Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 3054
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir mera sawal ye he ki mard apni zoja se 1 hafte me kitne den ham bistari kar sakta he or kon se konse din or ham bistari k foran bad ghusal krna zarori he kia Allah aap ko jazaye kher de (Ameen)

Answer: 1) Shohar apni jawaan biwi sai 4 mahinay sai ziada muddat(time period) k lie hambistari(intercourse) tark nahi kar sakta magar ye k(except) hambistari os k lie nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab(reason) ho ya oski biwi khud 4 mahinay sai ziada muddat k liay hambistari tark karnay par razi ho ya nikah kertay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho). Update on dated 20-11-2015. (tauzeehul masail,ayatollah Seestani,maslah #2382). 2) Shohar ka apni bivi se haiz or nifaas k khoon anae ka dino main hambistari kerna haram hay. Is k alawa baqi dino main jaiz hay. jima(intercourse) karne se namaaz perhne k lie ghusal janabat wajib ) hojata hay). (Ref: sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah#344 , 356). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3055
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: shohar apni biwi ka doodh kyun nhi pi sakta hai

Answer: Ehtiyat wajib ye hay k biwi ka doodh nah piaya jay(yaani halaq say neechay nah utara jaay.). Update on dated 20-11-2015. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org).. Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 3056
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Sir i want to ask that, is anal sex with wife is allowed in islam ? coz some people say its haram.

Answer: Biwi k peechay (back) k maqam(maqam e pakhana) main jimaa(anal sex) krna biwi k raazi na honay ki sorat men ethiyaat-e-wajib ki bina pr haram hai,agr biwi razi ho tu jaiz hay lekin shadeed makrooh hay). Update on dated 20-11-2015. (Ref: Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 3328
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Biwi ke sharmgah me mu lagane se koi gunaah to nahi hai na

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain, magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Albetta is ka koi kafarra nhi hai (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) . Update on dated 12-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 4140
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: mene apni bivi ko piche ki tarf se himbistri ki he aur me ne suna hy k is tarha kerne se nikah toot jata hy plz answer?

Answer: Agar Biwi ki ijazat ho tu us k peechay intercourse kerna jaiz hai laikin shadeed makrooh hai aur agr biwi ijazat nah day tu ehtiyaat e wajib ki bina par jaiz nahi hai). Update on dated 12-12-2015. (Ref : Masail-e-muntakhaba Ayatullah Sistani d.b., masla#70). Update on dated 12-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 4144
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: uzwe khas ko skht k se kya jata h

Answer: 1) jis ka nutfa kam ho ya kamzoor ho os k chahaea k sab se pehlay khuda ki bargah me istegfar karay aur is k bad anday(egg) aur piaz kasrat se khaien. (ref : kitab tib e islam pg # 54) 2)Homoeopathic Medicine damiana pentarkan drops(Made in Germany Dr. willmar schwabe karlsruhe) subah, dopeher, raat 10 qatray aik ghoont pani main daal ker istemaal karain insha allah jald hi tamaam jinsi bimariyan khatam ho jay gi. Update on dated 12-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 4152
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir plz mjhay ya bta da k kia mian bivi aik doosray k samnay bina kapron k aa saktay ha

Answer: Shohar or bivi k lie jaiz hai k wo aik dosray k tamaam jism ko daikh saktay hain,or isi terah aik dosray k jism k tamaam hisso(parts) ko jism k kisi bhi hissay(part) say choo(touch) saktay hain.ye choona chaahay lazzat k iraday say ho ya baghair lazzat k, jaiz hay). (ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaa jus saliheen,maslah #11). Update on dated 08-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 4153
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: As salam o alaikum.. Agar shohar ya biwi mai se koi dosray ko behan ya bhai bol day aur is taraha kahay k kash main tumhari behan hoti ya kash tum meri behan/bhai hotay . nikah per kiya asar paray ga

Answer: Is terah kehnay say nikah nahi toot ta). (Ref: E-mail rcvd by A.sistani d.b.). Update on dated 08-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 4159
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: KYA BIWI OR SOHAR EK DUSRE KE ANG (LING OR YONI) KO COOM SAKTE HAI YA NAHI

Answer: Jee haan choom saktay hain. ( Ref: Ayatullah Sistani(d.b),minhajus saliheen,part#3, maslah #11). Update on dated 08-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 4256
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aslam o alikum sir plz 1 sawal ka jawab janna chahta hun kush log apni bivi k sath yani k pakhanay wali jagha pe kartay hain kia yeh muslim k leyeh jaiz hai ya haram sir bohat meharbani ho gi mail kar dena intazar karon ga sawal k jawab ka

Answer: Biwi k peeche k maqam(maqam-e-pakhana)men hambistari krna biwi k razi na hone ki surat men Ethiyat-e-wajib ki bina per haram hai, agr biwi razi ho to jaiz hai lekin shadeed makrooh hai. (Ref : Ayatullah Seestani(d.b) Al-Masaail-e-Muntakhaba, Maslaa#67). Update on dated 05-12-2015. (Khuda apki tofeeqat men izafa farmaye).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!