Question: kia biwi forplay ma shohar ka lund mou mai lay saktee hai
Answer: Miyan biwi apas men har qism ki lazzat hasil kr sakte hen,lekin is se nikalne wali ratobat ka pina haram hai. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15 ). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: AsA mera swal hy kia shohar apni bewi pr pabandi lgay k wo apny maa baap sy na mily to kia bewi ko shohar ki baat mani chahiy jb k maa baap ka koi qadur bhi nahi aur jo shohr apni bewi pr hath uthay un ka kia anjam hy
Answer: Biwi apne shohar ki mukhaalifat kar ke ghar se bhaar nikalna jaiz nahi hai. Auratoo k hoqooq mai sai hai k mard isay aeziat aur aazar na pounchay aur kisi sharie wajah k bagair is k sath sakhti aur tursh rawi sai pesh na aye (Ref : Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail , edition # 31 , maslah # 2376) ). Update on dated 20-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: sir mera sawal ye hai k hamal rukne k bad kis kiss mai mai sex kar sakty hai or kab tak 1 to 9 month mai kis month mai sex nhe karna chahye mari wife ko 5 month hai plz is ka ans zaror den...
Answer: Mustahab hai k jab biwi hamila ho to jima karnay sai pehlay wazoo kia jay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #5).Note : Mazeed hambistri sai mutaliq maloomat k lie kitab Islam ur jinsiat ki taraf ruju Karain.Update on dated 13-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Kiya bivi mard ka penis or mard bv ki pussy choos sakta hai
Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye k sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.(Ref:AyatUllahSeestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15) Update on dated 21-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey)
Question: Kya mard k masanay say nikla hua pani aurat pee sakti hae
Answer: Shohar or biwi aik dosray ki sharamgaah ko monh(mouth) laga saktay hain,magar ye kay sharamgaah say nikalnay wali ratoobat Halaq mian nah jaay.Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Istiftaat I-2,I-15 2). Update on dated 21-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Mera swal yae hae key wife and husband and wife ko kitny din bad humbastri ker leni chiay according to islam
Answer: 4 mahine se ziyadah bivi ki ijazat k baghair os k sath hambistari tark kerna jaiz nahi hay.(Ref:Ayatullah Khumeni r.h, Tehreerul wasila, part#3,pg#431, maslah#13) Update on dated 21-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia bivi k sath anal sex jazz he
Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi na hone ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (Ref : Ayatullah Seestani(D.B.) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). Update on dated 26-11-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: kia bivi k sath back hole c sex kia jaskta he
Answer: Biwi k peechay k maqam(maqam e pakhana) main hambistari kerna biwi k raazi na hone ki sorat main ethiyaat e wajib ki bina per haram hay, agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay. (Ref : Ayatullah Seestani(D.B.) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67). Update on dated 26-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sir Mera Sawal Ye hai ke agar meri ijazat ho to mera husband mujhe pechey se touch kar sakta hai...
Answer: Biwi k (back )k maqam main hambistari me agar biwi raazi ho tu jaiz hay laikin shadeed makrooh hay.(Ref : Ayatullah Seestani(D.B) Al-masail e mutakhaba, maslah # 67) Update on dated 19-02-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
Question: Sir hamla b.v se kitne maheene tk hum bistri karna jaiz hai???
Answer: Biwi k haamla hone ki surat me jima (intercourse) se phele khaas tour se wuzu karna mustahab hai (Ref : Minhaj us salaheen Ayat ullah sistani d.b. part # 3 masla # 5 ). Update on dated 19-02-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).