Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 7524
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: sir; hmara nikah hogaya hai or hm ek dosre se jima bhi karte hain jab k hamari rukhsati abhi nahi hoi hai to kia asa karna halal hai ya nahi plz mijhe bateen

Answer: ye dono nikha k baad hasband o wife hain, lekin ager riwaaj ye ho ke jab tak ruksati nahi hoti us waqt tak larki apnea p ko apne shohar ke liye pesh nahi karti, is terhan ke is ko goya ik zimni shart samjha jata ho to phir orat per apne is shohar ki is muaamle main itaat wajib nahi hai. (Ref : mujtahid se poche gaae sawalaat , part # 4 , masala # 150) Update on dated 28-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7563
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Agar shohar Bv ko ignore kray aur Bv k baar bar bulanayat per b usk qareeb na aye,even mahinay say zada sex k liye b na aye tou Bv ko kya krna chahiye aur shohar ko gunnah hay ya nai

Answer: Shohar apni jawaan bivi say 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark nahi karsakta magar ye k hambistari os k liay nuqsandah ya ziyada takleef ka sabab ho ya oski bivi khud 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay par raazi ho ya nikah kartay waqt nikah k zimn(agreement) main 4 mahinay say ziyada muddat k liay hambistari tark kernay ki shart rakhi gae ho). Update on dated 20-11-2015. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2382), Mian biwi ki aik doosray se mohabbat o ulfat k lie har namaz k bad surah e mumtahina ki ayat # 7 ko 7 martaba parha karain). Update on dated 20-11-2015. (ref : kitab naway salaheen pg # 404) ) Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 7603
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Kya hum apni biwi ke sharamgaah ko kiss karsakte hai, or kya vo hamare sharamgaah kiss karsakti hai,

Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko mou laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). Update on dated 21-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7612
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kiya husbend wife janabat k bad ikthay(dono aik sath) ghusal kr sktay hain?? hadith ki roshni ma jwab dain...

Answer: Shohar aur biwi aik dosere k sath ghusl karsakte hain. Shohar aur biwi aik doosray ka pura badan dekh saktay hain. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 379, 2400). Update on dated 21-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7628
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: a/w kya ourat or mard ek dusre ke saramgaah ko choos sakte hai??? aapke ans me aap ne kaha han lekin bahut aise aalim bolte hai ki saramgaah ko choosna aa chatna haram h iske ailawa kahi bhi chat aa choos skte hai???

Answer: Shohar or bivi k liay jaiz hay k wo aik dosray k jism k tamaam hisso(parts) ko jism k kisi bhi hissay(part) say choo(touch) saktay hain. (ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaa jus saliheen,maslah #11). 2) Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15). Update on dated 27-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7629
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya meri wife mere upar se sex kar sakti h????

Answer: Jee haan bivi hambistari k doran shohar k oper lait sakti hay or sex ker sakti hay). (Ref: email rcvd by a.sistani.). Update on dated 27-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7657
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalamu alekum, Maine galti se meri biwi ka doodh piliya ab iska kya kaffara hai and me humbitari me bht jald free ho jata hu

Answer: 1)Ehtiyat-e-Wajib ye hay k Biwi ka doodh nah piya jaye is ka koi kaffara nahi albatta tauba karlay. (Ref: Ayatullah Seestani(d.b),E-Mail from Answers@najaf.org) 2) jis ka nutfa kam ho ya kamzoor ho os k chahaea k sab se pehlay khuda ki bargah me istegfar karay aur is k bad anday(egg) aur piaz kasrat se khaien. (ref : kitab tib e islam pg # 54) 3)Homoeopathic Medicine damiana pentarkan drops(Made in Germany Dr. willmar schwabe karlsruhe) subah, dopeher, raat 10 qatray aik ghoont pani main daal ker istemaal karain insha allah jald hi tamaam jinsi bimariyan khatam ho jay gi. Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7732
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: kya beve ke gand marna jayez hai apne shawher k leye

Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi nah honay ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay). Update on dated 20-11-2015. (Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7734
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: agar biwi badchalan ho to marad ko kya karna chahiye ?

Answer: 1)Agar shohar dar aurat zina kray to ehtiyat e wajib ki bina par wo zani par hamisha k lie haram ho jati hai laikin shohar par haram nahi hoti hai aur agar toba aur istegfar na karay aur apnay amal par baqi rahay (yani zina karna trk na karay) to behter ye hai is ka shohar isay talaq day dai. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2367). Update on dated 19-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 7758
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ASalam.o.alikum mujha yeh bataen mufti sahab k b.v ka dood pee na jaiz ha yan na-jain ha and agar hum kisi asi orat ka dood peeta hn jius k sath humhara nika nahi hova to asi surat ma shariyat kia kahati ha ?plz mujha aga karen

Answer: Ehtiyaat e wajib ke madd e nazar bivi ka doodh pina jaiz nahi hai. or esi orat jis ke sath nikah nahi howa is ka doodh pena haraam hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), E-Mail from Answers@najaf .org) , (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 1430 ). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!