Ask Text Question

Urdu(roman) English
Asked Questions: 207000+

Id: 6033
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: NBI PAAK PAI AKHRI AYAT KAB, konsi, kis halat mai nazil hui?

Answer: Akri ayat : sura e Baraat ki aakri ayat Quraan e Majeed ki nazil hone wali aakri ayat hai, or ye sura kamil tor per nazil howa yani pora ik saath. jesa ke Hazrat Imaam Zain u al-Abedeen (a.s) se manqool hai ke jis ka mafhoom ye hai ke Ap (s.a.w) per aakri nazil hone wali sura sura e al-baraat hai. (Ref ; Tafseer Anwaar ul Najaaf ,{ jild # 1 , pg # 136} , { jild # 7 , pg # 143} ). Musalmaan o kuffar ke dermiyaan muaahide (wade) howe the or kun ke in ki taraf se baar baar khilaaf warzi ki gaae to ye sorat nazil hoi. (Ref : tafseer ul Quraan , mufassir # al-haaj molana syed zafar Hassan sahib qibla amrohavi , jild # 2 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 6589
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: hazrat khadija (R.A) pehli wahi k baad hazoor pak (S.A.W) ko apne kis chacha zad bhai k paas lay gaein?

Answer: Nazool e wahi k silsilay mai hazrat jabriel a.s. ka pehli martaba aana, Hazoor s.a.w.w. par kap-kapi ka tari hona, surah e alaq ki ibtedai ayaat ko 3 bar israr k sath hazoor s.a.w.w. ko parhnay k lie kehna, aur hazoor s.a.w.w. ka itni hi bar “mai parhna parhna nahi janta” kehna, farishtay ka garift mai lai kar dabana, kaptey huay ghar ana, kapra aorhna, Hazrat khadija s.a. ka itminan dilana, apnay chacha zad bhai aur asmani kitab k aalim warqa bin nofal k pas lai jana, warqa ka aap s.a.w.w. ko nabuwat ka yaqeen dilana, aur nauzubillah ye bayan k aap s.a.w.w. apnay aap ko pahar ki choti sai ghira detna chehtay hain, jabriel a.s. k kehnay par ruk jatay hain, khabi nauzubillah nazool e wahi par bhi nabuwat ka yaqeen na ana aur jabriel a.s. ka bar bar yaqeen dilanay par bhi yaqeen na hona laikin warqa bin nofal k kehnay par mukammal aetibar karna, jaisay bayanat musalman k zahan mai uljhan paida kartay hain . aisa mehsoos hota hai k aisi riwayat bayan karnay walay shan e risalat s.a.w.w. hi nahi samajhtay aur is terah ki tareekh aur ahadees ka ikhtilaf aam logo mai hasi ka mauqa farahm karta hai. Laikin haqiqat is sai mukhtalif hai. (Ref : Kitab mohsinan e Islam pg # 38)(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)

Video title:
Talaq shohar ka haq, Khula biwi ka haq kiya yeh sahi hai.
Maulana:
Ali Raza Mehdavi
Id: 6613
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Assalam-ale-kum. Janab me yeh pouch na chahta ho ke Allha ke Noor se Janab-e-Rasool Khuda s.a.w.w ko khalk kiya hai mujhe isko Quran se sabit kriye.

Answer: wssalam o alykum, Quraan e Majeed sura e hasher ki aayat no 7 main farmaata hai ke Rasool tuhmain jis cheez ka hokum dain us ko mano or jis se mana karain us se ruk jaao, or mutawater hadees hadees e saqlain main AP (s.a.w) ne farmaya ke jis ka mafhoom ye hai ke main tumare dermiyaan do(2)essi cheezian choor raha hon ke ik dosere se juda nahi hon gi, or wo Quraan o Ehl e bait(a.s) hain, agr tum in dono (ik se nahi balke dono se) se mutamassik (un k aqeede pr or mazhab pr mazbuti se qaaim rehna) raho ge to gumraaha nahi ho gai, pas in se ye natija nikalta hai Quraan ko sahi samjne ka tareqa Masoom(a.s) ki mojoodgi main us se Is ka matlab pochna or Un ki gebat main ese ehl e ilm se (jo Quraan or Un hazraat ki hadeso ko mila kar samjne ki salahiyat rakhta ho) Quraan ke matlab ke bare main pochna.(Ref : Ali(a.s)khalefah ul Rasool , muallif # janaam faqar ul al-deen musvi , mutarajjim 3 Muhammad saleem alavi , fasal # 2 , pg # 138). Jesa ke wazi ho gaya ke Quraan ko sahi samjna Masoom (a.s) ke qool ke samajne per moqoof hai or ager hum usool e kafi jild 1 main kitaab e al-aqal o al-jehal ki riwayat no 14 or baab no 100 ki riwayat no 4, or baab no 151 ki riwayat no 2 ko milate hai to pate hai ke ye natija deti hai ke ALLAH TAALA ne her cheez ke khal karne se pehle Ap(s.a.w) ko Apne nor e azmat se khal kiya.(Ref : usool e kafi , jild # 1 , kitaab e aqal o jehal , riwayat # 14 : kitaab e al-hujjah , baab # 100 , riwayat # 4 : baab #151 , riwayat # 02 , ALLAH TAALA tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 6794
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aslamo alekum janab mera saval he ki eid miladun nabi s.a.w. Ko manana chahiye kya nhi ? Manate he to kis tarah manana chahiye? Kya ceack vagera kaat ke s.a.w ka janmdin manana chahiye kya nhi? Janab ans hadis se hi de......

Answer: Wssalam o alykum, manana chahiye, or manane ke tareqe ko samajhne ke liye 12 Rabee u al-aowal ke amaal ko duwaao ki kitaboo se pharye jese mafati u al-jinaan.(Ref : mafaati ul jinaan , , topic # Rabee u al-aowal ke mahine ka bayaan , pg # 283 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 7444
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Salam Mera ak sawal hai k juma ki namaj pahle bar kab,kisne aur kaha shuru hoi the?

Answer: Wssalam o alykum, Besat e Nabi (s.a.w.w) k 14 saal, 16 rabiul aowwal Jumme k din Masjid e bani saalim main aap (s.a.w.w) ne musalmaan ko pehli namaaz e jumma ba jamaat pharaae. (Ref : Tafseer e anwaar ul najaf , jild # 14 , topic # sura e jumma ki ayat no 10 ki tafseer , pg # 18) , (Ref : 14 Sitaree , muallif # syed najam al-hasan , baab # 1 , topic # madine main dakhila , pg # 64 , Allah Taala tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 7508
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: aam ul hizan sy kia murad hy?

Answer: jab janab e abu talib ka intiqaal howa to is ke 3din baad janab e kadejah ul kubra ka intiqaal hoga to in dono sanihe ki waja se RASOO(s.a.w) shadeed ranj o ghum or sadma o aalam ke aalam main ho gaae or is saal ka naam aam ul hazan (yani ghum ka saal) qaraar diya.(Ref : 14 sitare , baab # 1 , chapter # hazrat abu talib or janab e kadejah ul kubra ki wafaat , pg # 59 , ALLAH tofiqaat main izafa farmaae).

Id: 7693
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: hazrat muhammad pbuh per pehli wahi kis islami month main nazil huee

Answer: Maah e Rajab.(Ref : Hyaat ul qoloob , jild # 2 , baab # 23 , chapter # Ap (s.a.w) ka maboos e risalat hona or ummat ke jafakaaroo ke mazalim sehna or nozool e wahi ki kefiyat wagera , pg # 419 , Allah Taala hi tofiqaat main izafa farmaane wala hai).

Id: 8512
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: ASLAM O ALIKUM MERA SAWAL YEH HAI K HUMARY NABI PAK (SAWW) NE KITNI JANGON (WARS) MAIN SHIRKAT KI AUR KITNI MAIN NAHI KI HAI

Answer: NABI PAAK (SAWW) ne taqreban 28 JANGON( Gazwaat) MAIN SHIRKAT farmai thi. (Ref: magazine.mohaddis.com/shumara/.../2109-ghazwa-hind-tayun-fazeelat ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).

Id: 8893
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: Hazrat Muhammad(SAW) pr pehli wahi knsy Islamic year mai nazil hoi?

Answer: waqiya Amul feel guzar jane k 40 saal baad 27 rajab ko pehli wahi nazil hoe. (Ref: http://www.erfan.ir/urdu/20793.html ). Update on dated 13-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Id: 8974
Mujtahid:
Date: 23 Apr,2024

Question: salam un alikum mera sawal hai k imam Muhammad baqir ka laqab Baqir kb aur kyu parha ?

Answer: Imam Muhammad baqir a.s ko baqir ka laqab hamaray nabi s.a.w.w ne diya. Or hadees k alfaaz ye hain nabi s.a.w.w ne irshad fermaya k “imam Muhammad baqir uloom o maarif lo is terah shagaafya kar dain gay jis terah zaraat k liay zameen shagaafta ki jati hay.(Ref: 14 sitaray, maulana syed najamul hasan karaarwi. pg#312). Update on dated 27-01-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).

Related:

Audio Masail:

  NON-MUSLIM KI DHOYE HUWE CHEEZ NAJIS HOTE HAI Download

Fiqhi Books

Istiftaát
Read Online!
Mujtahid se pooche gay sawalat Part 1 Download!
Wasiyat Nama Read Online!
Terminology of Fiqh Read Online!