k liay chota uzo bhi kafi hota he. Laihaza penis k chote berhe hone se koe faraq nahi perhta, albatta penis ka bohot hi ziyada bera hona takleef ka sabab hota he. Or penis k te,rha(crookedness) hone se bhi koe faraq nahi perhta Q k wo sharam gaah main jane k baad khud hi seedha ho jata he. Penis k mota or patla honay se bhi koe faraq nahi hota, Q k aurat ki sharam gaah k naram or lachak-daar raysho main phailne or sokarhne (Shrinkage) ki salahiyat hoti he. Or itna sakht hona zarori he k aurat ki sharam gaah main asaani k saath dakhil ho sake. Ghalat tabeeb ghalat raey day ker nujawaan nasal ko mayoos ker daite hain. {Laihaza aise tabeebo (doctors) se bacha jaay}). (Ref: Tehqeeqi islami encyclopedia,mu,allif doctor sibt e shabbar zaidi,wakeel e ayatollah muntazari, part#1, pg#110-111 ). Arnica + Lycopodium + Olive.ye oil Penis k massage k liay behter hay laikin massasge bohot ehtiyaat se karain k kaheen mushtzani nah ker baithain. mushtzani(Handprctice) se bachain Q k hay harm hay or mushtzani kisi bhi sorat main jaiz nahi hay. (Ref http:/h/abchomeopathy.com/forum2.php/124370/ + http://sistani.org/index.php?p=616687&id=1213). Update on dated 05-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia husband apne bivi (wife) ka doodh pi sakta hai ya nhi.aur agar nhi to waja kia hai? ya uske brest suck kar sakta hai ke nhi? plz answer
Answer: Sohar biwi ki breast suck(choos) kar sakta hay, laikin agar sohar biwi ki breast ko suck karey aur moo mai doodh aa jaye, to ehtiyaat wajib ye hay k biwi ka doodh nah pia jaay(yaani halaq say neechay nah utara jae). (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org). Update on dated 08-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: aoa, kia mamo ki bewa yani sagi bewa mumani se nikah jaiz he?
Answer: Jee haan mamu ki bewa se iddat e wafaat k baad shadi ki jaskti hai. (Ref:Ayat#ullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2349). Update on dated 05-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kya rozay k halat may garmi say mun say khoon asaqta hay ... ??
Answer: Roze ki halat me mou se khoon aane se roza batil nahe hota laikin mou me jo khoon aaye ise bahar phenk dena chaihe. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1553,1554 ). Update on dated 27-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).